Doston Aajkal Baaz Nawajawàn ka Dawah hai ke ALLAH ne Hame MUSALMAN kahkar NAAM diya hai tho fir yeh AHLUL HADITH ya ASHAB UL HADEETH ya etc..kahkar ham doosre Jamate kyun banaye..aur kahne ki koshish b karte hai ham Ahlul Hadith wale Musalman naam ka inkaar karte hai i.e Quran ki Ayat ka Inkaar.
Ab isse bada afsos ka makaam kya hosakta hai. Khair..
Aise kuch b nahi hai.
Pahli baat ke Ahle hadith Musalman naam ki Mukhalifat me nahi hotha hai. Aur ALLAH ke Nabi Sallallahu Alai Wasallam ke daur me koi jamat nahi thi koi firqa nahi tha, wo log KO zaroori nahi huwa
Us waqt me kisi aur NAAM ki zarurat bhi nahi thi ALAG karne k liye, lekin baadme jab Alhul RAYY aur AHLUL KALAAM aaye jinhone ALLAH ki sifaat me aur ALLAH taala ki Shariat me apne AQL se aur qyaas araaiyonke zariyese naye naye masail ghadna shuru kiya.
Alle KALAM ne ALLAH ki sifat me ghadna shuru kiya aur AHlul Rayy ne FIQH ke sil sileme baht saari qyaasi baten ghadna shuru kiya aur uske mutabik fatwe dena shuru kiye.
Tho inke BIL MUKAABIL ek jamat thi JINHONE KAHA KE HAM AHLUL RAYY NAHI HAI AUR NAAHI HAM AHLUL KALAAM HAI, tho fir kaun hai, ham AHLUL HADITH hai.
Ham jidaal ki buniyaad par AQIDAH nahi lete, aur HAM shariat ke sil sileme QYAAS ki buniyat par FATWE nahi dete, IJTIHAAD karte hai lekin uski HUDUD me.
Ham Hadith hi se DEEN lete hai, RAYY nahi.
Aur yahi Wajah hai ke..
Imaam Bukhaari
Imaam Muslim
Imaam Shaafi’ee
Imaam Ahmad ibn Hanbal
Imaam Yahyaa ibn Sa’eed al-Qattaan
Imaam Tirmidhee
Imaam Abu Dawood
Imaam Nasaa’ee
Imaam Ibn Khuzaimah
Imaam Ibn Hibbaan
Imaam Abu Awaanah
Imaam Ahmad bin Abdullah bin Saaleh al-Ejlee
Imaam Abu Abdullah al-Haakim an-Neesabooree [ Rahimahullah ]imam ibne taymiyyah…etc….
Aise 1400 saal se saare Bade Bade Muhaddithone apne apko AHLUL HADITH or ahle sunnat kehte aaye hy. Aaj A Aqal parast nawajwan khade hoke kehte hey nahi nahi hum Ahle haees nahi na hi Ahle sunnat hum sirf Muslim hey
Mera sawal wo log se hai jo apne apko sirf MUSALAN kahte firte hai.
Jaise sab log jaante hai ke hadith me kai saare kisme hai, aur usko banana ki wajah muhaddithone clear kardiya tha ke ‘ is fitnonke daur me agar hadith ko hadith ki tarah chod diya jaayega tho fir UMMAT aagey jaakr Gumrah hosakti hai, agar farq na bataya tho log NABI par ghadi gayi jhooti baat ko bhi Sahih mankar usko DEEN banakar uspar Aml karenge. Tho Jaise us daur yani nabi Sallallahu Alai Wasallam ke daur me sirf QURAN aur Nabi sallallahu Alai Wasallam ka farman hi tha, tho aaj hadith me kai saare kisme aagaye hai jaise..
SAHIH HADITH.
DAEEF HADITH..
MURSAL HADITH…HASAN HADITH wagairah…
tho isko yeh log kyun mante hai ??
1. Aapke Usool ke mutabic Jaise Ahlul Hadith or ahle sunnat Allah aur rasool ne nahi kaha waisa Allah aur rasool aur sahaba ne sahii hadees ko maano hasan hadees ko maano zeif hadees ko choddo , mursal hadees ko choddo shaaz hadees ko chodo, Mauzu hadees ko chodo a Sab usoole A hadees Allah aur rasool aur sahaba Ne nahi kaha phir Aap kyun mante ho…??????????
WAAH KYA DUGLI POLICY HY A NAWAJAWAN KA.
2. Waise hi Hadith ke Kitabome Sahih al bukhari , Sahih Muslim wagairah me ek ek chapter alag karke Hadithe likhi gayi hai tho fir yeh b kyn mante ho ?
Wo jo log AHLUL HADITH kahna pasand nahi karte magar Hadith me farke karna pasand karte hai.
Bas OLNY Muslim..
3. Tho wahi Muslim SHIYA ke ghar se rishta kyun nahi jodta ?
Halanke Shia bhi Muslim bolkar claim karte hai ?
Aise jagah kyun FARQ karte firte hai jo apne apko Musalman kahne wale ?
4.Qadiyani ke Masjid me jamat ke saath Namaz kyun nahi padte ?
halanke Qadiyani bhi apne apko Muslim claim karte hai ??
Yaha par bhi Farq kyun mahsoos karte hai jo apne apko ONLY MUSLIM kahne waaale ??
5. Sirf Only Muslim Bolne Wale Aapke Beta agar koyi Naya city ko bejneke baad kaho Sirf Muslim bolne walonke pass ILM Hasil karo. .. to wo Jayega Kisi Shia ya Berelwion ke pass…??? Astagfirullah.
Tho yad rakhiye Nabi ke daur me HADITH, bas HADITH thi yani koi milawat ki zarurat nahi thi badme FItnonke darse hadithome farq karna pada, usi tarah usi hadith me farq karne walone khud IJTEHAD kiya ke Muslim hi kaafi nahi hai, Muslim me kai saare Fitne firqe hogaye hai lihaza unse alag karke batana laazim hai.
Ahle sunnatul Wal Jamah, SALAFI, Ahlul Hadith, Ashabul Hadith yeh sab ek hi jamat hai jo Baatil firqonse alag karke batane k liye istemal kiya gaya.
Quran :
” Aut tum me ek Jamat aise honi chahiye jo Neki taraf bulaaye aur ache kaam karne ka Hukm de aur bure kaam se manakare, Yahi log hai jo Kaamiyab hai, Aur Un logonki Tarah na hojaana jo Mutafarriq hogaye aur saaaf ahkaam aane ke baad ek doosre se ikhtilaaf karne lage, yeh wo log hai jinko khayamat ke din bada azaab hoga, Jisdin bahot se muh bahot se Safed honge aur bahot se Siyah,
Tho jinlogonke Muh Siya honge, Unse ALLAH subhanwatala farmaayega, KYA TUM IMAAN LAAKAR KAAFIR HOGAYE THE ? so ab Kufr ke badle azaab ke maze chako. ”
Surah Al imran # 105 & 106.
Muhaddithone Isi Ayat ke ziman me HAQ ko pahchaan k liye doosre baatil firqonse apne apko Alag kiya…
Dua : Allah in Aqal parast ” Only Muslim ‘ sect log se awam -A- Ahle hasees log ko mehfooz rakhe Ameen………..!!!
——————–
Via : Nadeem Shaikh.