Namaz-e-Janaza Mein Salam Ek Taraf Ferna Chahiye Ya Donu Taraf ???


janaz

Sawal: Namaz-e-Janaza Mein Salam Ek Taraf Ferna Chahiye Ya Donu Taraf ?

Jawab: Nabi Aqram (Sallallahu Alaihi Wasallam) Say Namaz-e-Janaza Mein Sirf Ek Taraf Salam Ferna Sabit Hai Aur Donu Taraf Sabit Nahi Hai.
————————
Ek Salam K Dalail:

Dalil no.1: Sayidna Abu Hurayra (Radiallahu Anhu) say rewayat hai:

أن رسول الله صلى الله عليه و سلم صلى على جنازة فكبر عليها أربعا وسلم تسليمة واحدة

“Beshak Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek mayat par namaz-e-janaza padaye, us par char (4) taqbeeray kahe aur phir ek hi salam fera”

{Sunan Darqutni (2/181, Hadith no.1899), Mustadrak Lil Hakim (1/360, Hadith no.1332), Sunan Al-Kubra Lil Bahaqi (4/43, Hadith no.6773), Sanad Hasan}

Dalil no. 2: Naf’a Sayidna Abdullah Bin Umar (Radiallahu Anhu) k bare mein farmate hai:

أنه كان إذا صلى على الجنازة رفع يديه فكبر فإذا فرغ سلم على يمينه واحدة

“Aap (Radiallahu Anhu) jab nimaz-e-janaza padte toh rafa-ul-yadain karte, phir taqbeer kahte, phir jab fa’rag hote toh apnay da’yeh (right) janib ek salam feratey ”

{Musanaf Ibn Abi Shaiba (2/499, Hadith no.11491( Sanad Sahih}

Dalil no.3: Umaro Bin Mahajar Al-Dimashqi kahte hai:

صليت مع واثلة على ستين جنازة من الطاعون رجال ونساء فكبر اربع تكبيرات وسلم تسليمة

“Main ne Sayidna Wa’sela Bin Saq’aa (Radiallahu Anhu) k saath taw’oon say marnay walay mardu aur awratu k sa’aath (60) janazay paday, Aap char (4) taqbeeray kahte aur ek salam ferate ”

{Musanaf Ibn Abi Shaiba (2/500, Hadith no.11505), Sanad Sahih}

Dalil no.4: Sa’id Bin Jubair (Tabi) (Rahimahullah) ek salam ferate thy.

{Musanaf Ibn Abi Shaiba (2/500, Hadith no.11501), Sanad Sahih}

Dalil no.5: Imam Muhammad Bin Sereen (Tabi) (Rahimahullah) ek salam ferate thy.

{Musanaf Ibn Abi Shaiba (2/500, Hadith no.11499), Sanad Sahih}

Dalil no.6: Imam Hasan Basri (Tabi) (Rahimahullah) ek salam ferate thy.

{Musanaf Ibn Abi Shaiba (2/500, Hadith no.11502), Sanad Sahih}

Dalil no.7: Imam Muqhool (Tabi) (Rahimahullah) ek salam ferate thy.

{Musanaf Ibn Abi Shaiba (2/500, Hadith no.11506)}

Dalil no.8: Imam Abdullah Bin Mubarak (Rahimahullah) farmate hai:

من سلّم على الجنازة بتسليمتين ، فهو جاهل ،جاهل

“Jis ne nimaz-e-Janaza par do (2) salam feray, wo jahil, jahil hai”

{Masail-e-Ahmad (Abu Dawud): 154, Sanad Sahih}

Dalil no.9: “Abul Fazal Saliha Bin Ahmad Bin Hanbal (M 265 H) apnay walid Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) k bare mein farmate hai:

وكان يكّبر على الجنازة أربعا ، ويرفع يديه مع كلّ تكبيرة ’ ويقرأفاتحة الكتاب فى أوّل تكبيرة ’ ثمّ يسلّم تسليمة واحدة

Aap (Rahimahullah) nimaz-e-janayiz par char (4) taqbeerat kahte, har taqbeer k saath rafa-ul-yadain karte, phele taqbeer k baad Surah Fatiha padte, phir ek hi salam ferate”

{Seeratul Imam Ahmad Bin Hanbal La Abi Fazal Saliha Bin Ahmad, Safa no.40}

————————
Do Salam K Dalail:

Dalil no.1: Ibrahim Al-Hajri kahte hai kii Sayidena Abdullah Bin Abi Awfi (Radiallahu Anhu) say ek janaza par da’ye (right) ba’ye (left) salam pera aur farmaya: “Main ne Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko is tarha karte dekha hai”

{Sunan Al-Kubra Lil Bahaqi, 4/43}

Jawab: Is rewayat ki sanad daif hai, is mein Ibrahim Bin Muslim Hajri rawe jamhoor muhadithseen k nazdeeq daif hai, Is par Imam Abu Hatim Al-Razi, Imam Nasai, Imam Bukhari, Imam Tirmidhi, Imam Ibn Aadi, Imam Yahiya Bin Ma’een, Imam Ahmad Bin Hanbal, Imam Juzjani, Imam Ibn Sa’id aur Ibn Janyad ne sakhat jarah kiye hai.{Tahazeeb At-Tahzeeb, 1/143-144}

Imam Ibn Hajar (rahimahullah) ne is k bare mein farmaya: Hadith mein naram hai.{Taqreeb At-Tahzeeb:252}

Imam Zahabi (rahimahullah) ne isay daif kaha hai.{Talkheesul Mustadrak Lil Zahabi: 1/555}

Dalil no.2: Sayidena Abdullah Bin Masud (Radiallahu Anhu) farmate hai: “Teen kaam aisay hai jinko Allah k Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) kiya karte thy laykin logu ne unko chood diya hai, Un mein say ek nimaz-e-janaza mein aam nimaz ki tarha salam ferna hai”

{Sunan Al-Kubra Bahaqi, 4/43}

Jawab: Yeh rewayat teen (3) waguhaat ki waja say daif hai:
1. Hammad Bin Abi Sulayman mukhtalat hai aur yeh rewayat ikhtilaat say phalay ki nahi hai.
2. Hummad Bin Abi Sulayman Mudalis b hai aur rewayat an say hai.{Tabqaatul Mudaliseen (2/45)}
3. Ibrahim Nakhi b mudalis hai aur rewayat an say hai. {Tabqaatul Mudaliseen (2/35)}

Dalil no.3: Sayidna Abu Musa Ashari (Radiallahu Anhu) bayaan karte hai: “Hum ne Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) k saath ek mayat par nimaz pade, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apnay daye (right) aur baye (left) janib salam fera”

{Al-Mojamul Awsat Li Tabrani: 4334}

Jawab: Is ki sanad daif hai kyun kii is mein Khalid Bin Na’if Al-Ashari rawe daif hai.

Imam Abu Zurah Razi (Rahimahullah) kahte hai kii yeh daif-ul-hadith hai.{Al-Jarah Wa Tadeel (3/355)}

Imam Abu Hatim Razi (Rahimahullah) kahte hai: yeh sheikh hai, qawi nahi hai, iski hadith (mutabiaat wa shawahid mein) likhe jayege.{Al Jarah Wa Tadeel (3/355)}

Imam Nasai (Rahimahullah) ne b isay daif karar diya hai.{Kitabul Da’aafa Wal Matrukeen Lil Nasai, Safa no.182}

Dalil no.4: Ibrahim Nakhi (Tabi) (Rahimahullah) nimaz-e-janaza mein daye (right) aur baye (left) salam farte thy.

{Musanaf Ibn Abi Shaiba (3/308), Sanad Hasan}

Jawab:
1.Ibrahim Nakhi ka yeh fa’ail Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) , Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) k Sahaba aur Jamhoor k khilaaf hone ki waja say na kabil aamal hai.

*****************************
Al-Hasil: Namaz-e-Janaza mein sirf ek salam hai, donu taraf salam ferna Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ya sahaba say sahih ya hasan sanad say sabit nahi hai.
__________________________

%d bloggers like this:
search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close