Namaz Qaza -e- Umri Ka Haqeeqat


Qaza

Qaza-e-Umri Namaz Padna Biddat hy.. aur A Quran aur sahii hadees se sabit nahi hy.. Agar Musalmaan janbuchkar farz namaz choddiya to kabira gunegar hi rahege jab tak Allah maaf kare lekin iska kaffara nahi hy.. lekin jo shaks Namaz bhulgaya (ya) sogaya to iska kaffara hy jis wakt me yaad aaya to fawran padlena chahiye,,,

Daleel:-1)★ Hazrath Anasa (RADHIALLAHU TALA-O-ANHU) se Rivayat hai ki Rasoollallah (SALLALLAHU ALAIHE WA SALAM) ne Farmaya:

“jo shaks namaz bhul jaye (ya so jaye) to iska kaffara ye hai ki jis waqt yaad aye (ya jage) un namaz ko padh ley.
{SAHI BUKHARI-MAWAKHITUSSALAT HADEES NO.597+MUSLIM-KITABUL MASJID HADEES NO.684}

★ 2)Hazrath khatada (RADHIALLAHU TALA-O-ANHU) se Rivayat hai ki Rasoollallah (SALLALLAHU ALAIHE WA SALAM) ne ek safar k dauran farmaya:

“aaj rat hamari hifazat kaun karega? aisa na ho ki fazar k namaz k waqt na jaag sake”

hazarat bilal (RADHIALLAHU TALA-O-ANHU) ne kaha:mai khayal rakhunga,

phir unhone purab ki taraf mu kiya aur kuch der bad bilal(r.z) ghafil ho kar so gae,

jab suraj garam huwa to jaage aur khade huwe, ALLAH k rasool (SALLALLAHU ALAIHE WA SALAM) aur sahaba be jaag gaye,

aap (SALLALLAHU ALAIHE WA SALAM) ne farmaya:unth ki nakal pakad kar chalo kyunki yaha shaitan ki jagah hai,

phir nayii jagah pahunchkar aap (SALLALLAHU ALAIHE WA SALAM) ne wazoo karne ka hukum diya, hazarat bilal (R.Z) ne azan de,

ALLAH k rasool (SALLALLAHU ALAIHE WA SALAM) ne do rakate padhi bakhi logon ne be do sunnate padhi,

phir aap (SALLALLAHU ALAIHE WA SALAM) ne fajar ki namaz padhayi aur farmaya:

“jo shaks bhul jaye to use jab be yaad aye namaz padh ley”
{SAHI BUKHARI-MAWAKHITUSSALAT HADEES NO.595+MUSLIM-KITABUL MASJID HADEES NO.680}

Note:-kisi sahi hadees se A sabit nahi hai ki chuti huwi namaz ko dusre din padna ya ya uska kaffara balki ALLAH K Rasool (s.a.w) ke amal se bilkul saaf hai ki nind se jagane k bad jald namaz ada ki jaye ….

yaad rahe Qaza-e-umri wale masley ki shariyat me koi asal nahi isliye ye biddath hai,

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this:
search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close