Allah Kahan Hey ..?? Quran Aur Sahii Hadees Aur Salaf-us-Salaheen ke Roshni me


pakka ..

Quran :

Daleel :  1

ٱلرَّحۡمَـٰنُ عَلَى ٱلۡعَرۡشِ ٱسۡتَوَىٰ
AR RAHMAANU ALAL ARSHISTAWA
RAHMAAN ARSH PAR MUSTAWI HUA [al-Qur’aan (20:05)]

{ Reference No -01 Soorah Taha(20) – Ayat-5
Reference No -02: Soorah al-A’raaf (07) – Ayat- 54
Reference No -03: Soorah al-Furqaan (25)- Ayat-59 }

Daleel : 2 ALLAH SUBHANAHUWATALA EESA (Alaihissalaam) se keh raha hai…
AUR TUJHE APNI JANIB UTHANE  WALA HUN…
(SURAH AALE IMRAN 03:55)

–>>NOTE: AGAR ALLAH HAR JAGAH HAI TOH KYUN EESA ALAIHISSALAM KO OOPAR UTHA LENE KO KEH RAHA HAI…

Daleel : 3  AUR APNE RAB SE ”JO UN KE UPAR HAI”…KAP KAPATE REHTE HAIN…
SURAH AN-NAHL 16:50

{IN AAYATON SE YE PAKKA PROVE HOTA HAI KE ALLAH ARSH PAR SAAT AASMAANON KE OOPAR HAI…}

——————————————————–

Sahii Hadees : 

1.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ((أَيْنَ اللَّهُ؟)) Allah kahan hai? Toh Londe ne araz kiye: ((فِى السَّمَاءِ)) Asman par hai, Aap ﷺ ne farmaya: Main koon hoon? Londe ne kaha: Allah k Rasool, Aap ﷺ ne farmaya: Isay aazad kardo yeh Momin awrat hai.

{Sahih Muslim, Kitab-ul-Tawheed, Hadith no.537}

Scan:

1

2. Rasoolullah ﷺ ne yom-e-arfa k khutba mein farmaya: Tum Logu say Meray bare mein pucha jayega, Kya ka’hogay? Unhu (Sahaba) ne jawab diya: Hum gawahi deyegay kii bila’shuba Aap ne (deen) pancha diya, amanat ada kar diye aur Aap ne ummat ki har tarha ghair’khahi kiye, Is par Aap ne Apne Ungushte shahadat say ishara farmaya, Aap isay Asmaan ki taraf bulund karte thy aur (phir) Ungushte shahadat ka rukh logu ki taraf karte thy (aur farmate thy): Ae Allah! Tu Gowah Rahna, Tu Gowah Rahna, Tu Gowah Rahna, Aap ne teen (3) marta aisa kiya.

{Sahih Muslim, Kitab-ul-Hajj, Hadith no.1217}

Scan:

2 pic

3.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Kya tum Mujay ameen nahi samujte aur Main Us (Allah) ka ameen hoon jo Asmaan par hai, Meray pass subha aur sham Asmaan ki khabaray aate hai.

{Sahih Bukhari, Kitab-ul-Magazi, Hadith no.4351}

3

4.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Mujay Us Zaat ki kasam Jis k haath mein mere jaan hai! Jo mard apne biwi ko apnay bistar par bulata hai phir wo inkaar kar dete hai toh Wo jo Asmaan par hai Us awrat   par naraaz ho jata hai jab tak mard us say raazi naho jaye.

{Sahih Muslim, Kitab-ul-Nikah, Hadith no.1436}

Scan:   

4

5.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Qayamat k din say bayhosh hojayegay (phir Main sab say phelay hosh mein awuga) toh dekhuga kii Musa arsh k payon mein say ek paya pakaday khaday hai (ya’ani Wo Muj say phelay hosh mein aajayegay).

{Sahih Bukhari, Kitab-ul-Tawheed, Hadith no.7427}

 

SCAN :

5

6.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jab Allah Ta’alah say mangna ho toh firdoos maango kyunkii wo jannat ka sab say darmeyani hisa aur jannat k sab say buland darjay par hai, Yahiya Bin Saliha ne kaha kii main samujta hoon yon kaha kii us k upar Rahman Ka Arsh hai……..

{Sahih Bukhari, Kitab-ul-Jahad, Hadith no.2790}

6

7.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Ra’ham karne walu par Rahman raham farmata hai, Tum zameen walu par rahum karo tum par jo Asmaan par hai rahum farmayega.

{Tirmidhi: 4/323, Hadith no.1924, Mustadrik Lil Hakim: 4/159, Sanad Sahih}

Imam Tirmdhi (Rahimahullah) ne is hadith ko Hasan Sahih kaha hai.

Imam Hakim (Rahimahullah) ne is hadith ko sahih kaha hai.

Imam Zahabi (Rahimahullah) ne b Imam Hakim ki muwafaqat kar k is hadith ko sahih karar diya hai.

7

SCAN :

72

Agar koi kahta hai is mein Sufiyan mudalis hai toh iska jawab hai kii Sufiyan ne sama ki sarahat kar diye hai.

{Masnad Humaidi, 1/503, Hadith no.602}

Scan:

73

8.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: (Nikh roh say) kaha jata hai:    ((مَرْحَبًا بِالنَّفْسِ الطَّيِّبَةِ)) pakizah nafas ko khush aamadeed ((فَلَا يَزَالُ يُقَالُ لَهَا حَتَّى يُنْتَهَى بِهَا إِلَى السَّمَاءِ الَّتِي فِيهَا اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ )) is tarha kaha jata hai hata kii us roh ko Asmaan tak puhancha deya jata hai jis par Allah Ta’alah hai.

{Masnad Ahmad, 8/414, Hadith no.8754, Sanad Sahih}

8

heikh Ahmad Shakir (Rahimahullah) ne is hadith ko Sahih karar diya hai. {Masnad Ahmad, 8/414, Hadith no.8754}
Sheikh Shoaib al Aranoot (Rahimahullah) ne is hadith k bare mein farmaya: Is hadith ki sanad Imam Bukhari aur Imam Muslim ki sharat par sahih hai.
{Masnad Ahmad, 2/364, Hadith no.8754}
Sheikh Zubair Ali Zai (Rahimahullah) ne b is hadith ko sahih kaha hai.
{Al-Hadith no.116, Safa no.14}

———————————————————

Salaf-us-Salaheen : 

1. IMAM ZAHABI RH likhte hain
قلت(الذهبي) : الجهمية يقولون : إن الباري تعالى في كل مكان ،والسلف يقولون : إن علم الباري في كل مكان ، ويحتجون بقوله تعالى وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنْتُم ْ يعني : بالعلم ، ويقولون : إنه على عرشه استوى ، كما نطق به القرآن والسن

ki JAHMI log ye kehte hain ki ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA har JAGA me hai,Jab ki SALAF US SALIHEEN kehte hain ki ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA ka ILM har JAGA me hai wo is FARMAN E BAARI TA’ALA se DALAYEL lete hain

وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنْتُم

(Surah hadeed ayat 4)

wo ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA tmhare SATH hai jaha bhi tum ho

yaha ILM MURAAD hai, ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA to apne ARSH par MUSTAWI hai jaisa ki QURAN WA SUNNAT ne bataa diya hai

[[ SIAR A’LAM AN NUBULA LIL ZAHBI JILD 8 SAFA 402 ]]

Scan :

dahabi

2. IMAM BAYHAQI R.H likhte hain

أنبأنا أبو عبد الله الحَافِظُ، أَنْبَأَنَا مُحَمَّدُ بنُ عَلِيٍّ الجَوْهَرِيُّ بِبَغْدَادَ، حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيْمُ بنُ الهَيْثَمِ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بنُ كَثِيْرٍ المَصِّيْصِيُّ: سَمِعْتُ الأَوْزَاعِيَّ يَقُوْلُ: كُنَّا وَالتَّابِعُوْنَ مُتَوَافِرُوْنَ, نَقُوْلُ: إِنَّ اللهَ تَعَالَى فَوْقَ عَرْشِه،

ki IMAM AUZAYI RH farmate hain ke hamara AQEEDA aur sab TABI’EEN ka AQEEDA hai ki ALLAH TA’ALA ARSH ke OOPAR hai hum ALLAH TA’ALA ki JUMLA E SIFAAT ko MAANTE hain jo AHADEES me aayi hain

[[ AL ASMA WAL SIFAAT SAFA 291 ]]

Scan :

byhaki

3. IMAM USMAN BIN SA’EED AL DARMI RH likhte hain

وَقَدِ اتَّفَقَتِ الْكَلِمَةُ مِنَ الْمُسْلِمِينَ أَنَّ اللَّهَ تَعَالَى فَوْقَ عَرْشِهِ فَوْقَ سَمَوَاتِهِ،

ki is baat par saare MUSALMAN MUTTAFIQ hain ki ALLAH apne ARSH par ASTAWA hai apne AASMAN ke OOOPAR

[[ RADD AL IMAM DARMI ALAA BASRIL MAREESI SAFA 50 ]]

Scan :

darmi

4. ALLAH KE ARSH PAR HONE PAR IJMA HAI

IMAM ZAHBI RH ek RIWAYAT naqal karte hain

قَالَ أَبُو أَحْمد الْحَاكِم وَأَبُو بكر النقاش الْمُفَسّر وَاللَّفْظ لَهُ حَدثنَا أَبُو الْعَبَّاس السراج قَالَ سَمِعت قُتَيْبَة بن سعيد يَقُول هَذَا قَول الْأَئِمَّة فِي الْإِسْلَام وَالسّنة وَالْجَمَاعَة نَعْرِف رَبنَا فِي السَّمَاء السَّابِعَة على عَرْشه كَمَا قَالَ جلّ جَلَاله }الرَّحْمَن على الْعَرْش اسْتَوَى{

ki RAAWI ne kaha IMAM QUTAYBA BIN SAEED RH farmate hain yahi AQEEDA hai AIMMA E ISLAM ka aur AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT ne is baat ki TASDEEQ ki hai ki hamara RABB 7WE ASMAN ke oopar ARSH par hai jaisa ki usne (ALLAH) farmaya RAHMAN ARSH par ASTAWA hai

[[ AL ULOO LIL ALIYUL GAFFAR SAFA 174 ]]

Scan :

qutayba

5. IMAM ABU BAKAR MUHAMMAD BIN HUSSAIN AL AJURI RH likhte hain

والله عز و جل على عرشه , و علمه محيط بهم و بكل شئ من خلقه , كذا فسره أهل العلم.

ki jo AQEEDA IKHTIYAR kiya hai AHLE ILM ne ki ALLAH apne ARSH ke oopar hai AASMANO me aur uska ILM saari cheezon ko apne GHERE me liye hue hai

[[ KITAB UL SHARIAH LIL IMAM AJURI SAFA 1076 ]]

Scan :

Abu bakar

6. IMAM ABU HATIM AL RAZI RH farmate hain

مَذْهَبنَا واختيارنا اتِّبَاع رَسُول الله صلى الله عَلَيْهِ وَسلم وَأَصْحَابه وَالتَّابِعِينَ من بعدهمْ والتمسك بمذاهب أهل الْأَثر مثل الشَّافِعِي وَأحمد وَإِسْحَاق وَأبي عبيد رَحِمهم الله تَعَالَى وَلُزُوم الْكتاب وَالسّنة ونعتقد أَن الله عزوجل على عَرْشه بَائِن من خلقه }لَيْسَ كَمِثْلِهِ شَيْءٌ وَهُوَ السَّمِيعُ الْبَصِير

ki hamara MAZHAB aur hamari PASAND ye hai ki ITTIBA ki jaye RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki aur Apke SAHABA EKRAM RAZIALLAHUANHU ki aur TABI’OON ki jo unke baad aaye hain aur MAZBOOTI se THAAM le AIMMA UL HADEES ke MAZHAB ko Jaise IMAM SHAFAYI aur IMAM AHMAD IBN HAMBAL aur IMAM IS’HAQ IBN RAHWIYA aur IMAM ABU UBAID RH “aur IKHTIYAR kare QURAN o SUNNAT ko bhi ” aur HAMARA AQEEDA ye hai ki ALLAH apne ARSH ke oopar ISTAWA hua apni MAKHLOOQAT se bilkul alag jaisa ki ALLAH ne farmaya “uske jaisa kuch bhi nahi wo sunne wala aur dekhne wala hai”(shuara ayat 11)

[[ MUKHTASAR AL ULOO SAFA 206-207 ]]

Scan :

Abu Hatim

7. HAZRAT ABDUL RAHMAN IBN ABI HATIM RH farmate hain

أَنبأَنَا عبد الرَّحْمَن بن أبي حَاتِم قَالَ سَأَلت أبي وَأَبا زرْعَة عَن مَذَاهِب أهل السّنة فَقَالَا أدركنا الْعلمَاء فِي جَمِيع الْأَمْصَار فَكَانَ من مذاهبهم أَن الْإِيمَان قَول وَعمل يزِيد وَينْقص وَالْقُرْآن كَلَام الله غير مَخْلُوق بِجَمِيعِ جهاته وَالْقدر خَيره وشره من الله تَعَالَى وَإِن الله تَعَالَى على عَرْشه بَائِن من خلقه كَمَا وصف نَفسه فِي كِتَابه وعَلى لِسَان رَسُوله بِلَا كَيفَ
أحَاط بِكُل شَيْء علما لَيْسَ كَمِثْلِهِ شَيْءٌ وَهُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ

ki mai ne apne WALID ABU HATIM AL RAZI AUR IMAM ABU ZARAAH RH se IMAAN ki BUNIYAD ke baare me AHLE SUNNAT ke MAZHAB ke baare me poocha aur kis AQEEDA par unke waqt ke AIMMA RH the ?


to IMAM ABU ZARAAH RH ne farmaya ki mere pass DUNIYA ke aise AIMMA ke BAYANAT MAUJOOD hain unke MAZHAB ke MUTABIQ, ye ki IMAN QAUL aur AMAL ka naam hai aur IMAN BADHTA aur GHAT-TA hai aur QURAN ALLAH ka KALAAM hai MAKHLOOQ nahi hai aur TAQDEER par IMAN lana ki har achi aur buri TAQDEER ALLAH ki taraf se hai aur ALLAH APNE ARSH PAR ASTAWA HUA apni MAKHLOOQAT se bilkul alag jaisa ki usne apne baare me apni KITAAB me WAZAAHAT ki hai aur jaisa uske RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki ZUBAAN se ZAHIR hua hai BEGAIR KISI SAWAL KE KAISE ? AUR uska (ALLAH ka) ILM har cheez ka HIHATA kiye hue hai jaisa ki ALLAH ne farmaya uske jaia kuch bhi nahi surah shuara ayat 11

[[ MUKHTASAR AL ULOO LIL ALIYUL GAFFAR SAFA 204 ]]

Scan :

abdul rehman

8. IMAM ZAHBI R.H likhte hain

مقالة السلف وأئمة السنة بل والصحابة والله ورسوله والمؤمنون أن الله عز وجل في السماء، وأن الله على العرش، وأن الله فوق سماواته وأنه ينزل إلى السماء الدنيا؛ وحجتهم على ذلك النصوص والآثار. ومقالة الجهمية أن الله تبارك وتعالى في جميع الأمكنة -تعالى الله عن قولهم-، بل هو معنا أينما كنا بعلمه

ki mai kehta hun ki SALAF US SALIHEEN aur AIMMA E SUNNAT,balki SAHABA RAZIALLAHU ANHU,ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA uske RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM aur TAMAM MOMINON ka kehna hai ki ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA BULANDI me,apne ARSH par aur apne ASMANO ke oopar hai wo ASMAN duniya ki taraf NUZOOL bhi farmata hai,unke is bare me DALEEL (QURANI) NUSOOS aur (HADEESI) ASAAR hai,JAHMIYON ka kehna hai ki ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA har JAGA hai,unke is QAUL se ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA bahut BULAND hai,DAEASAL hum jahan bhi hote hain wo hamare sath apne ILM ke AITIBAR se hota hai

[[ MUKHTASAR AL ULOO LIL ALIYUL GHAFFAR LIL ZAHBI SAFA 146 ]]

Scan :

zahabi pakka

9. BAQAUL USTAD A IMAM BUKHARI R.H ALI BIN AL MADINI R.H

IMAM ZAHBI RH likhte hain

قَالَ شيخ الْإِسْلَام أَبُو إِسْمَاعِيل الْهَرَوِيّ أَنبأَنَا مُحَمَّد بن مُحَمَّد بن عبد الله حَدثنَا أَحْمد بن عبد الله سَمِعت مُحَمَّد بن إِبْرَاهِيم بن نَافِع حَدثنَا الْحسن بن مُحَمَّد بن الْحَارِث قَالَ سُئِلَ عَليّ بن الْمَدِينِيّ وَأَنا أسمع مَا قَول أهل الْجَمَاعَة قَالَ يُؤمنُونَ بِالرُّؤْيَةِ وبالكلام وَأَن الله عزوجل فَوق السَّمَوَات على عَرْشه اسْتَوَى

ki HAZRAT HASAN RH kehte hain ki sawal kiya gaya aur mai ne khud suna hai.
HAZRAT ALI BIN ABDULLAH MADINI RH ne farmaya IMAN laya jaye ki QAYAMAT ke din ALLAH ka DEEDAR hoga aur uske KALAAM par aur BESHAK ALLAH AZZAWAJAL AASMANON ke OOPAR hai aur apne ARSH par ASTAWA hai

[[ MUKHTASAR AL ULOO LIL ALIYUL GAFFAR SAFA 188-189 ]]

Scan :

ustad

10. IMAM ASBAHANI R.H farmate hain

قَالَ أهل السّنة: الله فَوق السَّمَاوَات لَا يعلوه خلق من خلقه، وَمن الدَّلِيل عَلَى ذَلِكَ: أَن الْخلق يشيرون إِلَى السَّمَاء بأصابعهم، ويدعونه ويرفعون إِلَيْهِ أَبْصَارهم

ki AHLE SUNNAT ka ye kehna hai ALLAH AASMANON ke OOPAR hai uski koi bhi MAKHLOOQ uske OOPAR nahi aur iski DALEEL ye hai ki uski MAKHLOOQ AASMANO ki taraf apni UNGLI se ISHARA karti hai aur usse DUA karti hai aur uski taraf dekhti hai

aur ek doosri jaga farmate hain

وَقد أجمع الْمُسلمُونَ أَن الله هُوَ الْعلي الْأَعْلَى، ونطق بذلك الْقُرْآن فِي قَوْله: }سَبِّحِ اسْم رَبك الْأَعْلَى{
وَزَعَمُوا: أَن ذَلِكَ بِمَعْنى علو الْغَلَبَة لَا علو الذَّات. وَعند الْمُسلمين أَن الله عز وَجل علو الْغَلَبَة. والعلو من سَائِر وُجُوه الْعُلُوّ لِأَن الْعُلُوّ صفة مدح، فَثَبت أَن لله تَعَالَى علو الذَّات، وعلو الصِّفَات، وعلو الْقَهْر وَالْغَلَبَة.

ki aur is par MUSALMANO ka IJMA hai aur woh (ALLAH) bahut BULAND O BALA hai aur QURAN bayan karta hai ki apne RABB ki PAAKI BAYAN karo jo bahut BULAND O BALA hai aur MUSALMAN ye jante hain ki ALLAH apni QUDRAT se BULANDI ke LAAYEQ hai uske saare SIFAT se q ki BULAND ki SIFAT HAMD ki SIFAT hai aur ye baat WAAZEH hai ki ALLAH BULANDI se TA’ALLUQ rakhta hai aur BULAND SIFAT se aur wo apni QUDRAT se har BULANDI ka MAALIK hai

[[ AL HAJJAH FI BAYAN AL MUHAJJAH WA SHARIH AQEEDA AHLUS SUNNAH JILD 2 SAFA 82 AUR 114 ]]

Scan :

Asbahani

11. IMAM ABU BAKAR ISMA’EELI RH farmate hain

اعلموا رحمكم الله أَن مَذَاهِب أهل الحَدِيث أهل السّنة وَالْجَمَاعَة الْإِقْرَار بِاللَّه وَمَلَائِكَته وَكتبه وَرُسُله وَقبُول مَا نطق بِهِ كتاب الله وَمَا صحت بِهِ الرِّوَايَة عَن رَسُول الله صلى الله عَلَيْهِ وَسلم لَا معدل عَمَّا وردا بِهِ ويعتقدون أَن الله تَعَالَى مدعُو بأسمائه الْحسنى مَوْصُوف بصفاته الَّتِي وصف بهَا نَفسه وَوَصفه بهَا نبيه خلق آدم بِيَدِهِ ويداه مبسوطتان بِلَا اعْتِقَاد كَيفَ اسْتَوَى على الْعَرْش بِلَا كَيفَ فَإِنَّهُ انْتهى إِلَى أَنه اسْتَوَى على الْعَرْش وَلم يذكر كَيفَ كَانَ استواؤه

Ki ALLAH tujh par RAHEM kare tu jaan le ki AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT ka AQEEDA ye hai ki IMAN laaye ALLAH par aur uske FARISHTON par aur uski KITABON par aur uske BAIGAMBAR par aur ALLAH ne jo farmaya hai use QUBOOL kare aur jo RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki HADEES SAHEEH SAABIT hui ho aur HADEES ko chor kar doosre GUMRAH raaston par na jaaye

AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT is baat par IMAN rakhte hain ki ALLAH se DUA kiya jayega uske KHOOBSOORAT NAAMON ke ZARIYE se aur uski SIFAT ke ZARIYE se jisse usne apne aap ko MUTSAB kiya hai aur jo uske RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne uski SIFAT ke baare me BAYAN kiya hai aur wo (ALLAH ne) AADAM ALAIHIS SALAM ko apne HAATHON se TAKHLEEQ farmaya aur ALLAH ke dono HATH khule hue hai BEGHAIR kisi SAWAL ke kaise?


Aur wo apne ARSH par ASTAWA hua BEGHAIR kisi SAWAL ke kaise?


Beshak hume PAHUCHA hai ki ALLAH ne apne aap ko ARSH par MUSTAWI farmaya hai aur usne ye BAYAN nahi kiya ki wo kaise ARSH par MUSTAWI hua

[[ MUKHTASAR AL ULOO SAFA 248-249] ]

Scan :

ismail

12. IMAM BAGHWI RH ALLAH TA’ALA ke is farman “PHIR WO ARSH PAR MUSTAWI HUA” bayan karte hue likhte hain

} قَالَ الْكَلْبِيّ وَمُقَاتِل اسْتَقر وَقَالَ أَبُو عُبَيْدَة صعد، قلت لَا يُعجبنِي قَوْله اسْتَقر بل أَقُول كَمَا قَالَ مَالك الإِمَام الاسْتوَاء مَعْلُوم
٥٨٧ – ثمَّ قَالَ الْبَغَوِيّ وأولت الْمُعْتَزلَة الاسْتوَاء بِالِاسْتِيلَاءِ وَأما أهل السّنة فَيَقُولُونَ الاسْتوَاء على الْعَرْش صفة الله بِلَا كَيفَ يجب الْإِيمَان بِهِ

Ki KALBI ne kaha MUSTAHKAM (qarar) pakda aur ABU UBAIDA ne kaha OOPAR ko chadaa IMAM BAGHWI RH farmate hain mujhe ye QAUL PASAND nahi aaya ki MUSTAHKAM hua ya QARAR pakda balki jis tarah IMAM MALIK RH ne kaha MUSTAWI hona MALOOM hai phir BAGHWI RH ne kaha MO’TAZILA ISTAWA ki TAWEEL karte hain jabki AHLE SUNNAT ALLAH TA’ALA ka ARSH par hona BILA KAIFIYAT maante hain aur isi par IMAN lana WAJIB hai

[[ MUKHTASAR AL ULOO SAFA 280] ]

Scan :

bagwi

13. IMAM ABU USMAN AS SAABOONI RH farmate hain

و يعتقد أهل الحديث ويشهدون أن الله سبحانه و تعالٰى فوق سبع سموات على عرشه

ki AHLEHADEESON ka ye AQEEDA hai aur is baat ki GAWAHI dete hain ki ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA SAATWE ASMAN ke OOPAR apne ARSH par ASTAWA hai jaisa ki usne apni KITAB me BAYAN kiya hai

[[ AQEEDATUS SALAF WA ASHAB UL HADEES SAFA 5 ]]

Scan :

sabooni

14. IMAM ZAHBI R.H likhte hain

// الإِمَام الْعَلامَة أَبُو عبد الله الْقُرْطُبِيّ صَاحب التَّفْسِير الْكَبِير
595 – قَالَ فِي قَوْلِهِ تَعَالَى }ثُمَّ اسْتَوَى على الْعَرْش{ هَذِه مَسْأَلَة قد بَينا فِيهَا كَلَام الْعلمَاء فِي كتاب الْأَسْنَى فِي شرح الْأَسْمَاء الْحسنى وَذكرنَا فِيهَا أَرْبَعَة عشر قولا إِلَى أَن قَالَ وَقد كَانَ السّلف الأول رَضِي الله عَنْهُم لَا يَقُولُونَ بِنَفْي الْجِهَة وَلَا ينطقون بذلك بل نطقوا هم والكافة بإثباتها لله تَعَالَى كَمَا نطق كِتَابه وأخبرت رسله وَلم يُنكر أحد من السّلف الصَّالح أَن إستواءه على عَرْشه حَقِيقَة وَخص عَرْشه بذلك لِأَنَّهُ أعظم مخلوقاته وَإِنَّمَا جهلوا كَيْفيَّة الاسْتوَاء فَإِنَّهُ لَا يعلم حَقِيقَة كيفيته

ki IMAM QURTUBI RH ne ALLAH TA’ALA ka is farman “SUMMA ASTAWA ALAL ARSHI” phir wo ARSH par ASTAWA hua iski TAFSEER me farmaya is MASLE me hum ne ULAMA ka kalam bayan kiya hai apni KITAB AL USNI FI SHARAH AL ASMA UL USNA me hum ne 14 AHLE ILMON ke AQWAL ko ZIKR kiya hai BESHAK pehle QUROON E SAALSA ne is baare me koi KALAM nahi kiya hai aur na hi unhone is par koi TAQYA kiya hai haalanki unhone ISBAT ki yani ALLAH TA’ALA ke ASTAWA hone ki TASDEEQ kiya hai jo ALLAH ne apni KITAB me BAYAN kiya hai aur jo unse RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne apne AKHBAR me BAYAN kiya hai aur SALAF SALIHEEN me se kisi ne bhi iska INKAR nahi kiya aur BESHAK ALLAH ka ARSH par ASTAWA hona HAQEEQAT hai aur BESHAK uska ARSH khaas hai BESHAK uska ARSH AZEEM MAKHLOOQ hai aur ALLAH ka ARSH par MUSTAWI hona MAJHOOL hai aur hum uski KAFIYAT nahi jaante

[[ MUKHTASAR AL ULOO SAFA 286 ]]

Scan :

Qurtubi

15. ALLAH ARSH PAR MUSTAWI HAI AUR USKA ILM HAR JAGA HAI BAQAUL IMAM MAALIK RH

ABDULLAH BIN NAAFE RH RIWAYAT karte hain ki

و قال مالك الله في السماء و علمه في كل مكان لا يخلو منه شئ

IMAM MAALIK RH ne kaha ki ALLAH apne AASMANON par hai aur uska ILM HAR JAGA ka HIHATA kiye hue hai aur uske ILM se koi JAGA KHAALI nahi

[[ AL SUNNAH LIL IMAM AHMAD SAFA 5 ]]
[[ KITAB US SHARI’AH LIL IMAM AJURI SAFA 289 ]]
[[ MASAIL IMAM AHMAD LIL ABU DAWOOD SAFA 263 ]]

Sanad Sahii

Scan : 

Malik

Note : BAaz Log  Iski Sanad me ABDULLAH BIN NAAFE RH ke Bareme Aitraz karte hy. Lekin Wus Raawi ke bareme Bahut Sare Muhadaseen Tadeel kiya hy aur wo Raawi Siqa hy. 


Tafseel ke liye A Link Me Dekhiye

Link : Click Here Imam Maalik Ka Qaul ka Aitraz ka Jawab ( Allah Kahan hy )

16. ALLAH KE ARSH PAR MUSTAWI HONE AUR ALLAH NE FARMAYA TUM JAHA KAHI BHI HO WO TMHARE SATH HAI ISSE MURAAD ILM HAI IS PAR IJMA HAI

IMAM ZAHBI RH likhte hain

قَالَ الْحَافِظ الإِمَام أَبُو عمر أَحْمد بن مُحَمَّد بن عبد الله الأندلسي الطلمنكي الْمَالِكِي فِي كتاب الْوُصُول إِلَى معرفَة الْأُصُول وَهُوَ مجلدان أجمع الْمُسلمُونَ من أهل السّنة على أَن معنى قَوْله }وَهُوَ مَعكُمْ أَيْن مَا كُنْتُم{ وَنَحْو ذَلِك من الْقُرْآن أَنه علمه وَأَن الله تَعَالَى فَوق السَّمَوَات بِذَاتِهِ مستو على عَرْشه كَيفَ شَاءَ

ki IMAM ABU UMAR AHMAD BIN MUHAMMAD BIN ABDULLAH ANDALUSI ALTALMANKI RH apni kitab AL USOOL ILA MA’RIFAT UL USOOL me farmate hain AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT me se MUSALMANO ka is baat par ITTEFAQ hai ki ALLAH ke is BAYAN (TUM JAHA KAHI BHI HO WO TUMHARE SATH HAI ) aur isi ki jaise QURAN ki deegar AAYATON me hai isse MURAAD ALLAH ka ILM hai aur ALLAH apne AASMANO par hai HAQ ke sath apne ARSH par hai jaisa uski SHAN ke layeq hai

[[ MUKHTASAR AL ULOO SAFA 264 ]]

Scan :

Umar

17. IMAM IBN ABDUL BARR R.H “NUZOOL” wali HADEES ki SHARAH karte hue farmate hain

فَظَاهِرُ التَّنْزِيلِ يَشْهَدُ أَنَّهُ عَلَى الْعَرْشِ وَالِاخْتِلَافُ فِي ذَلِكَ بَيْنَنَا فَقَطْ وَأَسْعَدُ النَّاسِ بِهِ مَنْ سَاعَدَهُ الظَّاهِرُ وَأَمَّا قَوْلُهُ فِي الْآيَةِ الْأُخْرَى وَفِي الْأَرْضِ إِلَهٌ فَالْإِجْمَاعُ وَالِاتِّفَاقُ قَدْ بَيَّنَ الْمُرَادَ بِأَنَّهُ مَعْبُودٌ مِنْ أَهْلِ الْأَرْضِ فَتَدَبَّرْ هَذَا فَإِنَّهُ قَاطِعٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ وَمِنَ الْحُجَّةِ أَيْضًا فِي أنه عز وجل على العرش فوق السموات السَّبْعِ أَنَّ الْمُوَحِّدِينَ أَجْمَعِينَ مِنَ الْعَرَبِ وَالْعَجَمِ إِذَا كَرَبَهُمْ أَمْرٌ أَوْ نَزَلَتْ بِهِمْ شِدَّةٌ رَفَعُوا وُجُوهَهُمْ إِلَى السَّمَاءِ يَسْتَغِيثُونَ رَبَّهُمْ تَبَارَكَ وَتَعَالَى وَهَذَا أَشْهَرُ وَأَعْرَفُ عِنْدَ الْخَاصَّةِ وَالْعَامَّةِ مِنْ أَنْ يَحْتَاجَ فِيهِ إِلَى أَكْثَرَ مِنْ حِكَايَتِهِ لِأَنَّهُ اضْطِرَارٌ لَمْ يُؤَنِّبْهُمْ عَلَيْهِ أَحَدٌ وَلَا أَنْكَرَهُ عَلَيْهِمْ مُسْلِمٌ

ki is HADEES me is baat ka SABOOT hai ki ALLAH AASMANO par hai apne ARSH par ASTAWA hai SAATWEN AASMAN ke OOPAR jaisa ki MUSALMANO ki JAMA’AT ne BAYAN kiya hai aur unhone SABOOT ke taur par ye bhi farmaya ki ALLAH apne ARSH par ASTAWA hai SAATON AASMANO ke OOPAR jaisa ki MUWAHIDEEN E ARAB aur GAIR ARAB dono hi PASAND karte hain.Agar inhe kuch TAKLEEF aur MUSEEBAT PAHUCHTI hai to ye log apna chehra AASMANO ki TARAF uthaa karr apne RABB se MADAD maangte hain aur is AMAL ko duniya ke saare TABQE ke MUSALMAN jante hain aur ye KAAFI hai BAYAN karna BEGAIR kisi BAHES ke ki ye LAAZIM hai aur koi bhi MUSALMAN is BAAT ka INKAAR nahi kar saktaa

[[ AL TAMHEED JILD 7 SAFA 134 ]]

Scan :

barr

18. IMAM ZAHBI R.H likhte hain

قَالَ شيخ الْإِسْلَام الْهَرَوِيّ أَنبأَنَا ابْن العالي أَنبأَنَا جدي مَنْصُور حَدثنِي أَحْمد بن الْأَشْرَف قَالَ حَدثنَا حَمَّاد بن هناد البوشنجي قَالَ هَذَا مَا رَأينَا عَلَيْهِ أهل الْأَمْصَار وَمَا دلّت عَلَيْهِ مذاهبهم فِيهِ وإيضاح منهاج الْعلمَاء وَصفَة السّنة وَأَهْلهَا أَن الله فَوق السَّمَاء السَّابِعَة على عَرْشه بَائِن من خلقه وَعلمه وسلطانه وَقدرته بِكُل مَكَان

ki RAAWI kehta hai HAZRAT HAMMAD BIN BOSHANJEE RH ne farmaya DUNIYA ke AHLE ILM ko jo hum ne dekha hai aur jo unka MAZHAB hai aur un AHLE ILM ka MINHAAJ aur SUNNAT ki SIFAT ki BESHAK ALLAH 7WEN AASMAN ke OOPAR apne ARSH par hai apni MAKHLOOQAT se bilkul alag aur uska ILM aur BAADSHAHAT aur QUDRAT har jaga hai

[[ MUKHTASAR AL ULOO LIL ALIYUL GAFFAR SAFA 225 ]]

Scan :

boshanji

19 . IMAM UL HARMAIN AL JUWAYNI RH ko IMAM ABU JAAFAR AL HAMDANI RH ka JAWAB ALLAH KE ULOO PAR

ALLAMA AALOOSI HANAFI RH likhte hain

وذكر محمد بن طاهر المقدسي أن الشيخ أبا جعفر الهمداني حضر مجلس إمام الحرمين وهو يتكلم في نفي صفة العلو ويقول: كان الله تعالى ولا عرش وهو الآن على ما كان، فقال الشيخ أبو جعفر: أخبرنا يا أستاذ عن هذه الضرورة التي نجدها في قلوبنا فإنه ما قال عارف قط: يا الله إلا وجد في قلبه ضرورة بطلب العلو لا يلتفت يمنة ولا يسرة، فكيف تدفع هذه الضرورة عن أنفسنا؟! قال: فلطم الإمام على رأسه ونزل- وأظنه قال وبكى- وقال: حيرني الهمداني

ki IMAM MUHAMMAD IBN TAHIR AL MAQDASI RH ne ZIKR kiya ki SHAIKH ABU JAAFAR AL HAMDANI RH IMAM UL HARMAIN AL JUWAYNI RH ki MAJLIS me aaye jaha par IMAM UL HARMAIN RH keh rahe the ALLAH ke ULOO me koi TAHQEEQ nahi hai unhone kaha ALLAH hai par ARSH nahi hai ALLAH MAUJOOD hai waha jaha wo hai to IMAM ABU JAFAR RH ne kaha AYE mere USTAAD hame KHABAR dijiye us cheez ke baare me jiske baare me hamare DILON (heart) me kuch SHAK O SHUBA hai jab koi ALLAH ko JANNE waala kehta hai YA ALLAH to uske dil ka RUJHAN BULANDI ki taraf hota hai yani AASMAN ki taraf BAAYEN aur DAAYEN nahi (left and right)? To IMAM UL HARMAIN RH ne IMAM ABU JAFAR RH ke SAR par apne HAATHON se MAARA aur neeche aaye aur IMAM HAFIZ MAQDASI RH ne kaha ki mera GUMAAN hai ki IMAM UL HARMAIN AL JUWAYNI RH rone lage aur ye bhi farmaya HAMDAANI ne mujhe LAJAWAAB kar diyaa

[[ GAYAT UL AMANI FI RADD ALI UN NABHANI JILD 1 SAFA 571 ]]

YE HAWALA AUR BHI KUTUB ME NAQAL HAI
DEKHEN الخبر في: “الفتاوى” (4/ 61) وفي “الاستقامة” (1/ 167) و “العلو” للذهبي (2/ 1347/ 538) و”السير” (18/ 477) و”الطبقات” للسبكي (5/190) و”اجتماع الجيوش ” (ص 275) . وقال الشيخ الألباني في “مختصر العلو” (277/308) : “وإسناد هذه القصة صحيح مسلسل بالحفاظ”.]

Scan :

jawooni

20. IMAM ZAHBI RH likhte hain

قَالَ عبد الرَّحْمَن بن أبي حَاتِم حَدثنَا أبي قَالَ حدثت عَن سعيد ابْن عَامر الضبعِي أَنه ذكر الْجَهْمِية فَقَالَ هم شَرّ قولا من الْيَهُود والنصاري
قد اجْتمع الْيَهُود وَالنَّصَارَى وَأهل الْأَدْيَان مَعَ الْمُسلمين على أَن الله عزوجل على الْعَرْش
وَقَالُوا هم لَيْسَ على شَيْء

ki RAAWI kehta hai ki IMAM SA’EED IBN AMIR AL ZAB’E (MUTAWAFFA 208 HIJRI) ke pass jab JAHMIYA logo ka zikr hua to unhone farmaya wo log BADTAREEB hain apne AQAYED me YAHOODIYON aur ISAAIYON se,q ki beshak YAHOOD aur ISAYI aur MUSALMAN ka is baat par ITTEFAQ hai ki beshak ALLAH apne ARSH par ASTAWA hua aur ye JAHMIYA kehte hain ki MUSLIM aur YAHOOD aur ISAAYI (is aqeede me) GUMRAHI par hain

[[ MUKHTASAR AL ULOO LIL ALIYUL GAFFAR SAFA 168 ]]

Scan :

saeed

21. IMAM IBN KHUZAIMAH RH likhte hain

فِي السَّمَاءِ كَمَا أَخْبَرَنَا فِي مُحْكَمِ تَنْزِيلِهِ وَعَلَى لِسَانِ نَبِيِّهِ عَلَيْهِ السَّلَامُ، وَكَمَا هُوَ مَفْهُومٌ فِي فِطْرَةِ الْمُسْلِمِينَ، عُلَمَائِهِمْ وَجُهَّالِهِمْ، أَحْرَارِهِمْ وَمَمَالِيكِهِمْ، ذُكْرَانِهِمْ وَإِنَاثِهِمْ، بَالِغِيهِمْ وَأَطْفَالِهِمْ، كُلُّ مَنْ دَعَا اللَّهَ جَلَّ وَعَلَا: فَإِنَّمَا يَرْفَعُ رَأْسَهُ إِلَى السَّمَاءِ وَيَمُدُّ يَدَيْهِ إِلَى اللَّهِ، إِلَى أَعْلَاهُ لَا إِلَى أَسْفَلَ

ki ALLAH apne AASMAN ke OOPAR hai jaisa ki usne hame KHABAR di hai QURAN me aur RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki ZUBAN E MUBARAK se jaisa MUSALMAN jante hain apni FITAR se unme ka ALIM aur JAHIL, GULAM aur AZAD, MARD aur AURAT, SAMAJHDAR JAWAN aur BACHCHA isme se jo bhi DUA karta hai to wo apne CHEHRE ko AASMAN ki taraf UTHATA hai aur apne HATHON ko UTHATA hai ALLAH ki taraf ye apne CHEHRE aur HATHON ko OOPAR ki taraf UTHATE hain NICHE ki taraf nahi

[[ KITAB UT TAUHEED WA ISBAT SIFAAT AL RABB AZZAWAJAL JILD 1 SAFA 254 ]]

Scan :

kuzaim

22.IMAM ZAHBI RH likhte hain

قَالَ الإِمَام أَبُو عبد الله بن بطة العكبري مُصَنف الْإِبَانَة الْكُبْرَى فِي السّنة وَهُوَ أَربع مجلدات حَدثنَا أَبُو الْحسن أَحْمد بن زَكَرِيَّا بن يحيى السَّاجِي قَالَ قَالَ أبي القَوْل فِي السّنة الَّتِي رَأَيْت عَلَيْهَا أَصْحَابنَا أهل الحَدِيث الَّذين لَقِينَاهُمْ أَن الله تَعَالَى على عَرْشه فِي سمائه يقرب من خلقه كَيفَ شَاءَ وسَاق سَائِر الإعتقاد

ki RAWI kehta hai IMAM ZAKARIYA BIN YAHYA AS SAJI RH ne farmaya AHLE SUNNAT ka NAZARIYA jo mai ne paya hai hamare ASHAB AHLE HADEES jinhe hum ne IKHTIYAR kiya hai ye ki ALLAH apne ARSH par ASTAWA hai apne AASMANO ke OOPAR,wo apni MAKHLOOQAT me se jise chahta hai QAREEB kar leta hai

[[ MUKHTASAR AL ULOO LIL ALIYUL GAFFAR SAFA 223 ]]

Scan :

zakariyah

23. SHAIKH ABDUL QADIR JILANI RH farmate hain

“wo MAKHLOOQ ki MUSHABIHAT se PAAK hai uske ILM se koi JAGA khaali nahi magar use har JAGA MAUJOOD hone se MUTASIF nahi kar sakte balki kaha jaayega ki wo AASMAN me ARSH E MAJEED par hai”

[[ GUNYAT UT TALIBEEN LIL ABDUL QADIR JILANI RH SAFA 158 ]]

Scan :

jelani

Aur 1 Jagah

SHAIKH ABDUL QADIR JILANI RH likhte hain

ولا يجوز وصفه بأنه في كل مكان ، بل يقال : إنه في السماء على العرش

ki ye kehna jayez nahi ki wo har JAGA me hai balki ye kaha jata hai wo AASMAN par ARSH par hai

[[ AL GUNIYAT LIT TALIBI SAFA 154 ]]

24. IMAM ZAHBI RH likhte hain

وَقَالَ الْحَافِظ الْحجَّة أَبُو نصر عبيد الله بن سعيد الوائلي السجْزِي فِي كتاب الْإِبَانَة الَّذِي أَلفه فِي السّنة أَئِمَّتنَا كسفيان الثَّوْريّ وَمَالك وَحَمَّاد بن سَلمَة وَحَمَّاد بن زيد وسُفْيَان بن عُيَيْنَة والفضيل وَابْن الْمُبَارك وَأحمد وَإِسْحَاق متفقون على أَن الله سُبْحَانَهُ بِذَاتِهِ فَوق الْعَرْش وَعلمه بِكُل مَكَان وَأَنه ينزل إِلَى السَّمَاء الدُّنْيَا

ki IMAM ABU NASAR AL SAJZEE RH (MUTAWAFFA 444 HIJRI) farmate hain hamare AIMMA jaise IMAM SUFIYAN THAURI RH, IMAM MALIK RH, HAMMAD IBN SALMA RH, HAMMAD IBN ZAID RH , SUFIYAN IBN UYAYNA RH, FUZAIL RH,IMAM IBN MUBARAK RH aur IMAM AHMAD RH aur IS’HAAQ RH wagaira se ye log kehte hain ki beshak ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA ARSH par hai aur USKA ILM har jaga hai aur wo AASMANON par NAAZIL hota hai

[[ MUKHTASAR AL ULOO LIL ALIYUL GAFFAR SAFA 266 ]]

Scan :

Nasar

25. IMAM ZAHBI RH likhte hain

الَ الإِمَام أَبُو مُحَمَّد بن أبي زيد المغربي شيخ الْمَالِكِيَّة فِي أول رسَالَته الْمَشْهُورَة فِي مَذْهَب مَالك الإِمَام وَأَنه تَعَالَى فَوق عَرْشه الْمجِيد بِذَاتِهِ وَأَنه فِي كل مَكَان بِعِلْمِهِ // وَقد تقدم مثل هَذِه الْعبارَة عَن أَبِي جَعْفَرِ بْنِ أَبِي شَيْبَةَ وَعُثْمَان بن سعيد الدَّارمِيّ وَكَذَلِكَ أطلقها يحيى بن عمار واعظ سجستان فِي رسَالَته والحافظ أَبُو نصر الوائلي السجْزِي فِي كتاب الْإِبَانَة لَهُ فَإِنَّهُ قَالَ وأئمتنا كالثوري وَمَالك والحماد وَابْن عُيَيْنَة وَابْن الْمُبَارك والفضيل وَأحمد وَإِسْحَاق متفقون على أَن الله فَوق الْعَرْش بِذَاتِهِ وَأَن علمه بِكُل مَكَان

ki IMAM ABU BAKAR IBN ABI ZAID jo MALIKI SHAIKH hain wo IMAM MALIK RH ke MAZHAB ke MUTA’ALLIQ apne pehle MASH’HOOR RISALAH me kehte hain ki ALLAH TA’ALA ARSH par hai apni ZAAT ke saath aur apne ILM ke sath HAR JAGA hai (yani uska ILM HAR JAGA HAI)


ABU JAFAR BIN ABI SHEBAA RH aur USMAN BIN SA’EED AL DARIMI RH se isi tarah ka QAUL isse pehle NAQAL kiya ja chuka hai.HAFIZ ABU BAKAR AL WA’ILI AL SAJZI RH apni KITAB AL IBANAH me kehte hain SAURI RH,MALIK RH,HAMMAD IBN UYAYNAH RH,IBN AL MUBARAK RH,FUZAIL RH,AHMAD RH,IS’HAQ RH sabhi AHLE ILM is baat par MUTTAFIQ hain ki ALLAH TA’ALA apni ZAAT ke saath ARSH par MUSTAWI hai aur apne ILM ke saath HAR JAGA hai (yani uska ILM HAR JAGA hai)

[[ MUKHTASAR AL ULOO LIL ALIUL GAFFAR SAFA 255 ]]

Scan :

zaid

———————————————–

A Bayanat Zaroor Suniye

1. Allah kahan Hy..?? || By Shaykh. Yasir AlJabri Madani

Link :  Allah kahan Hy..?? || By Shaykh. Yasir AlJabri Madani

Yaha Bhi Deksakte : 

2. Allah Kahan Hain || By Shaykh. Abu Zaid Zameer

Link : Allah Kahan Hain | Abu Zaid Zameer

Yaha Bhi Deksakte : 

1 thought on “Allah Kahan Hey ..?? Quran Aur Sahii Hadees Aur Salaf-us-Salaheen ke Roshni me

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this:
search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close