Taraweeh aur Tahajjud Namaz 1 Hi Namaz hy…


t2

Andhe Muqallid Log Muslim sharif me Hadees Ko Galat Istimal karke Tarweeh aur tahjjud Alag karne ki koshish karte hy aur Awam Ko Bewakof banate hy… wo a hy

Wo Jahil Log A Tarjuma Pesh karte hy  1-Hazrat Anas Rdh. Farmaate Hai Ke Rasoolullah SAW (Ek Raat) Ramzaan Ul Mubarak Me Namaz E (Taraveh) Padhrahe The , Mai Aaya Aur Aapke Pahelu Me Khada Hogaya , Ek Dusre Sahabi Rdh. Tashreef Laaye Wo Bhi Isi Tarah Khade Hogaye Yaha Tak Ke Hamari Ek Jamaat Ban Gayi.Nabi E Karim SAW Ne Jab Yeh Mehsoos Farmaaya Ke Hum Aap SAW Ke Peeche Khade Hogaye Yaha Tak Aap SAW Ne Namaz Ko Muqtasar Karke Khatam Kardiya Aur Apne Hujre Me Tashreef Legaaye Aur Waha Aap SAW Ne Wo Namaz (Tahajjud) Padhi Jo Hamare Paas Nahi Padhi Thi. (Saheeh Muslim : Jild 1 : 352 )

Radd:

A hy Asal Tarjuma Muslim Hadees ki .

Hazrat Anas Rdh. Farmaate Hai Ke Rasoolullah SAW Ramzaan Ul Mubarak Me Namaz padte tou me Aaya Aur Aap (s.a.w) k Bazu per khara ho gaya , ek Aur Shaks Aya wo be khada ho gaya, yaha tak k humari ek jamat ho gaye , jab Nabi Akram (s.a.w) ne Mahsoos keya ke hum Apke piche hai tou Aap ne Namaz halki karna Suru kar di , fer Aap apne Ghar tasreef le gaye Aur ayse Namaz padhe k Humare sath Nahi padhe.”

[Sahi Muslim jild-2 , hadees no-76]

Ab dekho Jo Jahil Muqallid log Tarjuma diye wo kitna garbar gotala kiya hy ahle batil aur Awam KO Dhoka dete hy

1 Pehle dhoka —>> baraket me lekha Tarawi

2- Dosra Dhoka –>> baraket me lekha Tahajjud

3- Tesra Dhoka–>> daleel galat deya hy  [ (Saheeh Muslim : Jild 1 : 352 ) jabke Scan me Saaf lekha hai [Sahi Muslim jild-2 , hadees no-76] ]

4- dhoka –>> ”Ramzaan Ul Mubarak Me Namaz E (Taraveh) Padhrahe The ” kya lekha hai hanfio ne Padhrahe the ager serf ”a” laga deya jaye tou ”Padharahe the” hahahaha kitne chalake or kitne makkari kar rahe hai hanfi saaf saaf es tarah nahi lekh sakte the ”pad rahe the” leken kya lekha ”padhrahe the” yaani Namaz e Tarawi padharahe the …. Jab k scan me saaf lekha hai ”Akele pad rahe the” (yaani Tahajjud.)

5- Dhoka->>”Aur Waha Aap SAW Ne Wo Namaz (Tahajjud) Padhi Jo Hamare Paas Nahi Padhi Thi” es Alfaaz me v Tabdele kar deya Muqallido ne kya baat hai.. Jab k Unhe k Scan me Saaf lekha hai, ”fer Aap apne Ghar tasreef le gaye Aur ayse Namaz padhe k Humare sath Nahi padhe.” yaani Apne Adhuri Naamaz Ghar per ja ker puri ki kyuki eske tasdeek ese hadees me lekha hai.

6-”jab Nabi Akram (s.a.w) ne Mahsoos keya k hum Apke piche hai tou Aap ne Namaz halki karna Suru kar de” –>>yaani iska Maana A hy Aap (s.a.w) ko ye khatra yani Dar mahsus hua ki kahi Tahajjud ki Namaz mere es Ummat per Farz na ho jaye .. Eske tasdeek dusre Hadees Dalailat karte hai yaani gawahi dete hai es baat ki.

7- Saari baat Aina k tarah Saaf hai.

A) Aap (s.a.w) Namaz e Tahajjud pad Rahe the.
B) Sahaba r.a apke piche Aa khare hue.
C) Aap(s.a.w) ko eska Elm hua tou Apne Namaz Halki (Qirat mukhtasar) kar k Waha se Chale gaye.
D) fer Apne Wahi Adhuri Namaz apne Ghar per padhe..

Point to b Noted–>> : Isse yahi sabit hua k Tarawi hi Tahajjud hai aur
2no ek he Namaz k 2 Naam hai. Aur es hadees se Yahi Sabit hota hai k ye hadees v hum Ahle-hadeeso k he hak me aate hai k Tarawi or Tahajjud me koi ferk Nahi. SubahanAllah…………..

Conclution- Mere Taraf se Hanafi Hazarat se Guzarish Hy Nabi ke Marfoo hadees pesh karo Tarweeh aur Tahjjud Alag karke Halanki Aek hadees me saaf Nabi amal se sabit hota hy Taweeh aur tahjjud 1 namaz hy Nabi Ko Tahajjud padna Farz tha lekin Is Hadees me Ramadan ke wakt Tahajjud nahi pade Balke 3 din sahaba ko Tarweeh Namaz padaye hy.. Aur Aakhri din to 27ki raat ko who apni Biviyon, apne gharwalon aur awaam ke saath jama huyein aur unhone Qiyaam mein hum sabki Imaamat ki tab tak jab ki hume “”Sehri chhutne ka darr mehsoos huwa.””” [Ibn Maajah (no. 1327]..

Agar QIYAM Ramzan k alawa rasool allah(s,a,w) tahajjud bhi padha karte the to Phir bataye ke APne S.a.w ne 27wi ramzan ko Tahajjud Q nahi PADHI …????? Halanki Nabi PAR Tahjjud padna farz thi.. Lekin nahi pade…. maloom hua k mah ramzan ME TAHAJJUD aur QYAM ramzan alag alag nahi hai balke ek hi namaz hai(sare se manqool hi nahi hai k AP(s) ne RAMZAN al mobarak ki kisi rat ko tahajjud aur QYAM ramzan ka alag alag Ahtamam kiya ho…????

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this:
search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close