Biddaat e Hasanah Muhaddiseen ki Nazar Mein (Roman Urdu)


hasanah

 

Mas’lah “ Bida’t e HASANAH [ ACCHI BIDA’T ] “ yeh kuch log ke aagey bahuth kasarat ke istemaal kiya jaata hai, halanke aisa kuch DEEN E ISLAM E SHARIYAT me jayaz nahi hai. Kuch giroh ke log kahte hai ke ALLAH ka Khurb hasil karne ke liye aise cheez jo DEEN E SHARIYAT me [ Jo Nabi Sallallahu Alai Wasallam me kabhi ki nahi aur Naahi Sahaba ne ki hai ] ijaad karte hue ibadat karna Jayaz samajte hai. Uske liye wo log kuch aise Daleel ka istemaal karte hai jiska mahfum istilaahi taur kabhi thahi nahi aur usko tod marod kar Daleel banate hue UMMAT ko andheri me dhakalrahe hai.

Allah aise log se mahfooz rakhe. !

DEEN ko sabse Accha samajkar AML karne wale SAHABA the, aur wahi log kaamiyab honge jo inki Rah par challenge. Asal tho KITAB AUR SUNNAH hi hai aur hame kisi bhi Hadith ko lete hue yeh dekhna hai ke hamare SALAF ne ise kaise samja ? Aur kaise aml kiya ?

Irshad e Baari Ta’ala hai:

‘(Aey Musalmano’n) aaj ke din Maine tumhare liey tumhare deen ko mukammil kar diya hai aur tum par apni nemat ko poora kardiya hai aur tumhare liey Islam ko (bataur) deen pasand karliya hai.’

[ Surah Al Maaeda # 3 ]
Ye aayat 9 Zil hajja 10 Hijri ke din maidan e Arafat me naazil hui. Iske naazil hone ke teen maah ba’ad Rasool Allah ye kaamil aur akmal deen ummat ko sau’np kar rafeeq e a’ala se jaamile aur ummat ko wasiyyat farmagae:

‘Main tumhare andar aisee do cheezei’n chod kar jaa raha hu’n ke jab tak tum inhei’n mazbooti se pakde rahoge hargiz gumrah nahi hoge ya’ani Allah ki kitab aur iske Nabi ki sunnat.’

[ Behaqhi – Muwatta Imam Maalik V2 P899 – Alqadr, bab An‐nahi anil Qaul bil Qadr, Haakim # V1 P93 ]
Imam ibne Hazam ne ise Saheeh kaha hai.

Alfaze “bidah” (البدعة) aur “muhdathah” (المحدثة) [ Nayi cheeze Ijaab karna ], donoko Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne “ Na Khabile Muafi “ ke taur par istemaal kiya hai aur ispar saare Ahl al-Sunnah ka Ittefaaq hai ke Deen me Bidah na khabile Khubul hai kyunki DEEN pahle hi mukammil hochuka hai jaise upar ke hadith se pata chalta hai.

Upar ke Quran wa hadith se malum hotha hai ke DEEN mukammal hochuka hai, aur kisi bhi Izaafa ya Kami ki gunjaish ab nahi rahegi.

Iske bataur Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya…

“ TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche Ba-Zaahir wo logon ko ACHCHI lage ”.

[ SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH # 138) ]

Tho malum hue ke DEEN e Shariyat me koi aisa naya kaam jo ibadat ke taur par ALLAH ka kurb haasil karne ke liye ijaad karenge wo kaam bidat kahlayenge.

 

Ab kuch log Bibat ka ek aur naya kism Deen e Shariyat me dakhil karte hue kahte hai ke ispar Aml karna jayaz hai.

 HADITH :

 Abdur Rahman bin ‘Abdul Qari r.a. kahte hai ki Mai ek baar Ramada ki raat Umar r.a. ke sath masjid aya aur paya ki log alag alag Jamaat me padh rahe hai. Ek admi akele padh raha hai aur ek admi chote se jamat me uske piche padh raha hai. Toh Umar r.a. ne kaha ki mere Raae me ye behtar hoga ki ek Qaari ki Imamat me in sab ko jama kardu. Toh unhone sabko Ubai bin Ka’b ke piche jama karne ka apna man banaya. Fir dusri raat maine un ke sath fir gaya aur (dekha ki) log  Qirat karne wale ke piche padh rahe hai. Aur ispar Umar r.a. ne kaha, “Ye ek achi biddat hai”.

[ SAHIH AL-BUKHARI # 2010 ]

Tho aaiyne Dekte hai ke SALAF ne is Hadith ko kaise samja hai !!..

1) Ibn Hajar al-Asqalani Rahimahullah ne Bidah ke Alfaaz ke Ulamaonke Zuban se bahut hi acchi tareekese wajahat kiya hai.

Ibn Hajar Rahimahullah ne Fath al-Bari (Maktabah Salafiyyah print, 13/278) me Kitaab  التمسك بالكتاب والسنة me, Baab ما هو كره من الخوض والتشكيك في المعرفة والمبالغة في الدين والابتكارات me kaha ke..

وأما ” البدع ” فهو جمع بدعة وهي كل شيء ليس له مثال تقدم فيشمل لغة ما يحمد ويذم ، ويختص في عرف أهل الشرع بما يذم وإن وردت في المحمود فعلى معناها اللغوي

Bidah (البدع), yeh Bidat (بدعة) ki jama’ hai aur ye wo sab kuch hai jiska pahle misaal [example] na diya gaya ho.  Luqat me, Qabile Tareef aur Na Khabile Muafi me ghire hue hai. Aur ILM ke Logonke [ ULAMA ] ke aitbaar se yeh Khas Jo Qabile Ilzaam hai unpar Istemal hua hai, aur agar yeh ALFAAZ, QABILE TAREEF ke talluq se istemaal kiya gaya ho, tho yeh LUQHVI ke maane se hoga. “
Aur  Ibn Hajar ne (13/253) aagey farmaya ke..

و ” المحدثات ” بفتح الدال جمع محدثة والمراد بها ما أحدث ، وليس له أصل في الشرع ويسمى في عرف الشرع ” بدعة ” وما كان له أصل يدل عليه الشرع فليس ببدعة ، فالبدعة في عرف الشرع مذمومة بخلاف اللغة فإن كل شيء أحدث على غير مثال يسمى بدعة سواء كان محمودا أو مذموما

 

“ Aur “ Naye cheeze ijaad karna (المحدثات), Daal par Fathah, yeh bidah (محدثة) ki jamah hai aur isse Matlub yeh hai ke jo bhi naye cheeze Ijaad kiye gaye ho jiska DEEN me koi asal hi naho. Tho aise cheezonko DEEN E SHARIAH me bidat  (بدعة) kahte hai. Aur Shariah se jo ishara ya asl hotha hai tho wo cheeze Bidah nahi kahlayi jaayegi. Qabile Ghair Motabar, Bidah ka istemal shairah me hotha hai  jaise uske istemaal me lughvi ke maane ke barkhilaaf ho,  Wo saari Cheeze jiska DEEN e Shairah se talluq na ho wo chahe bila lehaaz ke QAABILE AITMAAD ya QAABILE NA-AITMAAD ho wo BIDA’H kahlaaya jaayega.

Upar Ibn Hajar Rah. ne saaf taur par wajahat kardiya hai ke Bidah ka istemaal sirf Qabit Aitmaad par hi kiya jaata hai yaani ke Luqvi ke aitbaar se.

 

2) Al-Bayhaqi, Ibn Hajar aur Ibn Taymiyyah Rahimahullah aur doosrone  Imam al-Shafi’I [Rahimahullah] ke aqwal ke daleel se bayan kiya hai..

Al-Bayhaqi Rahimahullah ne Manaqib al-Shafi’i (1/469) me Imam al-Shafi’I ke Sanad se farmaya ke..

المحدثات من الأمور ضربان: أحدهما ما أحدث مما يخالف كتابا أو سنة أو أثرا أو إجماعا، فهذه البدعة الضلالة، والثانية: ما أحدث من الخير لا خلاف فيه لواحد من هذا، وهذه محدثة غير مذمومة

 

“ Naye cheeze Ijaad karneke 2 Kisme hai. Unmese Pahla wo Ijaad jo Quran, Sunnah ya kisi Ek Rivayat ya fir IJMAH ke Khilaaf ho. Yeh Bidat e Dhalala hai jo Gumrahi hai. Aur Doosri kism wo hai jo acche ke liye Ijaad kiya gaya hai aur [qur’an, sunnah, athar, ijmaa’] uske khilaaf na ho. Yeh Nayi cheeze ijaad karna hai jo Ghair-aitmad nahi hai.

Yaha Imam Al-Shafi’i ke aqwal ko Ahmad bin Hajar Aal Butami – SALAFI (d. 1423 H) Jo SHAFI’I fiqh se talluq rakte hai unhone is Aqwal ko Kitaab  “ Tahdhir al-Muslimin anil-Ibtidaa’ wal-Bida’ fil-Din (Dar al-Imam al-Bukhari, 1428H, p. 114) “ acche tarah se wajah kiya hai.

“Imaam al-Shafi’I Rahimahullah ka kahna hai, Bidah ke 2 kisme hai : Qaabile Tareef aur Qaabile Ilzaam. Jo bhi Sunnah par ittefaaq ho wo Qaabile Tareef hai aur jo bhi Sunnah se Khilaaf ho wo Qabile Ilzaam hai “, “ Qaabile Tareef ki Bidah “ ke baareme Irada yeh hai ke, isme wo sab cheeze mile hue hai jo Duniyavi aitbar se faidah dilate ho aur rozgaar [livehood] ke liye istemaal jaise Radio, electricity, airplanes, cars aur phone wo cheeze jo duniyavi aitbar se faidah deti ho. Yeh isliye ke wo kuch nuqsaan nahi dete aur naahi koi iske istemaal se shaitaan ke hatkandey insanontak paunchenge ya kisi HARAAM tak pahunchte hai ya Islam ki Buyadiyonko miltaata hai. Aur ALLAH Subhan Watala ne uske Bandeko ijaazat di hai ke wo jo chahe wo duniyavi mamlome ijaad karsakta hai.

“وَافْعَلُوا الْخَيْرَ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ”

” Nek Kaam karo taaki Kamiyab hojao “
[ Surah Al Hajj # 77 ]

3) Shaykh al-Islam Ibn Taymiyyah ne Majmu’ al-Fatawa (20/163) me farmaya ke..

من هنا يعرف ضلال من ابتدع طريقاً أو اعتقاداً زعم أن الايمان لا يتم إلا به، مع العلم بأن الرسول لم يذكره، وما خالف النصوص فهو بدعة باتفاق المسلمين، وما لم يعلم أنه خالفها فقد لا يسمى بدعة، قال الشافعي رحمه الله‏:‏ البدعة بدعتان‏:‏ بدعة خالفت كتاباً وسنة وإجماعاً، وأثراً عن بعض ‏(‏أصحاب‏)‏ رسول الله صلى الله عليه وسلم، فهذه بدعة ضلالة، وبدعة لم تخالف شيئاً من ذلك فهذه قد تكون حسنة لقول عمر‏:‏ ‏[‏نعمت البدعة هذه‏]‏ وهذا الكلام أو نحوه رواه البيهقي بإسناده الصحيح في المدخل

“ Aur Yaha se, Uski Gumrahi jo Ek Rasta ya Aqidah ka Ejaad karta hai aur Dawah karta hai ke Iman iske bagair mukammil nahi, wo ILM jo Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ne uska Zikr nahi kiya ho. Aur jo bhi ALFAAZONKE bar Khilaaf ho Ummat ke Ijmah  ke mutabik wo ek BIDAH hai, aur wo ALFAAZ jiska Bar-khilaaf hone ko Malum na ho, tho hamesha ‘Bidah’ nahi kahlaaya jaayega (in the  blame worthy Shariah  sense ).

Al-Shafi’i (rahimahullaah) ne farmaya ke :

“ Bidah ke 2 kisme hai : Ek Bidah wo hai jo Quran, Sunnah, Ijma aur Athaar e Sahaba ke khilaaf ho, yeh Bidat Gumarhi hai. Aur Ek Bidah wo hai jo Quran, Sunnah, Athar aur IJMAA’ ke khilaaf na ho. Yeh “ Bidaate Hasanah ‘ hai jo Ameer ul momineen Umar Bin Al Khattab Radiallahu Anhu se kaha ke “ Yeh Acchi Bidat hai “.

Aur mazeed….Shaikh Al islam Ibn Taymiyah Rahimahullah ne farmaya ke..
“ Qiyam e Ramadan, Rasulallah Sallallahu Alai Wasallam ne is Ummah ko pesh kiya tha, aur wo Is namaz ki kuch raaatontak Imamat karvaye, kyunki Aapke Daur me wo jamaat ke saath ya infiradi taur par pade the. Magar Aap Jamat ke saath Imamat ke saath padvana barqarar nahi rakha, kyunki soncha ke shayad aisa na hojaaye ke wo namaz unpar FARZ hojaye. Jab Nabi Sallallahu Alai Wasallam ki wafaat hogayi thi, Sharee’ah Qayam hochuki thi [ Aur Kabhi nahi badla jasakta ]. Jab Umar Radiallahu anhu Khalifah bane, unhone Ek Imaam, Ubayy ibn Ka’b ke peeche sabko jamah kiya. Aur Umat Bin Al Kattab Radiallahu Anhu ek Khulafa e Rashideen hai, jo nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke “ Meri Sunnah aur mere baad Khulafa e Rashideen ki raaste ko thame rahe “. Jo YAHA UMAR BIN KHATTAB RADIALLAHU ANHU NE SUNNAH KO HI THAME RAKHA, MAGAR KAHA KE “ YEH KYA EK ACCHI BIDAT HAI “, kyunki wo Bidah LUQVI maane se tha, jaisa wo log ne kiya wo Nabi Sallallahu Alai Wasallam ke daur me nahi kiya tha, magar yeh SHARI’EE aitbaar se SUNNAH hai. “

[Majmoo’ al-Fataawa, 22/234, 235]

4)  Ibn Kathir [Rahimahullah] ne Quran ki Surah no 2 Ayat 117 ki tafseer me farmaya ke..

والبدعة على قسمين تارة تكون بدعة شرعية كقوله فإن كل محدثة بدعة وكل بدعة ضلالة وتارة تكون بدعة لغوية كقول أمير المؤمنين عمر بن الخطاب عن جمعه إياهم على صلاة التراويح

واستمرارهم نعمت البدعة هذه

 

“ Aur Bidah ke 2 kisme hai. Kuch waqt me wo ek bidah shar’iyyah [Sharia ke maane ke sath ] hosakta hai, jaise kaha gaya hai ke….

“ Ejaad ki gayi Har nayi cheez Bidah hai aur har bidat GUMRAHI hai..” Aur kabhi kuch waqt me yeh bidah lughawiyyah [ LUGHVI MAANA ] bhi hosakta hai..jaise ke Ameer ul Momineen Hazrath Umar Radiallahu Anhu ne Taraweeh ke liye logonko jama kiya aur aml me rakha aur farmaya ke, “ Yeh Ek Acchi Bidat hai “.

ALLAH’tala sabko SAHIH ILM ki hasil karne ki taufeeq de.

By -Nadeem Shaikh.

Hasanah bidat

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this:
search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close