Imam Daaraqutni [ Rahimahullah ] apne SUNAN me Rivayat lete hai :
Sanad :
“Ali bin Abdullah bin Mubashshir ——» Muhammad bin Harb al-Waasiti ——» Ishaaq al-Azraq ——» ABU HANEEFA ——» Moosa bin Abi Aa’ishah ——» Abdullah bin Shaddaad,——» Jaabir (radiallah anhu) se Rivayat hai ke…
“ Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke..
“Jiskisika bhi ek Imaam ho us Imaam ki khiraat uski qiraat hogi “..
Yeh rivayat Moosa bin Abi Aa’ishah se Judi hui nahi hai, sirf Abu hanifa se hi hai aur al-Hasan bin Umaarah se, yeh dono Da’eef hai. “
[SUNAN AD DAREQUTNI (2/107 H. 1233) PUB. AR – RISALAH, BEIRUT]
Pahli baat ki, Yeh hadith jo Imaam Daaraqutni ne apne sunan me bataya hai yeh Da’eef hai, kyunki Imaam Daaraqutni Rah. Ne baadme kaha ke..” Abu Hanifa Muttasil me akele Rivayat karrahe hai jabke doosre Huffaadh jaise
Sufyaan ath-Thawree,
Shu’bah bin al-Hajjaaj,
Israa’eel bin Yoonus,
Shareek,
Abu Khaalid ad-Daalaani,
Abu al-Ahwas,
Sufyaan bin Uyaynah,
Jareer bin Abdul Hameed aur doosre jo Moosa bin Abi Aa’ishah se Abdullah bin Shaddaad se Nabi Sallallahu Alai Wasallam se MURSAL ke taur par Rivayat kiya hai.
Muhadaseen ne is hadees ko Ziman me famaye :
1- IMAM Yahya bin Ma’een [ Rahimahullah ]:
Ibn Tahmaan Farmaya ke, Maine suna hai ke : Yahya bin Ma’een Rahimahullah farmarahe hai :
” حديث يَرويه أَبو حَنيفَة، عن مُوسَى بن أَبي عَائشة، عن عبد الله بن شَدَّاد، عن
جابر، عن النَّبي صَ لى الله عَليه وسَلم؛ مَن كان لَه إِمَامٌ، فَقِراءَة إِمَامِه لَه قِراءَةٌ.
قال: ليس هو بشيءٍ، إِنما هو عبد الله بن شَدَّاد “
“ Hadeeth jo Abu Hanifah rivayat karta hai jo uski sanad me Moosa Bin Abi Aishaa se Abdullah bin Shaddad se Jaabir – Nabi Sallallahu Alai Wasallam se rivayat karte hai ke..” Jiskisika bhi ek Imaam ho us Imaam ki khiraat uski qiraat hogi “.. Yeh Hadith ki koi asal nahi hai, yeh rivayat sirf Abdullah bin Shaddad se rivayat hui hai [ Yaani ke Mursal ] “
[Min Kalaam Abi Zakariyya Yahya bin Ma’een fir-Rijaal (397)]
2) Imam Muhammed bin Isma’eel Al Bukhari [ Rahimahullah ] :
Unhone bhi is Rivayat ke bareme farmaya ke..
” هذا خبر لم يثبت عند أهل العلم من أهل الحجاز وأهل العراق وغيرهم لْرساله
وانقطاعه رواه ابن شداد، عن النبي صلى الله عليه وسلم “
“ Yeh Rivayat Irsaal aur Inqitaa (disconnection) ki wajah se Ulema e Hijaaz, Iraaq aur doosron ke mutaabik Saabit nahi hai, jo ke isme Ibn Shaddaad seedhe Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam se rivayat karte hai [ aur Jabir se Muttasil bhi nahi ].
[Juzz al-Qiraa’at by Imaam Bukhaari (P. 8) and (P. 54-55) in the English translation]
3) Hafidh Ibne Hajar Asqlani [ Rahimahullah ] :
” حديث ضعيف عند الحفاظ, وقد استوعب طرقه وعلله الدارقطني وغيره “
“ Yeh hadith, Huffaadh aur Ad-Daaraqutni aur doosronke mutabik da’eef hai aur poore tafseel ke saath is rivayat ke naqais ka zikr kiya hai.
[Fath ul-Baari (2/285)]
Tho jis wajah se Hanafiyyah Imam Daaragutni Rh. Par aitraz karte hai, Haafidh Ibn Hajar is hadith ke ziman me aur ek jagah farmate hai ke…
“ وله طرق عن جماعة وكلها معلولة “
“ Yeh hadeeth ek giroh ke insaanonse kai sanadonse hai aur wo sab ke sab sabit nahi hai [ defective ].
[Talkhees al-Habeer (1/569)]
4) Haafidh Ibne Katheer [ Rahimahullah ] :
“وقد روي هذا الحديث من طرق لا يصح شيء منها عن النبي صلي الله عليه
وسلم”
“ Yeh hadith kai sanadonse rivayat ki gayi hai magar unmese Ek bhi Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam se saabit nahi hai. ”
[Tafseer Ibn Katheer (1/12)]
5) Imam Qurtubi [Rahimahullah] :
“أما قوله صلي الله عليه وسلم من له إمام فقراءة الْمام له قراءة فحديث ضعيف”
“ Jaisa ke batayagaya hai ke, Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ne farmarahe hai ke, ..” Jiskisika bhi ek Imaam ho us Imaam ki khiraat uski qiraat hogi “ tho yeh hadith Da’eef hai.
[Tafseer Qurtubi (1/122)]
6) Imam Ibne Hazam [Rahimahullah] :
“وقد جاءت أحاديث ساقطة كلها فيها من كان له إمام فإن قراءة الْمام له قراءة”
“ Aur yeh hadith “..” Jiskisika bhi ek Imaam ho us Imaam ki khiraat uski qiraat hogi “, kai saare rivayatonse ki gayi hai jo ke saare Saaqit [ Invalid ] hai.
[Al-Muhalla (3/242)]
7) Haafidh Ibne Al Jawzee [Rahimahullah] :
“ولهذا الحديث طرق عن جابر وعن علي وعن ابن عمر وابن عباس وعمران بن
حصين ليس فيها ما يثبت”
“ Yeh hadith,
Jabir se,
Ali se,
Ibn Umar se,
Ibn Abbas se Aur
Imraan bin Husayn se aayi hai jo ke inmese koi bhi Sahih taur par Saabit nahi hai. “
[Al-Ilal al-Mutanaahiyah (1/431)]
8) Allamah Ibne Taymiyyah [ Rahimahullah ] :
وقد روي مسندا من طرق كلها ضعاف والصحيح أنه مرسل”
“ Yeh hadith kai saare sanadonse Musnad ke taur par rivayat ki gayi hai jo ke saare Da’eef hai aur Khabile aitmaad se saabit yeh hai ke yeh MURSAL hai. “
[Al-Muntaqa ma’ Nayl (2/221)]
9) Imam Ibne Qayyim [ Rahimahullah ] :
“إنكم أخذتم بالحديث الضعيف وهو من كان له إمام فقراءة الْمام له قراءة”
“Beshq, Aap (Hanafiyyah) Da’eef hadith se daleel lete ho aur wo “ Jiskisika bhi ek Imaam ho us Imaam ki khiraat uski qiraat hogi “
[I’laam al-Mawqa’een (1/274)]
10) Imam Abi Al IZZ aL Hanafi [Rahimahullah] :
“أخرجه أحمد وابن ماجة والدارقطني من طرق كلها ضعاف”
“ Is rivayat ko
Ahmad,
Ibn Maajah, aur
Ad-Daaraqutni ne naqal kiya hai jo saare da’eef hai. ”
Inke Alawa :
11) Imaam Ibn Adee
12) Imaam Bayhaqi
13) Imaam Khateeb Baghdaadi
14) Imaam Ibn Abdil Barr
15) Aur Imaam Abu Haatim ar-Raazi, in imamone is hadeeth ko Mursal aur Muttasil nahi hone par Da’eef kaha hai.
Mazeed Jaankari ke liye dekiye…
Tauzeeh ul-Kalaam fi Wujoob Qiraa’at Khalf al-Imaam by Shaykh al-Muhaddith Irshaad ul-Haqq Athari Hafidhahullah (P. 844).
Tho hame pata chalta hai ke Muhadditheen ke aagey yeh hadith Bila shuba Da’eef aur Munkar hai, aur Imaam Daaraqutni ka is hadeeth par SAHIH hukm hai
———————————-
Via : Nadeem Shaikh.