Sanad Deen ka Hissa hy


sanad

 

Hazrat Abdullah bin Usman farmate hai ki..

Maine Abdullah bin Mubarak ko farmate hue suna ki..
” Isnaad -a- Hadees Deen ka hissa hai. Aur agar Isnad na hota tho har aadmi apni marzi ka Deen bayan kar deta.

 

Abu Ishaq Ibraheem bin Eesa farmate hai…

Maine Abdullah bin Mubarak Rad. ke samne ek hadith bayan ki. Hadith sun kar unhone farmaya…

” Ye hadith kiski riwayat hai ??

Maine kaha..

” Shahab bin Kharash ki. ”

” Tho unhone farmaya ke wo siqah hai.

Fir unhone kaha ” Shahab ne kisse riwayat ki hai ??

Maine kaha… ” Hajaj bin Dinar se. ”

Unhone farmaya ki ” Wo bhi siqah hai. ”

To unhone farmaya ke Hajaj ne kisse riwayat ki ?

Maine kaha ki ” Wo kahta hai ki Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya.

Tho Hazrat ibn Mubarak ne farmaya.

” Aye Abu Ishaq, Hajaj aur Rasoolallah Sallallahu Alai Wasallam ke darmiyan to itna taweel jungle (yani zamana) hai, jisko tayy karte karte Unnto (camel) ki gardane thak jayengi (yaani ye hadith to munqate hai matlab bich me ek raawi nahi hai).

[ SAHIH AL MUSLIM – AL MUQADDAMAH # HADITH – 32 ]

NOTE  :::

[ Unke kahne ka matlab hai ki Hajjaj ne RasoolAllah Sallallahu Alai Wasallam se kaise riwayat kardiya jab ki unke bich ka zamana boht zyada hai, Beechmese ek raawi miss hai aur isliye ye hadith qabil e qubool nahi hai.


Halaanke ke banda (Tabayee) siqah hai lekin fir bhi ye riwayat nahi qabile qubul hai kyuki bich ke ek raawi miss hai.

Hamare muashre me to kahte hai ki Imam Abu Hanifa Rah. ne farmaya,
Fula r.h. ne farmaya.

Ye dekhe Abdullah bin Mubarak jo Imam Abu Hanifa ke shagird hai wo Khud kah rahe hai ki kayi jungle hai beechme Rasoolallah Sallallahu Alai Wasallam tak pohchne ke liye.

Lekin ye jungle ko baaz Hanafi log ne paar kar liye hai jo 400 saal the aur Hidaya likhkar pare maari aur kaha ki Imam Abu HAnifa ne farmaya jab ki iski koi sanad hi nahi hai.

Imam Abu Hanifa ki hadith lekar aaye ham manenge lekin un ke zaati aqwal to hamare liye Hujjat nahi hai.].

 

—————————

Via : Nadeem Shaikh.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this:
search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close