Ibn Masud (Radiallahu Anhu) Ki Hadith Ki Tahqiq aur Bidat-e-Hasana mane walu par rad!
Imam Abu Muhammad Abdullah Bin Abdur Rehmaan Bin Fazal Bin Baharaam Ad-Darmi (Rahimahullah) (Mutwafi 255 Hijri) farmate hai:
أخبرنا الحكم بن المبارك انا عمر بن يحيى قال سمعت أبي يحدث عن أبيه قال : كنا نجلس على باب عبد الله بن مسعود قبل صلاة الغداة فإذا خرج مشينا معه إلى المسجد فجاءنا أبو موسى الأشعري فقال أخرج إليكم أبو عبد الرحمن بعد قلنا لا فجلس معنا حتى خرج فلما خرج قمنا إليه جميعا فقال له أبو موسى يا أبا عبد الرحمن اني رأيت في المسجد أنفا أمرا أنكرته ولم أر والحمد لله الا خيرا قال فما هو فقال ان عشت فستراه قال رأيت في المسجد قوما حلقا جلوسا ينتظرون الصلاة في كل حلقة رجل وفي أيديهم حصا فيقول كبروا مائة فيكبرون مائة فيقول هللوا مائة فيهللون مائة ويقول سبحوا مائة فيسبحون مائة قال فماذا قلت لهم قال ما قلت لهم شيئا انتظار رأيك أو انتظار أمرك قال أفلا أمرتهم ان يعدوا سيئاتهم وضمنت لهم ان لا يضيع من حسناتهم ثم مضى ومضينا معه حتى أتى حلقة من تلك الحلق فوقف عليهم فقال ما هذا الذي أراكم تصنعون قالوا يا أبا عبد الله حصا نعد به التكبير والتهليل والتسبيح قال فعدوا سيئاتكم فأنا ضامن ان لا يضيع من حسناتكم شيء ويحكم يا أمة محمد ما أسرع هلكتكم هؤلاء صحابة نبيكم صلى الله عليه و سلم متوافرون وهذه ثيابه لم تبل وأنيته لم تكسر والذي نفسي بيده انكم لعلي ملة هي أهدي من ملة محمد أو مفتتحوا باب ضلالة قالوا والله يا أبا عبد الرحمن ما أردنا الا الخير قال وكم من مريد للخير لن يصيبه ان رسول الله صلى الله عليه و سلم حدثنا أن قوما يقرؤون القرآن لا يجاوز تراقيهم وأيم الله ما أدري لعل أكثرهم منكم ثم تولى عنهم فقال عمرو بن سلمة رأينا عامة أولئك الحلق يطاعنونا يوم النهروان مع الخوارج
قال حسين سليم أسد : إسناده جيد
Umaro Bin Salma (Rahimahullah) farmate hai kii: Hum subha ki nimaaz say phelay (Sayedina) Abdullah Bin Masud (Radiallahu Anhu) k darwazi k pass bathte thy, phir jab wo bahir tashreef late toh hum chal kar Un k saath masjid jaya karte thy.
Phir (ek din) humaray pass (Sayedina) Abu Musa Al-Asha’ari (Radiallahu Anhu) tashreef laaye toh kaha: Kya Abu Abdur Rehman (Abdullah Bin Masud Radiallahu Anhu) tumharay pass bahir tashreef laye hai? Hum ne kaha: Abi tak nahi aaye, phir wo humaray pass bath gaye, hata kii Aap (Sayedna Ibn Masud Radiallahu Anhu) bahir tashreef laaye, phir jab wo aaye toh hum saray khaday hogaye aur Aap k pass gaye toh (Sayedina) Abu Musa (Radiallahu Anhu) ne aap say kaha: Ae Abu Abdur Rehmaan! Main ne thodi deyeer phelay masjid mein ek cheez dekhee hai, jise main ne na pasand kiya hai aur Alhumdulilha mere niyat khair ki hi hai, Unhu (Sayedina Ibn Masud Radiallahu Anhu) ne farmaya: Wo kya hai?
Abu Musa (Radiallahu Anhu) ne kaha: Aap agar zindah rahay toh anqareeb dekhlaygay, Main ne masjid mein kuch logu ko dekha hai, wo nimaaz k intizaar mein halqoon ki surat mein bathy hue hai aur har halqay mein ek admi hai, loogu k haathu mein kankariya hai, Phir wo admi kahta hai:Sow (100) dafa Allahu Akbar pado toh wo sow (100) dafa Allahu Akbar kahte hai, Phir admi kahta hai:Sow (100) dafa Lailaha Illalahu pado toh wo sow (100) dafa Lailaha Illalahu kahte hai, phir wo kahta hai: Sow (100) Sabhanallaha kaho toh wo sow (100) dafa Sabhanallaha kahte hai, Unhu (Sayedina Ibn Masud Radiallahu Anhu) ne pucha:Aap ne Un say kya kaha hai? Unhu (Sayedina Abu Musa Radiallahu Anhu) ne jawab diya: Main ne Aapki rai ya Aap k hokum ka intizaar karte hue unhay kuch b nahi kaha, Unhu ne farmaya: Aap ne unhay yeh hokum kyun nahi diya kii apnay ghunha shumaar karay aur yeh zamanat kyun nahi diye ki unki nikiya zaya nahi hoge, phir Wo chalay toh Hum b Aap k saath chalay hatakii wo un halqoon mein say ek halqa k pass puhanchay toh wahaan khaday ho kar un say pucha: Tum loog yeh kya kar rahay ho? Unhu ne jawab diya: Ae Abu Abdur Rehman! Hum kankariyon par Allahu Akbar, Lailaha Illalahu aur Sabhanallaha pad rahay hai, Unhu (Sayedina Ibn Masud Radiallahu Anhu) ne farmaya: Pas tum apnay gunaha shumaar karlo aur Main zamanat deta hoon kii tumahari nikiyoon mein say kuch b zaya nahi hoga.
Ae Muhammad ﷺ k umatiyo! Tumhari kharaabi ho, tum kitnay tezee say halaak wa barbaad ho rahay ho, Dekho! Tumahray Nabi ﷺ k yeh sahaba kasrat say mojood hai, Aap ﷺ k kapday abi tak boseda nahi hue aur Aap ﷺ jo bartan istimaal karte thy wo b abi tak nahi totay, Us zaat ki kasam jis k haath mein Mere jaan hai! Kya Tum Aise milat par jo Muhmmad ﷺ ki milat say zeada hidayat yafta hai yak kii tum gumrahi k darwazay kholne walay ho?!
Unhu ne kaha: Ae Abu Abdur Rehman! Allah ki kasam! Humara irada toh sirf khair ka hi tha, Unhu (Sayedina Ibn Masud Radiallahu Anhu) ne farmaya: Kitne hi loog aisay hai jo khair ka irada rakte hai aur khair say mahroom rahte hai, Beshak Rasoolullah ﷺ ne humain jo hadith suneye kii kuch log Quran padaygay, Wo un k halaq say neechay nahi utrayga aur Allah ki kasam! Mujay pata nahi kii shayad un logu mein tumahri kasrat ho, Phir wo un say hat kar chalaygay, Umaro Bin Salma ne kaha: In halqoon walay aam loogu ko main ne dekha, wo jung-e-niharwaan walay din khawarij k saath mil kar hum say jung kar rahay thy.
{Sunan Darmi, Jild no.1, Safa no.286, Hadith no.210, Sanad Hasan, Musanaf Ibn Abi Shaiba, Jild no.7, Safa no.553, Hadith no.37890, Al-Ma’ajamal Kabeer Lil Tabrani, Hadith no.8636}
Raweyon ka taruf:
1.Al-Hakam Bin Mubarak muhadithseen ki nazar:
1.Imam Ibn Hibban (Rahimahullah) ne siqaat mein zikr kiya hai.{Kitab-ul-Siqaat, Jild no.8, Safa no.195, Rawe no.12945}
2.Yaqoot Bin Abdullah Al-Humvi Al-Romi Al-Bagdadi Al-Adyeeb (Rahimahullah) ne farmaya: Siqa.{Ma’ajamul Baldaan, Jild no. 2, Safa no.338}
3.Imam Tirmizi (Rahimahullah) ne inki munfarid rewayat ko Hasan Gareeb karar diya hai.{Jami At-Trimizi, Kitab-ul-Fitan, Hadith no.2238}
4.Imam Abdullah Bin Manda (Rahimahullah) ne kaha: Wo Siqa raweyo mein say hai.{Meezanul Atidaal, Jild no.1, Safa no.579, Rawe no.2196, Tahzeeb At-Tahzeeb , Jild no.2, Safa no.377, Rawe no.763}
5.Imam Ibn Sam’ani (Rahimahullah) ne kaha: Hafiz Siqa. {Tahzeeb At-Tahzeeb , Jild no.2, Safa no.377, Rawe no.763}
6.Imam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha: Siqa.{Al-Kashap, Jild no.1, Safa no.345, Rawe no.1189}
7.Imam Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: Sacha hai.{Taqreeb At-Tahzeeb, Jild no.1, Safa no.233, Rawe no.1463}
*Imam Aadi (Rahimahullah) ne kaha: Hadith ka choor hai.{Al-Kamil, Jild no.1, Safa no.304 }
Jawab: Yeh 2 wojuhaat ki waja say mardood hai:
1.Jamhoor k khilaaf hone ki waja say.
2.Imam Zahabi (Rahimahullah) ne Ibn Aadi (Rahimahullah) ki yeh jarah nakal karne k baad farmaya: Wo Sacha hai.{Meezanul Atidaal, Jild no.1, Safa no.579, Rawe no.2196}aur Imam Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: Sacha hai.{Taqreeb At-Tahzeeb, Jild no.1, Safa no.233, Rawe no.1463}
Maloom hua Al-Hakam Bin Mubarak sacha, siqa hai.
Al-Hakam Bin Mubarak ki mutabiat 2 raweyo ne kar rakhe hai:
1.Ali Bin Hasan Bin Sulaymaan.{Tareekh Wasat Li Aslam Bin Sahal Al-Wasti, Safa no. 198-199}
2.Imam Abu Bakr Bin Abi Shaiba.{Musanaf Ibn Abi Shaiba, Jild no.7, Safa no.553, Hadith no.37890}
2.Umaro Bin Yahiya Bin Umaro Salma Bin Haris Al-Humdani muhadithseen ki nazar mein:
1.Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha: Siqa.{Jarah Wa Tadeel, Jild no.6, Safa no.269, Rawe no.1487}
2.Imam Ibn Hibban (Rahimahullah) ne siqaat mein zikr kiya hai.{Kitab-ul-Siqaat, Jild no.8, Safa no.480, Rawe no.14547}
*Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha: Koi cheez nahi hai.{Al-Kamil, Jild no.6, Safa no.215, Rawe no.1287}
Jawab:Is jarah ka rawe Ahmad Bin Abi Yahiya k bare mein Imam Ibn Aadi (Rahimahullah) ne kaha yeh siqa raweyo say munkar rewayat bayaan karta tha.{Al-Kamil, Jild no.1, Safa no.322, Rawe no.37} aur Ibrahim Al-Asbahani (Rahimahullah) ne kaha kazzab hai. {Al-Kamil, Jild no.1, Safa no.321, Rawe no.37}
Is jarah ki bunyaad par Ibn Jozi (Rahimahullah) ne Umaro Bin Yahiya ko Kitab-ul-Da’afa Wal Matrokeen {Jild no.1, Safa no.92, Rawe no.272} aur Imam Zahabi (Rahimahullah) ne Deewan-ul-Da’afa Wal Matrokeen {Jild no.1, Safa no.38, Rawe no.122} mein zikr kiya hai, Yeh jarah mardood hai kyunkii yeh jarah Ibn Ma’een (Rahimahullah) say sabit nahi hai.
**Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ki ek aur jarah ka rawe Layis Bin Ubada majhool hai.
***Ibn Kharaash ki jarah b mardood hai kyunkii bay sanad hai.
3.Yahiya Bin Umaro muhadithseen ki nazar mein:
1.Imam A’jli (Rahimahullah) ne kaha: Siqa.{Marifatas Siqaat, Jild no.2, Safa no.356, Rawe no.1990 }
2.Imam Yaqoob Bin Sufiyan Al-Farsi (Rahimahullah) ne kaha: Koi harij nahi hai.{Al-Marifa Wal Tareekh, Jild no.3, Safa no.104 }
3.Imam Shu’aba (Rahimahullah) ne Yahiya Bin Umaro say rewayat bayaan kiye hai.{Al-Jarah Wa Tadeel, Jild no.9 , Safa no.176 ,Rawe no.731} aur Imam Shu’aba (Apnay nazdeek) sirf siqa say rewayat karte thy.{Tahzeeb At-Tahzeeb Fi Mukdima, Jild no.1, Safa no.10}
4.Umaro Bin Salma muhadithseen ki nazar mein:
1.Imam A’jli (Rahimahullah) ne kaha: Siqa.{Marifatas Siqaat, Jild no.2, Safa no.177, Rawe no.1385}
2.Ibn Hibban (Rahimahullah) ne siqaat mein zikr kiya hai.{Kitab-ul-Siqaat, Jild no.5, Safa no.172, Rawe no.4421}
3.Imam Ibn Sa’id (Rahimahullah) ne kaha: Siqa.{Tahzeeb At Tahzeeb, 8, Safa no.38, Rawe no.68}
4.Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: Siqa.{Tareeb At Tahzeeb, Jild no.1, Safa no.736}
Maloom hua yeh hadith hasan hai aur is rewayat ko daif ya jhoote kahna na insaafi hai aur is hadith k reweyon par atiraaz karna mardood hai.
Is rewayat k baaz shawahid pesh-e-khadmat hai:
Number 1:
وحدثني محمد بن وضاح قال نا موسى بن معاوية ، عن عبد الرحمن بن مهدي ، عن سفيان ، عن سلمة بن كهيل ، عن أبي الزرعا قال
{Al-Bidah Lil Ibn Wadha, Safa no.24, Hadith no.22}
Imam Sufiyan Sori ki Salma Bin Kaheel say rewayat sahih hote hai lihaza yeh sanad hasan li zhatihi hai.
Number 2:
نا أسد ، عن عبد الله بن رجاء ، عن عبيد الله بن عمر ، عن يسار أبي الحكم ، أن عبد الله بن مسعود
{Al-Bidah Lil Ibn Wadha, Safa no.18, Hadith no.16}
Yeh sanad munqata hai aur Yasaar Abu Hakam majhool hai lihaza yeh rewayat daif hai.
Number 3:
حدثني محمد بن وضاح قال نا محمد بن سعيد قال : نا أسد بن موسى ، عن يحيى بن عيسى ، عن الأعمش ، عن بعض أصحابه
{Al-Bidah Lil Ibn Wadha, Safa no.20, Hadith no.18}
Amash mudalis hai aur baaz asahaab majhool hai lihaza rewayat daif hai.
Number 4:
نا أسد ، عن محمد بن يوسف ، عن الأوزاعي ، عن عبدة بن أبي لبابة
{Al-Bidah Lil Ibn Wadha, Safa no.21, Hadith no.19}
Yeh rewayat munqata hai lihaza daif hai.
In sab shawahid k saath yeh rewayat Sahih Li Ghairihi hai.
Ibn Abadeen Shami Hanfi ne is rewayat ko sahih kaha hai.{Radul Mukhtaar, Jild no.5, Safa no.281-282}
Sarfaraaz Khan Safdar Deobandi ne b is rewayat ko sahih kaha hai.{Rahay Sunna, Safa no.123}
Sheikh Albani (Rahimahullah) ne is hadith ko sahih karaar diya hai.{Silsilatul Sahihaa, Jild no.5, Safa no.11-12, Hadith no.2005, Sunan Darmi Fi Mukdima, Hadith 210}
Sheikh Zubair Ali Zai (Rahimahullah) ne is hadith ko hasan karaar diya hai.{ Tahqiqi, Islahi Aur Ilmi Makalaat, Jild 5, Safa no.549}
Ahle Barelwi ka mazhab daif wa Modu’a rewayaat par qayim hai aur In k usool par b yeh rewayat 5 isanaad k saath hasan lil ghairihi ya sahih lil ghairihi hujjut hai.
Tahqiq/Takhreej By Yasiir Mahi.