KYA RASOOLULLAH (S.A.W). KI WAFAT KE BAAD SAHABA LOG UNKE KABR PAR JAKE “WASEELA” Se Dua Karte THE???? Ya Nabi ke Naam leke “waseela” se dua karte…..???? HAR GIZ NAHI…
Daleel::Anas (r.a) se riwayat hai ki Jab bhi sukha padta(barish ki kami hoti) toh Umar r.a Al- Abbas bin Abdul Muttalib r.a. se Allah se baarish ki dua karne ko kahte. Woh kahte – Aye Allah, hum apne nabi se baarish ki dua karne ko kahte “The” aur aap barish ki rahmat karte the aur “Ab” (jab RasoolAllah s.a.w. ki wafat hogai) hum unke chacha se dua karne ko kahte hai. Aye Allah! Humein baarish ata farma, aur fir barish hoti . {Sahih Bukhari, Kitab al Salat Volume 2, Book 17, Number 123:}
Note ; Is hadees se A sabit hua ki RasoolAllah ke faut hone k baad Sahaba Rasool ke kabr pe ja kar nahi balki Rasool ke zinde chacha se dua karwaya karte the kyuki jo shaks faut ho jata hai us se Waseela se dua karna aur madad mangna haram hy aur zindo se madad mangna jaiz hai… is hadees a sawal hy..??????
Sawal : Agar Hujoor s.a.w is duniyah me zinde hy to kyun Umar (R.A) nabi ke kabar paas nahi gayae..?????
jawab: Umar r.a jante the ke nabi is dunyah se wafat hochuke isliye hujoor ke zinde chaha ko waseela se dua karwayethe.