Daadhi ke Hadd ki Shar’ee Haisiyat Ke Bareme Ulama-e-Ahle hadees Mein Ikhtilaaf hai Lekin Raje Qaul Yehi hai ke Ek Muthi Daadhi ke Zayed baal Kaatna Jaaiz hai aur Yehi Sunnat hai Aur Yehi Mouqif Shaykh Al- Allamah, Mujtahid, Faqee, Muhaddis Nasiruddin Al Albani Ka.
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Dhaadi Mubarak Kitni Thi Daleel ki Roshni Mein
Daleel : 1
Abdullah bin Jafar Farmate Hain : Rasoolullah ﷺ Jab Qazaye Haajat se Tashreef Laye , Aur Wazu Kiya , Jab Aap Tashreef Laye to Paani ke Qatre Aap ki Daadhi Mubarak Se Gir kar Aapke Seenay pe Tapak Rahe The
[Musnad Ahmed : Hadees no : 1754 , isnaad Saheeh Hain Saheeh Muslim ke Sharat pe aur Is iss Sanad ke Tamam Raawion Siqah hain aur Tamam Raawion Saheeh Bukhari aur Sahee Muslim ke Hain Siwaye al Hasan bin Sa’ad ye Aek Raawi Saheeh Muslim ka Hain.
Aur Allamah Albany bhi iss hadees ko Apni Kitab Saheehah mein Laye Hain No.20 ]
Note : iss Hadees dekha Jaye to Agar Nabi ki Daadhi Mubarak Agar seena Tak hain ya Seene ke niche Tak hain to Paani ke Qatre Zameen pe padta Tha Na ke Seene pe. Agar Nabi ka Daadhi Mubarak ka lambayi An Nahar yaani Gardan ya Seene ka Uper ka Hissah Tak hain to Mumkin Hain ke Paani ke Qatre seene pe pada Hain.
Daleel – 2
حدثنا محمد بن جعفر حدثنا عوف بن أبي جَميلة عن يزيد الفارسي قال: رأيت رسول الله-صلي الله عليه وسلم- في النوم زمنَ ابن عباس، قال: وكان يزيد يكتب المصاحف، قال: فقلت لابن عباس: إني رأيت رسول الله – صلى الله عليه وسلم – في النوم، قال ابن عباس: فإن رسول الله كان يقول: “إن الشيطان لا يسِتطيع أن يتشبَّه بي، فمن رآنى في النوم فقد رآنى”، فهل تستطيع أن تنعت ليا هذا الرجل الذي رأيتَ؟، قال: قلت: نعم، رأيت رجلاً
بين الرجلين جسمُه ولحمه، أسمر إلى البياض، حسن المَضْحَك، أكحل العينين، جميلُ دوائر الوجه، قد ملأت لحيته من هذه إلى هذه، حتى كادت تملأ نحره، قَال عوف: لا أدري ما كان مع هذا منِ النعت، قال: فقال ابن عباس: لو رأيتَه في اليقظة ما استطعتَ أن تنعتَه فوق هذا.
Yazeed Faarsi Rahmatullah Alai farmate hai ke ” Ek Martaba Hazrat Ibn Abbas RaziAllahu Anhu ke Hayaat me Muje khwab me Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ka sharf haasil huwa. Yaad rakhe ke Yazeed Quran e kareem ke Nuskhe likha karte the.
Wo farmate hai ke : ” Maine Ibn Abbas RaziAllahu Anhu ko is khwab ke baareme tazkarah kiya, tho aap Ibn Abbas RaziAllahu Anhu ne farmaya ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ::
“Shaitaan me itni taaqat nahi ke wo meri shubaahat ikhtiyaar karsake, isliye jjisey khwab me meri ziyaarat huwi wo yakheen karle ke usne mujko dekha hai “, kya tumne khwab me jis hastii ko dekha hai unka huliya bayan karsakte ho ??
Maine arz kiya, Ji haan !!…….
Jinki Daadhi Yahase yahan tak bharii huwi thi aur khareeb Gardan (ya Gale) Ke hisse ko bhari huwi thi.
Ibn Abbas RaziAllahu Anhu farmate hai k :
“Agar tum Bedaari me unki ziyaarat karte tho shayad issey jyada unka huliya bayan nahi karsakte “
[Tabaqat Ibn e Sad 1/417, Ibn e Abi Shaybah 11/525, Musnad Ahmad 1/361-62, Musnad Abu Ya’ala, Shamail al Tirmidhi 393, Ibn e Asakir 1/229]
Hadees ko Saheeh Kahne wale:
Hafiz Ibn hajr is hadees ki sanad ko hasan qarar diya hai :
{ Fatah ul Bari Sharh sahih al bukhari : 657 / 6 }
Allamah Haishmi Rahmatullah Alai ne bhi is Hadees ke Urwaad ke baareme likte hai ke :
“ Rijaal ul Siqaat “
{ Majmua al Zawaad 272/8 }
Imaam Zarkhaani Rahmatullah Alai ne is hadees ke baareme farmaya hai :
“ Isnaad Hasan “
{ Sharh 439/4 }
Maujooda Hadees me Ravi Yazeed Al Faarsi Ibn Hajr Rahmatullah Alai ke aagey MAQBOOL hai.
Aur Ye ravi se Abu Dawud, TIrmizi aur Nasa’ee ne bhi Rivayat kiye hai.
Misbah al-Lughaat me yeh zikr kiya gaya hai ke
” Al Nahr ke maana Seene ke upar ka hissa, gardann ke neeche ka hissa, Gardann “
[Misbah al Lughaat Safa # 824, Al Qamus al Waheed Safa # no. 1618]
IslamQA me bhi yeh zikr huwa hai ke :
_ يعني أن لحيته الشريفة عليه الصلاة والسلام لم تكن طويلة تملأ صدره ، بل تكاد تملأ نحره ، والنحر هو أعلى الصدر ،_
” Yaani Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ki Daadhi Mubaarak utni lambi nahi thi jaisa ke seene par phaili huwi ho, magar wo Nahrahu par bhari huwi thi, aur Al Nahr thoh Seene ke upar hy “
[ fatwa no:147167]
Shaykh Zybair Ali Zai ne bhi Tarjuma kiya hai :
” Isse aapke Seene ka baalayi hissa bhara huwa tha”
{ Al Hadees : 113, Safa # 18 }
Hadees :
Jabir b. Samura RaziAllahu Anhu ki Saheeh Muslim ki hadees 2344, me jo zikr huwa hai Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Dhaadi Ghani Thi.
1.Abu Ubayd al Qasim bin Salam Rahmatullah Alai (Mutawaffa 224 h) ne Farmaya :
الكثوثة أن تكون اللحية غير دقيقة ، ولا طويلة ، ولكن فيها كثاثة من غير عِظَمٍ ولا طول ”
” Iska maana yeh hai ke Daadhi utni patli nahi thi aur naahi utni lambi thi magar Ghanii thi…..
[at-Tabarani in Mu`jam al Kabeer 22/159]
2. Abul Abbas al Qurtubi ne farmaya :
” لا يفهم من هذا أنه كان طويلها ، فإنَّه قد صحَّ أنه كان كثَّ اللحية ؛ أي : كثير شعرها غير طويلة “
” Iska Yeh maana nahi ke Nabi E Kareem Sallallahu Alai Wasallam ki Daadhi Mubaarak Lambi thi. iska yeh maana hai ke wo Ghanii thi magar lambi nahi thi “
[”المفهم لما أشكل من تلخيص صحيح مسلم” (6/135)]
3.Ibn Hajr al Asqalani Rahmatullah Alai ne farmaya :
قَوْله كث اللِّحْيَة أَي فِيهَا كَثَافَة واستدارة وَلَيْسَت طَوِيلَة
” Wo Ghanni aur goll thi, wo lambi nahi thi “
[Muqaddima Fath al Bari 1/178]
Sahaba kiraam se badkar koi Nabi e Sallallahu Alai Wasallam ki hadees ko samajsaka hai ??
Ibn Masood RaziAllahu Anhu farmate hai ke :
والله لقد جئتم ببدعة ظلماء أو قد فضلتم أصحاب محمد صلى الله عليه و سلم علما
“ Wallah, tum ek imtihayi bidaat shuru karte ho ya Sahaba e Rasool Sallallahu Alai Wasallam ke ILM se jyada tajawus karrahe ho ?? “
{ Al Mujam Al kabeer Al Tabarani : 9/126 }
Ibn Abbas RaziAllahu Anhu farmate hai ke :
“أَتُعَلِّمُنِي بِالسُّنَّةِ لاَ أُمَّ لَكَ . “
“ Tum Muje Sunnah sikhaaoge ?? “
{ Sahih Muslim # 1523 }
Imam Tirmizi Rahmatullah Alai farmate hai ke :
لِأَنَّ ابْنَ عُمَرَ هُوَ رَوَى عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَهُوَ أَعْلَمُ بِمَعْنَى مَا رَوَى
Ibn Umar RaziAllahu Anhu ne Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam se bayan kiye hai aur wo doosronse jyada rivayaten jaante the “
{ Tirmizi # 1245 }
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka Hukum
Ibne Umar Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
Tum mushrikeen ke khilaaf karo, Daadhi chor do aur Moonchen katarwaao.
(Sahih Bukhari: 5892 )
Jaisa ke aap jante hi hai upar hadees mein batayi hai ke Abdullah Bin Umar RaziAllahu Anhu ne hi khud Rivayat kiya hain ke “Dhaadi chor do” jo hadees e Nabwi hai.
Fir wahi sahabi dauraan e Hajj ke silsilese me Daadhi kaanti. Kisi sahabi ne Abdullah bin Umar RaziAllahu anhu par is silsileme inkaar saabit nahi hai. Yeh hohi nahi sakta ke Abdullah bin Umar Motabar Sunnat e Sahabi se aise hadees sune aur uspar khud hi iske Mukhaalifat bhi kare.Sonchne waali baat hai.
Jin Hadees mein Nabi ne kaha Daadhi Chor do Aur Moonchen ko kataraoow ( Saheeh Bukhari : 5892 )
Ab “chor do” ka Matlab kya hain..??? Kahan Tak Chodna Hain..?? Iska Maana hum behtar Jante Hain ya khud iss hadees ka rivayat karne wala behtar Janta Hain…??
Hum Salafi Hain Hadees ka Matan Ko Waisa samajna Hain jaisa Woh Hadees ka rivayat karne wala Samjha ho. AHadees ko Rivayat karne wala Abdullah bin Umar r.a Ne Daadhi Mutti se Zyada Baal cut karte the Hajj mein bhi aur Hajj ke Alawa Aam wakt mein bhi. Jo Saheeh hadees se sabit Hain. [Bukhari Book #72, Hadith #780 , Abu Dawood hadeeth no: 2357 authenticated by Al-Albani]
Marwan Bin Salim farmate hai: Main ne Ibne Umar (Radiallahu Anhu) ko dekha kii wo daadi ko apne muthe mein lete aur us say jo badi hue hote usay kaat daalte the.
{Sunan Abu Dawud, Hadith no.2357, Albani ne is sahih qarar diya hai is hadith ko}
Note : iss Hadees mein Hajj ka Dikr hi Nahi hain.
Ibne Hajar farmate hai:
Main (Ibne Hajar) kahta hoon:
قلت . الذي يظهر أن ابن عمر كان لا يخص هذا التخصيص بالنسك بل كان يحمل الأمر بالإعفاء على غير الحالة
التي تتشوه فيها الصورة بإفراط طول شعر اللحية أو عرضه
Zahir baat toh yeh hai kii Ibne Umar ne daadhi kaatne ko Hajj aur Umrah k saath khaas nahi rakha jabkii Un k mutabiq daadi choodne ka amal us haal mein hai jab bhadhdha pan na ho aur Maskhare Ka bais na bane Daadhi k baal zeada lambay hone ya daadi k atraaf mein zeada baal hone ki waja say.
{Fathul Al Bari, 10/350}
Note: Kise sahabi ne Ibne Umar, Abu Huraira aur Ibne Abass ki mukhalfat nahi kiye hai aur yeh kaisay mumkin hai Ibne Umar Rasoolullah say kuch sune aur phir uski hi mukhaalfat karay
Aur Muhadseen aur fuqaha ne bhi ahi kaha Hain. Imam Ibne Hajar , Imam Abdul Barr , Imam Albany wagaira.
Ye Abdullah Ibne Umar r.a Jo ke jaleelul Qadr Sahabi Jo Sunnat Ko pabandi se Amal karne Wale Sahabi kabhi bhi jaan buchke Sunnat ka khilaf katan nahi karte Aur Ulama ne bhi ahi kaha Hain.
Allamah Hafidh Ibn Abdul Barr farmate hai:
Ibn Umar RaziAllahu Anhuma ka jo Amal tha ke wo Hajj mein ek Mutthi say zyada dhaadi kaate thy yeh is baat ki daleel hai kii Hajj ke ilawa bhi dhaadi kaat sakhte hai kyunkii agar dhaadi kaatna jaiz nahi hota toh Hajj ke dooran bhi jaiz nahi hota aur Ibne Umar RaziAllahu Anhuma ne Rasoolullah SallAllaahu Alayhi Wa Salam say rewayat kiya hai ki dhaadi ko badaoo aur Ibn Umar ko bohut ILM hai is barey mein jo Unhoo ne rewayat kiya aur Jumhoor Ulama isi ke Qayel the ki who Dhaadi kaat te the jo fazlu ala qabza thi aur Allah behtar jaanta hai.
[Al-Istidhkaar, 4/317]
Ab Baaz Sahaba kiraam ka Amal :
1. Abdullah Bin Umar RaziAllahu Anhu
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ يَحْيَى أَبُو مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ الْحَسَنِ، أَخْبَرَنِي الْحُسَيْنُ بْنُ وَاقِدٍ، حَدَّثَنَا مَرْوَانُ، – يَعْنِي ابْنَ سَالِمٍ – الْمُقَفَّعُ – قَالَ رَأَيْتُ ابْنَ عُمَرَ يَقْبِضُ عَلَى لِحْيَتِهِ فَيَقْطَعُ مَا زَادَ عَلَى الْكَفِّ
Marwan ibn Salim al-Muqaffa’ Kahte hai ke “ Maine Abdullah Bin Umar RaziAllahu Anhu ko dekha, wo apni Daadhi ko Muthhi me pakadte aur jo Mutti se jyada ho tho usey kaatdetey. “
{ Abu Dawud # 2357 – Hasan Albani }
Hafiz Ibn Hajar Rahmatullah Alai farmate hai ke :
قلت . الذي يظهر أن ابن عمر كان لا يخص هذا التخصيص بالنسك بل كان يحمل الأمر بالإعفاء على غير الحالة التي تتشوه فيها الصورة بإفراط طول شعر اللحية أو عرضه
Zahir baat toh yeh hai kii Ibne Umar ne daadhi kaatne ko Hajj aur Umrah k saath khaas nahi rakha jabkii Un k mutabiq daadi choodne ka amal us haal mein hai jab bhadhdha pan na ho aur Maskhare Ka bais na bane Daadhi k baal zeada lambay hone ya daadi k atraaf mein zeada baal hone ki waja say
[Fath al Bari 10/350]
2) Hazrat Ibn Abbas raziAllahu Anhu bhi iske khayal the.
Sayyidina Ibn Abbas RaziAllahu Anhu ne ek Ayat ki Tashri me farmaya ke :
أَبُو بَكْرٍ قَالَ: نا ابْنُ نُمَيْرٍ، عَنْ عَبْدِ الْمَلِكِ، عَنْ عَطَاءٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ: «التَّفَثُ الرَّمْيُ، وَالذَّبْحُ، وَالْحَلْقُ، وَالتَّقْصِيرُ، وَالْأَخْذُ مِنَ الشَّارِبِ وَالْأَظْفَارِ وَاللِّحْيَةِ»
” Mooche, naakhun aur Daadhi me se kaatna “
{ Musannif Ibn Abi Shaybah : 15673 – Wa Sanad Saheeh, Shaikh Albani apne Zaeefa me isko sahih kaha hai 5453, Zubair Ali Zai ne bhi Saheeh kaha hai Al Hadeeth : 27, 56 }
Tafseer Ibn Jareer 109/17 – Wa Sanad Saheeh }
Doosre Alfaaz me bhi maujood hai Jaisa ke
Abu Jafar al Nahas ne Ma`ani Al Quran Jiidl # 4, Safa # 402 me zikr kiya hai..
التفث: الحلق، والتقصير، والرمي، والذبح، والأخذ من الشارب، واللحية، ونتف الإبط، وقص الأظفار”.
“ Mooncho aur Daadhi ko tarasho “
Aur doosre Jagah bhi aaya hai.
“التفث: الرمي، والذبح، والحلق، والتقصير، والأخذ من الشارب، والأظفار، واللحية”.
…..Daadhi ko Tarasho.
{ Musannif Ibn e Abi Shaiba Jild # 3, Safa # 429 }
3) Sahabi E Rasool Sayyidina Abu Hurairah RaziAllahu Anhu ka aml :
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ شُعْبَةَ ، عَنْ عَمْرِو بْنِ أَيُّوبَ ، عَنْ أَبِي زُرْعَةَ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، أَنَّهُ كَانَ يَأْخُذُ مِنْ لِحْيَتِهِ مَا جَازَ الْقُبْضَةَ.
Sayyidina Abu Hurairah RaziAllahu Anhu se Marwi hai ke wo Ek Musht se jyada Daadhi ko kaadte they.
{ Musannif Ibn Abi Shaybah : 25999 – Wa Sanad Saheeh }
Taba’een se saabit Aml :
1) Muhammad bin kaab al Qaarzi { Tabaee, Siqah, Aailm } bhi hajj me Daadhi se kuch kaatne ke khayal the.
دثنـي يونس، قال: أخبرنا ابن وهب، قال: أخبرنـي أبو صخر، عن مـحمد بن كعب القُرَظيّ، أنه كان يقول فـي هذه الآية: { ثُمَّ لْـيَقْضُوا تَفَثَهُمْ }: رمي الـجِمار، وذبح الذبـيحة، وأخذ من الشاربـين واللـحية والأظفـار، والطواف بـالبـيت وبـالصفـا والـمروة.
{ Tafseer ibn Jareer : 17/109 – Wa Sanad Saheeh }
2) Ibn Jareer Rahmatullah Alai bhi Iske khayal the.
{ Tafseer Tabari : 17/110 – Wa Sanad Saheeh }
3) Mash’hoor jaleel ul qadr Taba’ee Ibraaheem { Naakhi } bhi Rukhsaaronke baal kadte they.
{ Musannif ibn Abi Shaybah : hadees 25473 }
4) Qaasim bin Muhammad bin Abi Bakr jab sarr mundwaate tho apne Mooncho aur Daadhi ke baal kaartey the.
{ Ibn Abi Shaybah Hadees : 28479 – Wa Sanad Saheeh }
5) Tawoos Rahmatullah Alai bhi Daadhi me se kaatne ke Khayal the.
{ Ibne abi shaiba # 8/375,Ibne Abdul Barr – Al Istezkaar 28/63, Khallal in Al Tarjul Safa # 13 – Wa Sanad Saheeh }
6) Qasim Bin Muhammad bin Abi Bakar Sidduque Rahmatullah Alai bhi iske khayal the.
حَدَّثَنَا أَبُو عَامِرٍ الْعَقَدِيُّ عَنْ أَفْلَحَ قَالَ : كَانَ الْقَاسِمُ إذَا حَلَقَ رَأْسَهُ أَخَذَ مِنْ لِحْيَتِهِ وَشَارِبِهِ .
“ jab bhi aap sarke baal kaadte tho moonche aur daadhi ke baal bhi kaadtey “
[Ibn e Abi Shaiba Jild # 8, Safa # : 375 hadees : 25996, Isnaad Saheeh – Shaykh Muqabbil bin Hadee Jame fe al Ahkam Lahiya Safa # 148,
Shaykh Zubair Ali Zai ne Risalah Al Hadees no: 27, Safa # 57 me saheeh kaha hai ]
7) Ibn e Sireen Rahmatullah alai aur Al Hasan Rahmatullah Alai ka Aqwaal :
“حدثنا وكيع عن أبي هلال؛ قال: سألت الحسن وابن سيرين فقالا: لا بأس به أن تأخذ من طول لحيتك
Abi Hilaal kahte hai ke : Maine AL Hasan aur Ibn Sireen Rahmatullah alai se poocha, tho wo log ne farmaya : “ Lambi daadhi se kuch hissa lene par koi harj nahi hai. “
[Ibn e abi shaiba, Jild # 8, Safa # 376 Hadees : 26000] & & Mussannaf Ibne Shaiba (5/225-226)
Tambi : Abi Hilaal Mutakallim feeh Ravi hai jaisa ke unpar Jarh aur Tadeel dono maujood hai aur wo Sacche Layeen hai.
Imaam Yahya Ibn Maeen ke mutaabik unme kuch kharabi nahi hai aur Qatadah se unki rivayat kamzor hai { Aur idar wo Hasan aur Ibn Sireen se rivayat karrahe hai }..
Aur ek Rivayat uska Sahare me.
Al Imaam ibn e Abdul barr Rahmatullah alai ne AL Hasan aur Ibn E Sireen ke bareme Daadhi Tarashne ke baareme farmaya :
وكان الحسن يأخذ من طول لحيته، وكان ابن سيرين لا يرى بذلك بأسًا
“ Al Hasan apne Daadhi tarashte the aur Ibn e Sireen ko isme kuch galat nahi dikhayi diya “
[At Tamheed li Ibn Abdul Barr 14/46]
Aimma e Hadees :
1) Imaam Ahmad bin Hanbal Rahmatullah Alai bhi is jawaaz ke Khayal the.
{ Kitaab Al Tarjall : 92 }
2) Imaam Ash’Shaa’faee Rahmatullah Alai ne farmaya ::
فمن توضأ ثم أخذ من أظفاره ورأسه ولحيته وشاربه لم يكن عليه إعادة وضوء وهذا زيادة نظافة وطهارة
“ Jo Koi Wuzu karega aur fir naakhun tarashega, sar ke baal katwaayega aur Daadhi aur moonche kaantega aur fir dubara wuzu karega……………….
[al Umm 1/21]
3) Al Muzni Rahmatullah Alai farmate hai ke :
ما رأيت وجها أحسن من وجه الشافعي ولا رأيت لحية أحسن من لحيته وكان ربما قبض عليها فلا تفضل عن قبضته ولقد سمعته يوما ينشد * قوم يرون النبل تطويل اللحا * لا علم دين عندهم ولا تقى ربوا صغارا ثم خلوهم سدا * بغرة الجهل وآداب النسا فلو ترى شيخهم إذا احتبى * ثم ابتدى في رخص سعر وغل
“ Maine Imaam Shafi Rahmatullah alai ke chahre se badkar kisika chahra khoobusurat nahi deka hai, agar aap apni Daadhi ko Musht me lete tho unki daadhi unke Musht se badkar nahi hothi thi. Aur maine ek din suna hai ke wo [ Ek Shayari ] kahrahe they. Yeh log sonchte hai ke lambi daadhi chodna Alaa { Ikhlaas } hai, wo log ke paas Deen ka kuch bhi ILM nahi hai, aur naahi wo log ke paas Taqwa hai…Agar tum dekho wo log ke shaikh neeche baitkar { Bagair sonche } daam ke utaar chadav ke baareme apni rayy derahe hothe hai..
[Tareekh Damishq 51/280-281 }
4) Ibn Taymiyyah Rahmatullah Alai ne farmaya ::
وأما إعفاء اللحية فإنه يترك ولو أخذ ما زاد على القبضة لم يكره، نص عليه كما تقدم عن ابن عمر، وكذلك أخذ ما تطاير منها
“ Dhaadhi ke liye, usey choda jaaye, aur koi usey ek musht se jyada kaanta hai tho wo Na-pasandeedah aml nahi hai, jaisa ke Ibn Umar RaziAllahu ki rivayat me zikr kiya gaya hai.
{ Sharh Al Umdah # 1/236 }
5.) Allamah Hafidh Ibn Abdul Barr farmate hai:
Ibn Umar RaziAllahu Anhuma ka jo Amal tha ke wo Hajj mein ek Mutthi say zyada dhaadi kaate thy yeh is baat ki daleel hai kii Hajj ke ilawa bhi dhaadi kaat sakhte hai kyunkii agar dhaadi kaatna jaiz nahi hota toh Hajj ke dooran bhi jaiz nahi hota aur Ibne Umar RaziAllahu Anhuma ne Rasoolullah SallAllaahu Alayhi Wa Salam say rewayat kiya hai ki dhaadi ko badaoo aur Ibn Umar ko bohut ILM hai is barey mein jo Unhoo ne rewayat kiya aur Jumhoor Ulama isi ke Qayel the ki who Dhaadi kaat te the jo fazlu ala qabza thi aur Allah behtar jaanta hai.
[Al-Istidhkaar, 4/317]
—————-
Maslah yeh nahi ke Sahaba ka aml Daleel hai ya nahi ? Balke Maslah yeh hai ke Quran Wa Sunnat ka kaunsa faham motabar hai. Hum woh Fahem Ko Motabar Mante hain jo Sahaba, Tabaeen aur Taba Taba’een aur Muhaddiseen kiraam se saabit hai ???
Ham to wahi Fahem maante hai jo Sahaba, Taba’een aur Taba Taba’een aur Muhaddisin kiraam aur Qaabil e Aitmaad Ulama e Ummat se saabit hai. kisi ek Bhi Sahabi, Tabaeen, Taba Tabaeen Muhaddis ya Motabar Aalim ne ek Mutthi se ziyada Daadhi ko kaatna haram ya Najaayaz nahi karar diya hai. Ha baaz Ulama ne ye kaha ke Daadhi ko chodhna chahiye lekin Jab daleel ke Mutabiq aur Salaf saleheen ke roshni mein dekha jaye to Daadhi Mutti tak hi Saheeh hain
Haafiz Abdullah Rohpuri Rahmatullah Alai farmate hai ke :
“ Khulaasa yeh hai ke ham tho ek hi baat jaante hai wo yeh ke Salaf ke khilaaf Jayez nahi, kyunki wo Lughat Itstilaah se ghaafil nahi they “
{ Fatwaa Ahlul hadees Jild # 1, Safa # 111 }
Khulasa e kalaam yeh hai ke Allah ke Nabi Sallallahu Alai Wasallam ki Daarhi mubarak ghani thi na ziyada lambi thi naa hi seene mubarak ko bharti thi balkay seene se oopar gardan ke hisse ko bharti thi yani ek Musht hi thi. Isliye sunnat par Amal sahaba karaam RaziAllahu Ajmaeen jinhon ne aapse daadhiyonko maaf karo, Daadhyan barhao wali Ahadees rivayat ki, Abdullah Bin Umar, Abu Hurairah RaziAllahu Ajmaeen ne apni daadhiyan Ek muthi se zayed kaat kar Allah ke Nabi Sallallahu Alai Wasallam ke chehra Mubarak ke misl karte hue aapki Mansha ke mutabiq aapke hukum par hi amal pera hue.
Inhen Salaf Saaliheen ka raasta ka rasta ikhtiyar karne mein hidaayat aur kamyabi Allah taala ki taraf se zaamin hai.
Hum yeh kehte hain ke Salaf Saaliheen ki sunnat par amal par khara hone ki samajh ko muqaddam karte hue apni daadhiyan sunnat ke mutaabiq Allah ke Mahboob Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ke chehra Mubarak ke misl sawaarna chahiye, Yahi haq aur hidaayat ka rasta hai, Taufeeq to Allah Wahadahu Laasharik ata farmane waala hai.
Aek Aitraz :
Hamare Baaz bhai Log Ye Aitraz karte hain ke Jab Nabi Ne Daadhi nahi kaate to hum bhi Nahi katenge
Hamari Jawab :
Agar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Daadhi nahi kaate (ya) Ek mutthi Daadhi se Ziyada Baal ko Kaatne se mana kiye ho (ya) Ek Baal bhi na kaato iski Hadees kahan hai???? Iski koi Hadees Nahi hai. yehi Allamah Albany Sahab ne bhi Aitraz kiya hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Daadhi nahi kaate karke Aisa Koyi Hadees nahi hain.
Allah Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Dhaadhi Mubarak to Ek Mutthi hi thi, ( Jaisa Ke Uper Tafseel se dikr huwa hain) Aur Nabi ki Daadhi Ghani thi Ab Iska Matlab ye nahi ke Daadhi Lambi thi Jaisa ke Muhaddaseen ne kaha. Aur Sahaba karam RaziAllahu Anhum (Abdullah ibne Umar, Abu Hurairah , Ibne Abbas ) Ke Ek mutthi Daadhi se Zyada Baal ko“kaat te the” isse Pata Chalta hain ke Sunnat bhi yehi Hain. Tabhi to Sahabe Karam RaziAllahu Anhum ne Sunnat ki itteba me Ek mutthi Daadhi kaatey the. Wallah ye Katan Nahi Hosakta Jo Rivayat Karne wale Sahaba Sunnat ka khilaf kiya ho.
Ye Sare Bayanat Zaroor sune :
1. Regarding The Lenght of the Beard By Shaykh Al- Allamah , Mujtahid , Faqee , Muhaddis Nasiruddin Al Albani
You Tube Link : https://www.youtube.com/watch?v=I4mIkXcTgSw
2.An Excellent Debate Between Shaykh-Al Albany with his Student Shaykh Al Huwany regarding Length of the Beard
You Tube Link : https://www.youtube.com/watch?v=c2qprSlgMcY
3. Regarding The Length of the Beard By || Shaykh. Muhaddis Zubair Ali Zaee
You Tube Link : https://www.youtube.com/watch?v=tLMGPT7rh1s
Ye Article PDF Mein Padne ke liye : DOWNLOAD PDF
—————————–
1. Nabi ﷺ Daadhi Mubarak Kitni Thi…?? [Part-1] | Usthad Abu Abdullah Amjad Salafi
Dekhiye
2. Nabi ﷺ Daadhi Mubarak Kitni Thi…?? [Part-2] | Usthad Abu Abdullah Amjad Salafi
Dekhiye
3. Nabi ﷺ Daadhi Mubarak Kitni Thi…?? [Part-3] | Usthad Abu Abdullah Amjad Salafi
Dekhiye
4. Nabi ﷺ Daadhi Mubarak Kitni Thi…?? [Part-4] | Usthad Abu Abdullah Amjad Salafi
Dekhiye
5.Kya Sahaba Sirf Hajj aur Umrah Me hi Ek Muthi Daadhi ke Zayed baal kata Karte The..? Shubah Ka Jawab
Dekhiye