TARAWEEH MASNOON RAKAT KITNI HAI ISS PAR YE
IN SHA ALLAH FAISLA KUN POST HOGA
SUNNATH TARAWEEH KITNE RAKAT HOGI :
HAZRATH UMAR RAZIALLAHU ANHU NE JITNE RAKAT KA SAHABA KO HUKM DIYA HOO AUR JITNE RAKAT PAR SAHABA KO JAMA KIYA HO UTNE RAKAT SUNNATH TARAWEEH HOGI ..
11 AUR 21 KI RIWAYATH BAYAN KEE JAATI HAIN JISME AHAM RAAVI HAIN ~ SAHABI HAIN
” SAIB BIN YAZEED ” RAZIALLAHU ANHU
YAAD RAHE K YE SAHABI E RASOOL HAIN AUR INHI SE 11 AUR 21 KI HADEESEIN AAYIN HAI JO K UMAR RAZIALLAHU ANHU KA HUKM BAYAN KARTEY HAIN , K UMAR RAZIALLHU ANHU NE SAHABA KO KITNE RAKAT TARAWEEH PAR JAMA KIYA….
HAZRATH SAIB BIN YAZEED AL MUTAWAFFA 91 HIJ
KE 3 SHAGIRD HAIN
1. MUHAMMAD BIN YOUSUF
2. YAZEED BIN KHUSAIFAH
3. HAARIS BIN ABDUR RAHMAN IBN ABI ZIBB
RAHIMAHULLAHU AJMAEEN
INME SE
1. MUHAMMAD BIN YOUSUF RAH.
11 RAKAT TARAWEEH MA WITR BAYAN KARTEY HAIN
2. YAZEED BIN KHISAIFAH SE
DO (2) RIWAAYATH AAYI HAI JO K 21 AUR 23 RAKAT TARAWEEH BAYAN KARTEY HAIN
3. HAARIS BIN ABDUR RAHMAN IBN ABI ZIBB
SE 23 RAKAT TARAWEEH MA WITR BAYAN KARTEY HAIN.
AB AAYIYE HADEESEIN DEKHTEY HAIN
1. MUHAMMAD BIN YOUSUF RAHIMAHULLAH SE MUWATTA IMAM MALIK ME SONEY KI SANAD, EK DUM SAHI SANAD K SAATH(GOLDEN CHAIN) YE HADEES AAYI HAI
HADEES
UMAR FAROOQ RAZIALLAHU ANHU NE RAMAZAN KI RAATON ME KITNI RAKAT NAMAZ PARDHANE KA HUKM DIYA
وَحَدَّثَنِي عَنْ مَالِكٍ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، أَنَّهُ قَالَ أَمَرَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ أُبَىَّ بْنَ كَعْبٍ وَتَمِيمًا الدَّارِيَّ أَنْ يَقُومَا، لِلنَّاسِ بِإِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً
Imam Malik se Muhammad ibn Yusuf se ke as- Sa’ib ibn Yazid ne farmaya , “Umar bin al-Khattab raziallahu anhu ne Ubayy ibn Kab aur Tamim ad-Dari ko hukm diya k vo logon ko raat ki namaz Gyarah (11) rakat padhayein .
[ MUWATTA IMAM MALIK : Book 6, Hadith 4
USC-MSA web (English) : Book 6, Hadith 4
Arabic : Book 6, Hadith 250 ]
SANAD : IMAM MALIK -MUHAMMAD IBN YOUSUF -AS SAIB IBN YAZID – UMAR RAZIALLHU ANHU
YE HADEES BILKUL SAHEEH HAI KYUN K ISI SANAD K SAATH BUKHARI WA MUSLIM ME BOHT SI HADEESEIN AAYI HAI , YE SIRF BUKHARI WA MUSLIM K RAAVI NAHI BALKE ISI LINE SE BUKHARI MUSLIM ME BOHT SI HADEESEIN HAIN
JAISE
(1)
حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ يُونُسَ، حَدَّثَنَا حَاتِمُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، قَالَ حُجَّ بِي مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَأَنَا ابْنُ سَبْعِ سِنِينَ.
SANAD :
HADDASANA ABDURRAHMAN IBNU YOUNUSA – HADDASANA HATIMUBNU ISMAEELA – AN MUHAMMAD IBN YOUSUF – AN AS SAIB BIN YAZID
[ Sahih al-Bukhari 1858 ]
(2)
Hadith
حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، حَدَّثَنَا حَاتِمٌ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، قَالَ صَحِبْتُ طَلْحَةَ بْنَ عُبَيْدِ اللَّهِ وَسَعْدًا وَالْمِقْدَادَ بْنَ الأَسْوَدِ وَعَبْدَ الرَّحْمَنِ بْنَ عَوْفٍ ـ رضى الله عنهم ـ فَمَا سَمِعْتُ أَحَدًا، مِنْهُمْ يُحَدِّثُ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم، إِلاَّ أَنِّي سَمِعْتُ طَلْحَةَ يُحَدِّثُ عَنْ يَوْمِ أُحُدٍ.
SANAD :
HADDASANA KHUTAIBATUBNU SAYEEDIN – HADDASANA HAATIM – AN MUHAMMAD IBN YOUSUF AN As-Sa’-ib bin Yazid
[ Sahih al-Bukhari 2824 ]
(3)
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَبِي الأَسْوَدِ، حَدَّثَنَا حَاتِمُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ، قَالَ سَمِعْتُ السَّائِبَ بْنَ يَزِيدَ، قَالَ صَحِبْتُ عَبْدَ الرَّحْمَنِ بْنَ عَوْفٍ وَطَلْحَةَ بْنَ عُبَيْدِ اللَّهِ وَالْمِقْدَادَ وَسَعْدًا رضى الله عنهم فَمَا سَمِعْتُ أَحَدًا مِنْهُمْ يُحَدِّثُ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم، إِلاَّ أَنِّي سَمِعْتُ طَلْحَةَ يُحَدِّثُ عَنْ يَوْمِ أُحُدٍ
Sanad :
HADDASANA ABDULLAHI IBNU ABIL ASWAD – HADDASANA HATIM IBNU ISMAEEL – AN MUHAMMAD IBN YOUSUF KHALA SAMI’TU
As-Saib bin Yazid:
[ Sahih al-Bukhari 4062 ]
muwatta imam malik me jo do raavi hain Muhammad ibn yousuf aur
As – Saib bin yazid
upar ki sahih bukhari aur sahih muslim me ye do raavi same line same sanad se maujood hai. agar muwatta imam maalik ki 11 rakat waali hadees par koi ilzaam lagata hai ya zaeef kahta hai tho usko sahih bukhaari k baare me bhi sochna chahiye kyun k isi line se sahih bukhari aur sahih muslim me hadeesein maujood hai.
2. YAZEED BIN KHUSAIFAH RAHIMAHULLAH SE BOHT SE HADEESON ME 21 RAKAT TARAWEEH AAYI HAI
AHADEES
– Yazeed bin Khusaifa Rh. se 2 riwayaat Aayi hai.
Ek riwayat me 21 (20 Rakaat + 1 Witr) Rakaat Naql karte hai. (Fawaaid e Abubakr Lin Naisapuri : Hadees no 14, wa Isnaaduhu SAHEEH)
Dusri riwayat me 23 (20 Rakaat + 3 Witr) Rakaat Bayaan karte hai.Chunaanche,
Imam Abdur Razzaaq Rh. Al Mutawaffa 211 Hij. Farmaate hai ke
عَنِ ابْنِ جُرَيْجٍ قَالَ: أَخْبَرَنِي عِمْرَانُ بْنُ مُوسَى أَنَّ يَزِيدَ بْنَ خُصَيْفَةَ، أَخْبَرَهُمْ عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، عَنْ عُمَرَ قَالَ: جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، وَتَمِيمٍ الدَّارِيِّ فَكَانَ أُبَيٌّ يُوتِرُ بِثَلَاثِ رَكَعَاتٍ “
Sanad :
AN IBN JURAIJ KHALA : AKHBARANI IMRAN IBNU MOOSA ~ ANNA YAZEED IBN KHUSAIFAH~ AKHBARAHUM ANIS SAIB BIN YAZEED
Hazrat Umar bin Khattab Rdh. ne Logo ko Ubai bin Ka’ab aur Tamaam ad-Daari Rdhm par Jama, Toh Ubai bin Ka’ab Rdh. 3 Rakaat Witr Pardhaate the.
(Musannaf Abdur Razzaaq : Hadees no 7727, wa Isnaaduhu SAHEEH, wa Rijaaluhu Kulluhum Siqaatun)
SANAD: Abu Tahir Al-Faqeeh »» Abu Usman Al-Basri »» Abu Ahmed Muhammad bin Abdul Wahhab »» Khalid bin Makhlad »» Muhammad bin Ja’far »» Yazeed bin Khusayfah (rahmatullahi alaihim) »» Sa’ib bin Yazeed (raziallahu ta’la anhu)
MATN: Sa’ib bin Yazeed (raziallahu anhu) farmaate hain ke, “Hum Hazrat Umar (raziallahu anhu) ke Zamaane me 20 Raka’t (Taraweeh) aur Witr Parha karte.”
*[Muarifatus Sunan Wal Aasaar Lil Bayhaqi Jild 4, Page 42]*
*20 RAKA’T TARAAWEEH:*
*SANAD (Chain):* Ali ibnul Ja’ad »» Ibn Abi Zi’b »» Yazeed ibn Khusayfah (rahmatullahi alaihim) »» Saaib ibn Yazeed (raziallahu anhu)
*MATN (Text):* Sa’ib bin Yazeed (raziallahu anhu) rivayat karte hain ke: “Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ke Ahad (Daur) me Log Ramazan ke Maheene me 20 raka’t padhte the. Aur (Qaari Saahibaan) Qur’an me se Sou-Sou Aayaat waali Soortein parhte the.
*[Musnad Ibnul Ja’ad, Safha No. 1009-1010; Sunan Al-Kubra Bayhaqi]*
3. HAARIS BIN ABDUR RAHMAN IBN ABI ZIBB RAH.
Haaris bin Abdur Rehman Ibn abi Zibb Rh. ne 23 Rakaat (20 Rakaat + 3 Witr) Bataaya hai. (Musannaf Abdur Razzaak : Hadees no 7733, wa Isnaaduhu HASAN)
MUHAMMAD BIN YOUSUF RAHIMAHULLAH NE APNE USTAAD SAIB BIN YAZEED RAZIALLAHU ANHU SE UMAR RAZIALLAHU ANHU SE 11 RAKAT MA WITR BAYAN KIYA HAI AUR
YAZEED BIN KHUSAIFAH NE KABHI 21 THO KABHI 23 RAKAT TARAWEEH BAYAN KIYA HAI
TAMBEEH : YAZEED BIN KHUSAIFAH JO K APNE USTAAD SAIB BIN YAZEED RAZIALLAHU ANHU SE KABHI 21 RAKAT BAYAN KARTEY HAI THO KABHI 23
MUHADDISEEN KI
“YAZEED BIN KHUSAIFA” PAR JARAH HAI AUR INKA HAAFZA KAMZOOR HOGAYA THAA
DALEEL :
AWWALAN : (1)
UPAR ISHARATN DALEEL DEE JAA CHUKI HAI K
“YAZEED BIN KHUSAIFA RAH ” KABHI 21 RAKAT BAYAN KARTEY THO KABHI 23 RAKAT BAYAN KARTEY
(2)
Imam Abu Bakr Nisaburi Rahimahullah (Mutawafi 324 Hijri) ne kaha:
حدثنا يوسف بن سعيد، ثنا حجاج، عن ابن جريج، حدثني إسماعيل بن أمية أن محمد بن يوسف ابن أخت السائب بن يزيد أخبره، أن السائب بن يزيد أخبره قال: جمع عمر بن الخطاب الناس على أبي بن كعب، وتميم الداري، فكانا يقومان بمائة في ركعة فما ينصرف حتى نرى أو نشك في فروع الفجر قال فكنا نقوم بأحد عشر قلت أو واحد وعشرين، قال: لقد سمع ذلك من ابن السائب بن يزيد -ابن خصيفة، فسألت يزيد بن خصيفة، فقال: حسنتُ أن السائب قال أحدى وعشرين. قال محمد: أو قلت لإحدى وعشرين
SANAD :
YOUSUF BIN SAEED – HAJJAJ
– IBN JURAIJ – ISMAEEL BIN UMAYYA – MUHAMMAD BIN YOUSUF – SAIB BIN YAZEED
Saa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say rewayat hai kii Umar Bin Khatab (Radiallahu Anhu) ne loogo ko ubai Bin Ka’aab aur Tamimdari (Radiallahu Anhuma) k saath taraweeh padne k liye jama’a kardiya, toh yeh donu 1 rakat mein 100 ayaat padate thy phir jab hum nimaz say faraag hote thy toh hum ko lagta kii fajar ho chuke hai, Saa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) kahte hai kii hum 11 rakaat padte thy.
Is rewayat k rawe Ismail Bin Umya ne jab Muhammad Bin Yousuf say 11 rakaat ki adad sune toh Shagirid ne kaha:
قلت: أو واحد وعشرين.
Main ne kaha: Kya 21 rakaat?
Muhammad Bin Yousuf ne jawab diya:
قال: لقد سمع ذلك أن السائب بن يزيد – ابن خصيفة
Us (Muhammad) ne kaha: Beshak is tarha ki baat Ibne Khusaifah ne Sa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say sune hai,
Ismail Bin Umya ne kaha:
فسألت يزيد بن خصيفة.فقال: حسبت أن السائب قال: إحدى وعشرين
Pas main ne Yazeed Bin Khusafah say sawal kiya: Pas Us (Yazeed) ne kaha: Shayad Saa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) ne 21 rakaat kaha tha,
Is k baad Ismail Bin Umya ne kaha:
.قال محمد: أو قلت لإحدى وعشرين
Muhammad ( Bin Yousuf ) ne kaha: Kya main ne 21 kaha???
{Fawaid Abi Bakr Nasaburi: 135, Sanad Sahih}
Is rewayat mein goor kijeye kii Muhammad Bin Yousuf ne saib bin yazeed raziallahu anhu se 11 rakat taraweeh bayan kartey hain
un k shagird Ismail Bin Umaya ne jab 11 ki tadad sune toh mazeed yaad dila kar pucha kii kya 11 rakaat ya 21 rakaat???
yaha par shak aur doubt ismail Bin Umaya ko aaya kyun k unhone 21 ka zikr sun rakha thaa
Shagird k took ne k bawjood b Muhammad Bin Yousuf ne 11 rakaat ki tadad hi bataee aur farmaya (لقد beshak ) ye is baat ki pakki dalil hai kii Muhammad Bin Yousuf ko apne hafiza wa zabat par pura atimaad tha., Aur mazeed farmaya is tarha ki baat Ibne Khusaifah ne Sa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say sune hai,
Ab “Yazeed Ibne Khusafah” ka haal dekho jab shagrid ne un say tadad k bare mein sawal kiya toh Unhoo ne taradud zahir kiya apna gumaan farmaya aur yoo kaha kii mujay lagta hai kii Saib Bin Yazeed ne 21 rakaat ki tadad batlaaee thy aur Yazeed Ibne Khusafa ko yeh b maloom nahi dosri saathi kya tadad bayaan karte hai, is say saaf maloom hota hai kii Yazeed ko apne hafiza aur zabat par paka yaqeen nahi tha warna shaq ka izhaar na karte lihaza in ki baat mashkook hai.
Qarieen hazraath
ab aap hi dekhein
MUHAMMAD BIN YOUSUF JAB APNE USTAAD SAIB BIN YAZEED SE 11 RAKAT TARAWEEH ZIKR KARTEY HAIN THO KOI SHAK WA TARADDUD K BAGAIR BAYAN KARTEY HAIN
MUWATTA IMAM MALIK ME BHI IMAM MALIK RAHIMAHULLAH SE MUHAMMAD BIN YOUSUF AUR SAIB BIN YAZEED SE 11 RAKAT KI TADAAD AAYI HAI BINA KISI WHAM , SHAK WA SHUKOOK K
AUR JAB “YAZEED BIN KHUSAIFAH”
SE UNHI K SHAGIRD NE POOCHA THO APNA SHAK AUR TARADDUD IZHAR KARTEY HUYE KAHTEY HAIN ” MY SAMJHTA HUN 21 “
NOTE : ” AB FAISLA AAPKO KARNA HAI K AAP YAQEEN WAALE AMAL KI TASDEEK KARTEY HAIN YA SHAK AUR GUMAAN WAALE AMAL KI ? “
KUCH LOG ISS HADEES ME TAHREEF KARTEY HUYE APNI LAA ILMI KA SABOOTH DETEY HAIN KAHTEY HAIN K MUHAMMAD BIN YOUSUF NE BHI KAHA 21 AUR VOO BHI APNI 11 RAKAT SE PHIR GAYE
Al-Ijma Foundation walu ka dokha:
.قال محمد: أو قلت لإحدى وعشرين
Yeh jhoote muqalideen is ibaraat ka tarjama karte hai:
Balkii main kahta hoon yaqeenan 21
Jawab:
Yeh tarjama bilkul galat hai, dokha bazi hai.
Is ibarat mein Awa (أَوَ) Istifahaam inkaari hai
* KUCH LOG YE BHI AITERAAZ UTHAATEY HAIN K MUHAMMAD BIN YOUSUF KO APNE HAAFZA PAR YAQEEN THAA THO FIR KYUN YAZEED BIN KHUSAIFAH KA SAHARA LIYA
JAWAB : JAB ISMAEEL BIN UMAYYA NE INKO DOOBARA POOCHA TAB INHONE KAHA K YAZEED BIN KHUSAIFA SE POOCHLO UNHO NE BHI SAIB BIN YAZEED SE SUNA HAI … YAHA PAR ISMAEEL BIN UMAYYA KO YAQEEN DILAANE K LIYE AUR APNI BAATH KO TAQWEEYATH DENE K LIYE AISA KAHA HAI MUHAMMAD BIN
YOUSUF NE K AGAR TUMKO ABHI B YAQEEN NAHI YA KOI SHAK HAI THO YAZEED BIN KHUSAIFA SE BHI POOCHLO ..MUHAMMAD BIN YOUSUF NE APNE 11 WAALE TADAAD K SHAK ME YA HAFZE KI KAMI KI WAJAH SE AISA NAHI KAHA BALKE ISMAEEL BIN UMAYYA KO YAQEEN DILANE K LIYE AISA KAHA
( HAMARE YAHA BHI AISA HOTA HAI K HUM BHI KABHI KABAAR KAH DETEY HAIN K UNSE BHI POOCHLO AGAR MUJH PAR YAQEEN YA EITEMAAD NA HO THO )
AUR FIR MUHAMMAD BIN YOUSUF APNE 11 WAALE TADAAD KO TARK BHI THO NAHI KIYA…
MUHAMMAD BIN YOUSUF AGAR APNI 11 RAKAT WAALI BAATH SE RUJU KARTEY YAA SHAK HOTA YA UNKA HAFZA KHARAB THAA THO INSE AAGE INKE SHAAGIRD ME SE KISI NE THO BAYAN KIYA HOTA K HAMARE USTAAD MUKHTALITH HOGAYE THAE YA APNI 11 KI TADAD SE RUJU KARLIYA THAA
BALKE AISA NAHI HAI MUHAMMAD BIN YOUSUF SE AAGE INKE SHAAGIRD 11 RAKAT TARAWEEH KI TADAAD BAYAN KARTEY HAIN AUR BINA KISI SHAK WA SHUKOOK KE
👇👇👇👇
Muhammad Bin Yousuf (Rahimahullah) k 6 shagirid aur Imam Malik (Rahimahullah) 11 rakaat taraweeh nakal karte hai, Imam Malik ki sab mutaba’aat pesh-e-khidmat hai:
Mutaba’at no.1: [Ismail Bin Umeya, Mutawafi: 144 Hijri]
حدثنا يوسف بن سعيد ثنا حجاج عن ابن جريج حدثنى إسماعيل بن أمية أنّ محمد بن يوسف ابن أخت السّائب بن يزيد أخبره أنّ السّائب بن يزيد أخبره قال: جمع عمر بن الخطاب الناس على أبي بن كعب و تميم الدارى فكانا يقومان بمائة فى ركعة فما ننصرف حتى نرى أو نشك فى فروح الفجر. قال: فكنا نقوم بأحد عشر.
Ismail Bin Umeya (Rahimahullah) ne Muhammad Bin Yousuf say naqal kiya, wo Saa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say naqal karte hai kii Unhoon ne kaha: Umar Bin Khataab (Radiallahu Anhu) ne loogu ko Abi Bin Ka’ab aur Tameem Dari (Radiallahu Anhuma) k saath taraweeh padne k liye jama’a kar diya, toh yeh donu ek rakaat mein 100 ayaat padte thy phir jab hum nimaz say farig hote toh hum ko lagta kii fajar ho chuki hai, Sa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) kahte hai kii hum loog 11 rakaat padte thy.
{Fawaid Abi Bakr Nasaburi: 135, Sanad Sahih}
Mutaba’at no.2: [Asama Bin Zaid, Mutawafi: 153]
حدثنا الربيع بن سليمان ثنا ابن وهب حدثنى أسامة بن زيد عن محمد بن يوسف عن السائب بن يزيد قال: جمع عمر بن الخطاب الناس فى قيام رمضان على أبى بن كعب و تمميم الدارى كانا يقومان أحد عشرة ركعة.
Asma Bin Zaid (Rahimahullah) ne Muhammad Bin Yousuf say naqal kiya, wo Sa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say naqal karte hai kii Umar Bin Khataab (Radiallahu Anhu) ne ramzaan mein loogu ko Abi Bin Ka’ab aur Tameem Dari (Radiallahu Anhuma) k saath taraweeh padne k liye jama’a kar diya toh yeh donu 11 rakaat padate thy.
{Fawaid Abi Bakr Nasaburi: 135, Sanad Sahih}
Mutaba’at no.3: [Ismail Bin Ja’afar Bin Abi Kaseer, Mutawafi: 180 Hijri]
حَدَّثَنَا عَلِيٌّ، ثنا إِسْمَاعِيلُ، حَدْثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ يُوسُفَ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ يَزِيدَ الْكِنْدِيُّ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ «أَنَّهُمْ كَانُوا يَقُومُونَ فِي زَمَنِ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ بِإِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً يَقْرَءُونَ فِي الرَّكْعَةِ بِالْمِائَتَيْنِ حَتَّى إِنَّهُمْ لَيَعْتَمِدُونَ بِالْعِصِيِّ»
Ismail Bin Ja’afar (Rahimahullah) ne Muhammad Bin Yousuf say naqal kiya, wo Sa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say naqal karte hai kii Unhoon ne kaha kii loog Umar Bin Khataab (Radiallahu Anhu) k door mein 11 rakaat taraweeh padte thy aur ek rakaat mein 100, 100 aayaat padte thy yahaan tak kii taweel qayaam ki waja say laathe par take laga kar khaday hote thy.
{Ahadith Ismail Bin Ja’afar, Safa no.499, Hadith no.440, Sanad Sahih}
Muta’abat no.4: [Abdul Aziz Bin Muhammad, Mutawafi: 186 Hijri]
قَالَ سَعِيدُ بْنُ مَنْصُورٍ فِي سُنَنِهِ: حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنِي محمد بن يوسف: سَمِعْتُ السَّائِبَ بْنَ يَزِيدَ يَقُولُ: كُنَّا نَقُومُ فِي زَمَانِ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ بِإِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً نَقْرَأُ فِيهَا بِالْمِئِينَ، وَنَعْتَمِدُ عَلَى الْعِصِيِّ مِنْ طُولِ الْقِيَامِ، وَنَنْقَلِبُ عِنْدَ بُزُوغِ الْفَجْرِ.
Abdul Aziz Bin Muhammad (Rahimahullah) ne Muhammad Bin yousuf say naqal kiya, wo Sa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say naqal karte hai kii Unhoon ne kaha hum Hazrat Umar (Radiallahu Anhu) k zamane mein 11 rakaat taraweeh padte thy hum 100, 100 aayaat padte thy aur laathi par take laga kar khaday hote thy aur fajar k qareeb hi nimaz say farig hote thy.
{Al-Hawi Lil-Fatawi, Jild no.1, Safa no.416, Masabeha Fee Salatil Taraweeh, Safa no.38, Sanad Sahih}
Muta’abat no.5: [Yahiya Bin Sa’ed Al-Qatan, Mutawafi: 198 Hijri]
حَدَّثَنَا أَبُو مُحَمَّدٍ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ يُونُسَ، قَالَ: ثنا بَقِيُّ بْنُ مَخْلَدٍ، رَحِمَهُ اللَّهُ، قَالَ: ثنا أَبُو بَكْرٍ، قَالَ: ثنا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ الْقَطَّانُ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ، أَنَّ السَّائِبَ أَخْبَرَهُ: «أَنَّ عُمَرَ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيٍّ وَتَمِيمٍ فَكَانَا يُصَلِّيَانِ إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً يَقْرَآنِ بِالْمِئِينَ» يَعْنِي فِي رَمَضَانَ
Imam Yahiya Bin Sa’ed Al-Qataan (Rahimahullah) ne Muhammad Bin Yousuf say naqal karte hai, wo Sa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say naqal karte hai kii Umar Bin Khataab (Radiallahu Anhu) ne ramzaan mein loogu ko Abi Bin Ka’ab aur Tameem Dari (Radiallahu Anhuma) k saath taraweeh padne k liye jama’a kar diya toh yeh donu 11 rakaat padte thy aur har rakaat mein 100, 100 aayaat padte thy.
{Musanaf Ibne Abi Shaiba, Jild no.3, Safa no.352, Hadith no.7754, Dosra Nuskha, Jild no.2, Safa no.162, Hadith no.7671, Teesra Nuskha, Jild no.5, Safa no.220, Hadith no.7753, Sanad Sahih}
Muta’abat no.6: [Muhammad Bin Ishaq, Mutawafi: 150 Hijri]
حدثنا أبو الأزهر ثنا يعقوب بن إبراهيم حدثنى أبي عن ابن إسحاق قال حدثنى محمد بن يوسف بن عبدالله بن أخت السائب عن السائب قال كنّا نصلى فى زمن عمر بن الخطاب فى رمضان ثلاث عشرة ركعة و ما كنّا نخرج إلا فى وجاه الصبح كان القارء يقرأ فى كل ركعة خمسين اية ستين اية.
Imam Muhammad Bin Ishaq (Rahimahullah) ne Muhammad Bin Yousuf say naqal kiya, wo Sa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say naqal karte hai kii Unhoon ne kaha hum Umar Bin Khataab (Radiallahu Anhu) k door mein ramzaan mein 13 rakaat padte thy aur hum subha k qareeb hi nimaz say farig hote thy aur qari ek ayaat mein 50 say 60 ayaat ki tilawat karta tha.
{Fawaid Abi Bakr Nasaburi: 136, Sanad Hasan}
Note: Is rewayat mein b maanwi toor par mutabat ho rahi hai kyunkii yeh rewayat Imam Malik (Rahimahullah) ki rewayat k khilaaf nahi hai kyunkii is rewayat mein tatbeeq mumkin hai wo aisey 8 rakaat taraweeh aur 3 rakaat witr aur 2 rakat fajar ki sunnath.
Waise b iss riwayat me 21 ya 23 ka zikr tho nahi hai na , Agar 21 ya 23 ka zikr hota tho isse hujjath pakard saktey thae …
EK ZAEEF RIWAYATH PESH KARTEY HAIN YE SAABITH KARNE K LIYE KE
MUHAMMAD BIN YOUSUF NE 11 RAKAT WALI TADAD SE RUJU KIYA THAA 👇👇
عَنْ دَاوُدَ بْنِ قَيْسٍ، وَغَيْرِهِ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، ” أَنَّ عُمَرَ: جَمَعَ النَّاسَ فِي رَمَضَانَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، وَعَلَى تَمِيمٍ الدَّارِيِّ عَلَى إِحْدَى وَعِشْرِينَ رَكْعَةُ يَقْرَءُونَ بِالْمِئِينَ وَيَنْصَرِفُونَ عِنْدَ فُرُوعِ الْفَجْرِ”
Dawood Bin Qayaas wagarah ne Muhammad Bin Yousuf say naqal kiya hai, unhoon ne Sa’ib Bin Yazeed (Radiallahu Anhu) say rewayat kiya kii unhoon ne kaha: Umar Bin Khataab (Radiallahu Anhu) ne Ramzan mein logu ko Abi Bin Ka’ab aur Tameem Dari (Radiallahu Anhuma) k saath 21 rakaat taraweeh padne k liye jama’a kar diya, yeh 100, 100 aayaat padte thy aur fajar k qareeb hi nimaz say farag hote thy.
{Musanaf Abdur Razaq, Jild no.4, Safa no.260-261, Hadith no.7730, Dosra Nuskha, Jild no.4, Safa no.82, Hadith no.7868}
Tahqiq: Yeh rewayat daragzail wojuhaat ki waja say daif hai:
Imam Abdur Razaq (Rahimahullah) aakhiri umar mein mukhtalit hogaye thy is liye aakhiri door mein Unhoo ne jo rewayaat bayaan kiye hai wo munkar hai:
1.Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) farmate hai:
أَتَيْنَا عَبْدَ الرَّزَّاقِ قَبْلَ الْمِائَتَيْنِ، وَهُوَ صَحِيحُ الْبَصَرِ وَمَنْ سَمِعَ مِنْهُ بعدما ذهب بصرهن فَهُوَ ضَعِيفُ السَّمَاعِ.
Hum Abdur Razaq k pass 200 Hijri say phele gaye thy aur Un ki nazar sahih the, Jis ne Un k nabeena hone k baad suna hai Unka sama daif hai.
{Tareekh Abi Zurah Dimashqi, Safa no.215, Raqam no.1160, Dosra Nuskha, Safa no.457, Sanad Sahih}
2.Imam Nasai (Rahimahahullah) farmate hai:
فِيهِ نظر لمن كتب عَنهُ بِأخرَة
Jin hazaat ne aakhir mein Un say ahadith likhe hai, un mein nazar hai.
{Dua’afa Wal Matrokeen, Safa no.164, Raqam no.400, Dosra Nuskha, Safa no.69, Raqam no.379}
3.Imam Ibne Aadi (Rahimahullah) farmate hai:
لا بأس به إلاَّ أنه قد سبق منه أحاديث فِي فضائل أهل البيت ومثالب آخرين مناكير
Aap mein koi harij ki baat nahi hai, magar Ahle Baiyat k fazail aur baaz ki mazamat mein In say munkar rewayaat bayaan hue hai.
{Al-Kamil, Jild no.6, Safa no.545}
4.Imam Darqutni (Rahimahullah) farmate hai:
ثقة يخطئ على معمر في أحاديث لم تكن في الكتاب
Aap siqa thy, Kitab say bahir yeh Ma’amar ki ahadith mein khata karte thy.
Aur farmate hai:
فيه نظر لمن حدث عنه بأخرة
Jis ne In say aakhir mein rewayat kiya hai un ki hadith mein nazar hai.
{Sowalat Ibne Bakeer Lid Darqutni, Safa no.35, Raqam no.20}
5.Hafiz Ibne Hajar (Rahimahullah) farmate hai:
ثقة حافظ مصنف شهير عمي في آخر عمره فتغير
Aap siqa, hafiz, mashoor musanif hai, aakhir mein baseerat chalegaye, phir ikhtilaat k shikaar hogaye.
{Taqreeb At Tahzeeb, Safa no.354, Raqam no.4064}
Maloom hua kii Imam Abdur Razaq (Rahimahullah) aakhiri umar mein ikhtilaat k shikaar hue thy lihaza jin shagirdoon ne ikhtilaat k baad Abdur Razaq say suna hai toh wo rewayat hujjut nahi, Is rewayat ko b Abdur Razaq say Abu Ya’aqoob Ishaq Bin Ibrahim Bin Abaad Ad-Dabri ne rewayat kiya hai aur Ishaq Bin Ibrahim Bin Abaad Ad-Dabri ne Abdur Razaq say ikhtilaat k baad rewayat kiye hai jis k kuch dalail pesh-e-khidmat hai:
1. Imam Ibne Aadi (Rahimahullah) farmate hai:
استصغره عَبد الرَّزَّاق أحضره أبوه عنده، وَهو صغير جدا فكان يقول: قرأنا على عَبد الرَّزَّاق أي قرأ غيره، وحضر صغيرا وحدث عنه بحديث منكر.
Abdur Razaq k pass Yeh (Dabri) bohut kam umar mein aaye thy, In k walid Unhay In k paas laye thy, us waqt yeh bohut chotay thy toh yeh kahta tha: Hum ne Abdur Razaq k saamne pada, matlab tha kii In k ilawa dosray loogu ne pada aur yeh bohut kam umari mein Abdur Razaq k pass hazir hue thy aur Inhoon ne Abdur Razaq say munkar ahadith bayaan kiye hai.
{Al-Kamil, Jild no.1, Safa no.560}
2.Imam Ibn Salaha (Rahimahullah) farmate hai:
قَدْ وَجَدْتُ فِيمَا رُوِيَ عَنِ الطَّبَرَانِيِّ عَنْ إِسْحَاقَ بْنِ إِبْرَاهِيمَ الدَّبَرِيِّ عَنْ عَبْدِ الرَّزَّاقِ أَحَادِيثَ اسْتَنْكَرْتُهَا جِدًّا، فَأَحَلْتُ أَمْرَهَا عَلَى ذَلِكَ، فَإِنَّ سَمَاعَ الدَّبَرِيِّ مِنْهُ مُتَأَخِّرٌ جِدًّا
Main ne Tabrani An Ishaq Bin Ibrahim Dabri An Abdur Razaq k tareeq say marvi kaee ahadith paaye jin k matn Main ne shaded nakaarat mahsoos kiye toh main ne isay Abdur Razaq k hafizay k kharabe hi ka nateja samja kyunkii Dabri ka Abdur Razaq say sama’a bohut ba’ad mein hai.
{Muqadimah Ibne Salaha, Safa no.396, Dosra Nuskha, Safa no.498}
3.Imam Zahabi (Rahimahullah) farmate hai:
ما كان الرجل حديث، وإنما أسمعه أبوه واعتنى به، سمع من عبد الرزاق تصانيفه، وهو ابن سبع سنين أو نحوها، لكن روى عن عبد الرزاق أحاديث منكرة
Yeh shakhz hadith wala nahi tha, jabkii Is k baap ne Isay sunaya tha, Is ne Abdur Razaq say Un ki tasaneef ko suna aur us waqt yeh kam wa baash saath (7) saal ka tha laykin Is ne Abdur Razaq say munkar ahadith b bayaan kiye hai.
{Meezaanul Atidaal, Jild no.1, Safa no.181, Raqam no.731}
4.Sheikh Albani (Rahimahullah) farmate hai:
ورجاله ثقات؛ لولا أن الصنعاني وهو الدبري سمع من عبد الرزاق في حالة الاختلاط كما قال ابن الصلاح
Aur is k rijaal siqa hai, agar Da’aani ya’ani Dabri ne Abdur Razaq say halat-e-ikhtilaat mein na suna hota jaisay kii Ibne Salaha ne kaha hai.
{Silsalatul Ahadith As-Sahiha, Jild no.9, Safa no.327, Hadith no.4342}
Aur farmaya:
أن الإسناد الذي ساقه لا تقوم به حجة؛ لأنه من رواية الدبري عن عبد الرزاق؛ فإن الدبري – مع أنه قد تكلم بعضهم فيه؛ فإنه – ممن سمع من عبد الرزاق بعد اختلاطه
Jis isnaad ko Unhoon ne bayaan kiya hai, ussay hujjut qaaim nahi hote kyunkii is mein Dabri, Abdur Razaq say rewayat kar rahay hai aur Dabri khud mukhtalif feehi hone k saath Abdur Razaq say Un k ikhtilaat k ba’ad rewayat karte hai.
{ Silsalatul Ahadith As-Sahiha, Jild no.11, Safa no.521, Hadith no.5326}
Aur farmaya:
وفيه كلام معروف.
Aur in mein kalaam ma’aroof hai.
{Silsalatul Ahadith As-Sahiha, Jild no.7, Safa no.104, Hadith no.3103}
LIHAZA SAABITH HUA K MUHAMMAD BIN YOUSUF NE 11 RAKAT WALI RIWAYTH SE RUJU NAHI KIYA !!
RUJU KARTEY BHI KYUN JAB K YAQEEN K SAATH MUHAMMAD BIN YOUSUF AUR UNKE 6 SHAAGIRD 11 RAKAT KA HI ZIKR KARTEY RAHE HAIN ….
YAZEED BIN KHUSAIFAH JOO
21 AUR 23 RAKAT TARAWEEH BAYAN KARNE WAALE IN PAR MUHADDISEEN KI JARAH
Imam Ibn hibban Rh Ki yazeed bin kuzaifa Rh k hafize pr jarah or kuch log ne is jarah Ko rad krne ki koshish ki us ka bhi jawab
امام ابن حبان رحمه الله (المتوفى354) ، چنانچہ موصوف نے کہا:
يزيد بن عبد الله بن خصيفة من جلة أهل المدينة وكان يهم كثيرا إذا حدث من حفظه [مشاهير علماء الأمصار لابن حبان: ص: 135]۔
۔۔۔۔۔۔۔
یہاں امام ابن حبان رحمہ اللہ کی جرح کو تشدد کا حوالہ دیکر رد کرنے کی گنجائش نہیں ہے کیونکہ امام ابن حبان رحمہ اللہ اس کی ثقاہت کے منکر نہیں ہیں ، بلکہ اسے اپنی کتاب ثقات میں ذکرکیا ہے، اوریہاں وہ وہ اس کے حافظہ پر مفسر جرح کررہے ہیں ، لہٰذا یہ خاص اور مفسر جرح قابل قبول ہے ، بالخصوص جبکہ امام احمد رحمہ اللہ کی مذکورہ جرح سے بھی اس کی تائید ہوتی ہے۔
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
Via : Salah Ansari
Hafiz zehbi Rh ki jarah
Hafize pr
امام ذهبي رحمه الله (المتوفى748) ، چنانچہ موصوف نے اس روای کو ضعفاء کی کتاب میزان میں نقل کرتے ہوئے کہا:
يزيد بن عبدالله بن خصيفة ، وقد ينسب إلى جده فيقال: يزيد بن خصيفة. عن السائب بن يزيد، وعروة، ويزيد بن عبدالله بن قسيط. وعنه مالك، وطائفة. وثقه أحمد من رواية الاثرم عنه، وأبو حاتم، وابن معين، والنسائي. وروى أبو داود أن أحمد قال: منكر الحديث.[ميزان الاعتدال للذهبي: 4/ 430]۔
یاد رہے کہ امام ذہبی رحمہ اللہ نے امام احمدکے قول پر کوئی تعاقب نہیں کیا ہے ، اس سے معلوم ہواکہ امام ذہبی رحمہ اللہ بھی اسے ثقہ ماننے کے ساتھ اس کے حافظہ پرکلام کو تسلیم کرتے ہیں۔
Via : Salah Ansari
Yazeed bin kuzaifa k hafize prr imam Ahmed bin hambal ki jarah jo sabit hai tafseel dekhte
امام أحمد بن حنبل رحمه الله (المتوفى241) ، چنانچہ امام مزي رحمه الله نے کہا:
وَقَال أبو عُبَيد الآجري ، عَن أبي داود : قال أحمد : منكر الحديث[تهذيب الكمال للمزي: 32/ 173 ]۔
بعض اہل عم کا یہ کہنا ہے کہ امام احمدرحمہ اللہ نے یہاں منکر سے منفرد حدیث بیان کرنے والا مراد لیا ہے بے دلیل ہے۔
تنبیہ:
کچھ لوگ کہتے ہیں کہ دکتور بشار عواد نے امام احمد کے اس قول کو غیرثابت قراردیا ہے اورکہا:
هذا شيء لم يثبت عن أحمد ، فيما أرى والله أعلم ، فقد تقدم قول الأثرم عنه ، وفي العلل لابنه عَبد الله ، أنه قال : ما أعلم إِلاَّ خَيْرًا (٢ / ٣٥) وهو توثيق واضح.[تهذيب الكمال للمزي: 32/ 173]۔
عرض ہے کہ :
الف:
اگربشار صاحب نے اس قول کرغیرثابت کہا ہے تو دیگراہل علم نے ان پر رد بھی کیا ہے مثلا علامہ اسحاق الحوینی فرماتے ہیں:
ولعل هذا الاختلاف من يزيد بن خصيفة، فهو وإن كان ثقة إلّا أن أحمد قال في رواية: “منكر الحديث”، وقد خولف فيه كما يأتي, وزعم المعلق على “تهذيب الكمال” “٣٢/ ١٧٣” أن هذا لم يثبت عن أحمد، ولم يُبْدِ حجة سوى قوله: “فيما أرى”! وبأن أحمد قال: “لا أعلم إلا خيرًا”، وهذا القول لا يمنع أن يكون لأحمد فيه قول آخر, والله أعلم.[فضائل القرآن لابن كثير ص: 117 حاشیہ]۔
ب:
اس قول کو امام احمدبن حنبل سے امام ابوداؤد نے روایت کیا اور ان سے ابوعبیدنے پھر اسی کی کتاب سے امام مزی نے اس قول کو نقل کیا پھر اسے غیرثابت کہنا کیا معنی رکھتاہے۔
ج:
امام احمدرحمہ اللہ ہی کی طرح ابن حبان رحمہ اللہ نے بھی یزید بن خصیفہ کے حفظ پر کلام کیا ہے لہٰذا امام احمدرحمہ اللہ مذکورہ جرح میں منفرد نہیں ، دریں صورت امام احمد رحمہ اللہ کی اس جرح کو غیرثابت کہنا غیرمعقول ہے۔
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
الاجماع کے مضمون نگارصاحب نے امام احمد کے اس قول پر اعتراض کرتے ہوئے لکھتے ہیں:
سؤالات ابوعبید الآجری میں یہ قول ہے ہی نہیں ، نہ مطبوعہ میں اور نہ ہی مخطوطہ میں (مجلہ الاجماع شمارہ 1 ص26)
عرض ہے کہ:
اولا:
مضمون نگار پر کہاں سے یہ وحی آئی ہے کہ مخطوطہ میں بھی یہ قول موجود نہیں ہے ، کیا مضمون نگار نے سؤالات الآجری کا مکمل مخطوطہ دیکھا ہے؟ یا ایسے ہی ہوائی قیاس آرائی فرمائی ہے ؟ گذارش ہے کہ کم ازکم الاجماع نامی مجلہ میں اس طرح کی قیاس آرائیوں کا مظاہرہ نہ کیا کریں ۔
قارئین کی اطلاع کے لئے ہم عرض کردیں کہ ہماری معلومات کی حدتک سؤالات الآجری کا کوئی بھی ایسا مخطوطہ اب تک منظر عام پر نہیں آیا ہے جو مکمل ہو ، لہٰذا یہ کہنا کہ مخطوطہ میں بھی یہ قول نہیں ہے رجما بالغیب کے سوا کچھ نہیں ۔
ثانیا:
یہ قول ہم نے امام مزی کی کتاب تہذیب الکمال سے نقل کیا ہے اور امام مزی نے اس کتاب میں یہ قول ابوعبیدالآجری کی کتاب سے نقل کیا ہے ، لہٰذا اس پر اعتراض کی کوئی گنجائش ہی نہیں ہے ۔اگر سؤلات الآجری کا وہ حصہ مفقود ہے جس میں یہ قول تھا تو اس سے کوئی فرق نہیں پڑتا کیونکہ امام مزی نے اسی حصہ سے اس قول کو اپنی کتاب میں نقل کررکھا ہے ۔
Via : Salah Ansari
YAZEED BIN KHUSAIFA YE WAHI RAAVI HAI JO SAIB BIN ZAEED SE KABHI 21 THO KABHI 23 BAYAN KARTEY HAIN
AUR BHI BOHT SAARE WAJUHAATH HAIN JINSE YE PATA CHALTA HAI K JISS RIWAAYATH ME 21 YA 23 KA ZIKR HAI USME YAZEED BIN KHUSAIFA RAH ., HONGE THO VOO HADEES BILA SHUBA SHAAZ AUR ZAEEF HOGI..
HAFIZ ABU YAHYA NOORPURI HAFIZAHULLAH NE
2018 ME EK VIDEO ME ISS KI SAARI WAZAHTH KI HAI …
AUR AL IJMA FOUNDATION DEOBANDIO KA UNKO JAWAB DIYA GAYA HAI
Ye Dekhiye :
AL HAASIL :
MUHAMMAD BIN YOUSUF RAH., NE UMAR RAZIALLAHU ANHU KA SAHABA IKRAM RAZIALLAHU ANHU KO 11 RAKAT TARAWEEH MA WITR JAMA KARNA SAABITH HOTA HAI AUR YAHI SUNNATH HAI…
YAZEED BIN KHUSAIFAH RAH., KA HAFEZA KAMZOOR HOGAYA THAA AYIMMA MUHADDISEEN KI UN PAR JARAH MAUJOOD HAI AUR WO KHUD BHI KABHI 21 THO KABHI 23
RAKAT BATATEY HAIN AUR POOCHNE PAR GUMAAN AUR TARADDUD IZHAR KARTEY HAIN K MY SAMJHTA HUN 21
LIHAZA JIS HADEES ME BHI YAZEED BIN KHUSAIFAH HONGE AUR 21 YA 23 RAKAT ZIKR KARENGE THO VOO RIWAYATH ZAEEF HOGI
ZAEEF RIWAYATH BA MUKABLA SAHEEH YA HASAN RIWAYATH KAABILE KABOOL NAHI
SHAK AUR TARADDUD BA MUKABLA YAQEEN KAABILE KABOOL NAHI
ALLAH TALA HAMEIN SUNNATH PAR AMAL KARNE WAALA BANAYE
AUR INN JHAGRON ME PARDNE SE BACHAYE HAQ KO APNA NE KI TAAQAT AUR TAUFEEQ ATAA FARMAAYE
AAMEEN YA RABBUL AALAMEEN…