MURDE NAHI SUNTE ULAMA KI GAWAHI
IS TAHREER KO URDU ME PADHNE KE LIYE YAHA’N CLICK KARE’N
http://forum.mohaddis.com/threads/علماء-کی-گواہی-کہ-مردے-نہیں-سنتے.31613/
SCAN PAGES KE LIYE YAHA’N CLICK KARE’N
https://ahlehadithhaq.wordpress.com/?s=murde+nahi&submit=Search
1-ALLAH SUBHANAHU WATA’AALA QURAAN MAJEED me farmate hain:
إِنَّمَا يَسْتَجِيبُ الَّذِينَ يَسْمَعُونَ وَالْمَوْتَى يَبْعَثُهُمُ اللَّهُ ثُمَّ إِلَيْهِ يُرْجَعُونَ
Ki jawab to wahi dete hain jo SUNTE hain aur MURDO’N ko to ALLAH TA’AALA (QAYAMAT ke ROZ) ZINDAH karega,phir wo usi ki taraf LAUTAAYE jaayenge.[[ SOORAH AL AN’AAM AAYAT 36 ]]
IMAM IBN JAREER AT TABRI RH (MUTAWAFFA 310 H) farmate hain:
والموتى يبعثهم الله”، يقول: والكفارُ يبعثهم الله مع الموتى، فجعلهم تعالى ذكره في عداد الموتى الذين لا يسمعون صوتًا، ولا يعقلون دعاء، ولا يفقهون قولا
Ki والموتى يبعثهم الله “ya’ni aur MURDO’N ko to ALLAH TA’AALA (ROZ E QAYAMAT) ZINDAH karega”.Allah TA’AALAA farmate hain ki KUFFAR ko ALLAH TA’AALA MURDO’N ke sath hi ZINDAH karega,yu’n ALLAH TA’AALA ne unhe’n (ZINDAH hote hue bhi) un MURDO’N me SHAMIL kar diya jo na kisi AAWAZ ko SUN sakte hain,na kisi PUKAAR ko SAMAJH paate hain aur na kisi BAAT ka unhe’n SHU’OOR hota hai.[[TAFSEER AT TABRI JILD 11 SAFA 341 ]]
2-ALLAH TA’AALA QURAN MAJEED me farmate hain:
إِنَّكَ لا تُسْمِعُ الْمَوْتى وَلا تُسْمِعُ الصُّمَّ الدُّعاءَ إِذا وَلَّوْا مُدْبِرِينَ
Ki (aye NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) YAQEENAN AAP na kisi MURDE ko SUNA sakte hain, na BAHRO’N ko apni PUKAAR SUNA sakte hain, jab wo AI’ARAZ (اعراض) karte hue chale jaate hain.[[SOORAH NAMAL AYAT 80]]
RASHEED AHMAD GANGOHI HANAFI farmate hain:
واستدل المنكرون ومنهم عائشة وابن عباس ومنهم الامام،بقوله تعالى: (إِنَّكَ لا تُسْمِعُ الْمَوْتى) فإنه لما شبه الكفار بالأموات في عدم سماع،علم أن الأموات لا يسمعون والا لم يصح التشبيه
Ki jo log (MURDE ke SUNNE) ke INKAARI hain,un me SAIYADAH AAISHA RAZIALLAHU ANHA,IBN ABBAS RAZIALLAHU ANHU aur IMAM (ABU HANIFA) SHAMIL hain.unka ISTEDLAL is FARMAN BAARI TA’AALA se hai “إِنَّكَ لا تُسْمِعُ الْمَوْتى” ya’ni “(aye NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) YAQEENAN AAP MURDO’N ko nahi SUNA sakte”.wo kehte hain ki ALLAH TA’AALA KUFFAR ko na SUN SAKNE me MURDO’N se TASHBIYAH di hai. Isse MALOOM ho jaata hai ki MURDE nahi SUNTE,warna TASHBIYAH hi DRUST nahi rahti.[[ALKAUKAB UD DARARI ALA JAME UT TIRMIZI JILD 2 SAFA 197]]
3-ALLAH TA’AALA QURAN MAJEED me farmate hain:
وَمَا يَسْتَوِي الْأَحْيَاءُ وَلَا الْأَمْوَاتُ ۚ إِنَّ اللَّهَ يُسْمِعُ مَن يَشَاءُ ۖ وَمَا أَنتَ بِمُسْمِعٍ مَّن فِي الْقُبُورِ
Ki aur ZINDAH aur MURDE BARAABAR nahi ho sakte,ALLAH TA’AALA jisko CHAHTA hai SUNA deta hai aur AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM un logo’n ko nahi SUNA sakte jo QABRO’N me hain.[[SURAH FATIR AYAT 22]]
MAS’OOD BIN UMAR TAFTAAZANI MAATREEDI (MUTAWAFFA 793 H) likhte hain:
وأما قوله تعالى: (وَمَا أَنتَ بِمُسْمِعٍ مَّن فِي الْقُبُورِ) فتمثل بحال الكفرة بحال الموتي ،ولا نزاع في أن الميت لا يسمع
Ki apne is FARMAN E GARAAMI وَمَا أَنتَ بِمُسْمِعٍ مَّن فِي الْقُبُورِ (ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM QABR waalo’n ko nahi suna sakte) me ALLAH TA’AALA ne KAAFIRO’N ki HAALAT ko MURDO’N ki HAALAT se TASHBIYAH di hai aur is BAAT me koi IKHTILAF nahi ki MURDE SUN nahi sakte.[[SHARAH UL MAQAASID JILD 5 SAFA 116]]
4-IMAM IBN HAMMAM HANAFI RH 2 AAYAT NAQAL karte hain:
وَمَا أَنتَ بِمُسْمِعٍ مَّن فِي الْقُبُورِ
Ki aur AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM un logo’n ko nahi SUNA sakte jo QABRO’N me hain.[[SURAH FATIR AYAT 22]]
إِنَّكَ لا تُسْمِعُ الْمَوْتى
Ki (aye NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) YAQEENAN AAP na kisi MURDE ko SUNA sakte hain.[[ SOORAH NAMAL AYAT 80 ]]
In dono AAYAT ko NAQAL karne ke baad farmate hain:
فَإِنَّهُمَا يُفِيدَانِ تَحْقِيقَ عَدَمِ سَمَاعِهِمْ، فَإِنَّهُ تَعَالَى شَبَّهَ الْكُفَّارَ بِالْمَوْتَى لِإِفَادَةِ تَعَذُّرِ سَمَاعِهِمْ وَهُوَ فَرْعُ عَدَمِ سَمَاعِ الْمَوْتَى
Ki in dono’n AAYAT se MALOOM hota hai ki MURDE QAT’AN nahi SUN sakte. ALLAH TA’AALA ne KUFFAR ko MURDO’N se TASHBIYAH di hai taaki ye bataya jaa sake ki wo SUN nahi sakte,KUFFAR ka HAQ ko na SUN sakna,ADM E SAMA E MAUTA ki FAR’A hai.[[SHARAH FATAHUL QADEER JILD 2 SAFA 10]]
MAZEED farmate hain:
إذا حلف لا يكلمه اقتصر على الحياة فلو كلمه بعد موته لا يحنث لأن المقصود منه الإفهام والموت ينافيه لأنه لا يسمع فلا يفهم
Ki agar kisi ne yu’n QASAM khayi ki mai FALAA’N se KALAAM nahi karunga to ye ZINDAGI ke sath MAHDOOD hai, pas agar MAUT ke baad KALAAM kiya to QASAM na TOOTEGI isliye ki KALAAM se MAQSOOD samjhana hota hai aur MAUT isse ROK deti hai q ki MAYYAT na SUN sakti hai na SAMAJH sakti hai.[[ SHARAH FATAHUL QADEER JILD 5 SAFA 180 ]]
5-SHAREH BUKHARI ALLAMAH ABU MUHAMMAD ABDUL WAHID IBN TAYYIN RH (MUTAWAFFA 611 H) farmate hain:
إن الموتى لا يسمعون بلا شك
Ki YAQEENAN MURDE nahi SUNTE.[[ FATAHUL BARI JILD 3 SAFA 235 ]]
6-SHAREH BUKHARI IMAM MUHALLAB BIN AHMAD BIN ASEED TAMEEMI RH (MUTAWAFFA 435 H) farmate hain:
: لا يسمعون، كما قال تعالى: (إنك لا تسمع الموتى) [النمل: 80] ،) وما أنت بمسمع من فى القبور
Ki MURDE nahi SUNTE jaisa ki FARMAAN E BAARI TA’AALA hai ki AYE NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM YAQEENA AAP MURDO’N KO NAHI SUNA SAKTE (NAMAL AYAT 80) nez farmaya AYE NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM AAP QABRO’N ME MAUJOOD LOGO’N KO NAHI SUNA SAKTE (FATIR AYAT 22).[[ SHARAH SAHIH BUKHARI LIL IBN BATTAL JILD 3 SAFA 320 ]]
7-IMAM HAFIZ IBN HAJAR ASQALANI RH (MUTAWAFFA 852 H) farmate hain:
وَاسْتدلَّ جمَاعَة مِنْهُم عبد الْحق على حُصُول الِاسْتِمَاع من الْمَيِّت بمشروعية السَّلَام على الْمَوْتَى فَقَالُوا لَو لم يسمعوا السَّلَام لَكَانَ خطابهم بِهِ عَبَثا وَهُوَ بحث ضَعِيف لِأَنَّهُ يحْتَمل خلاف ذَلِك فقد ثَبت فِي التَّشَهُّد مُخَاطبَة النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَهُوَ لَا يسمع جَمِيع ذَلِك قطعا فخطاب الْمَوْتَى بِالسَّلَامِ فِي قَول الَّذِي يدْخل الْمقْبرَة السَّلَام عَلَيْكُم أهل الْقُبُور من الْمُؤمنِينَ لَا يسْتَلْزم أَنهم يسمعُونَ ذَلِك بل هُوَ بِمَعْنى الدُّعَاء فالتقدير اللَّهُمَّ اجْعَل السَّلَام عَلَيْكُم كَمَا تقدر فِي قَوْلنَا الصَّلَاة وَالسَّلَام عَلَيْك يَا رَسُول الله فَإِن الْمَعْنى اللَّهُمَّ اجْعَل الصَّلَاة وَالسَّلَام على رَسُول الله فقد ثَبت فِي الحَدِيث الصَّحِيح فِي أَن العَبْد إِذا قَالَ السَّلَام علينا وعَلى عباد الله الصَّالِحين أصَاب كل عبد صَالح // صَحِيح // فَهُوَ خبر بِمَعْنى الطّلب فالتقدير اللَّهُمَّ سلم عَلَيْهِم وَالله أعلم
Ki ek JAMA’AT jin me ABDUL HAQ (SHIBLI) bhi SHAMIL hain,ne MURDO’N ko SALAAM karne ki MASHROO’IYAT se SAMAA E MAUTAA par ISTEDLAL kiya hai unka kehna hai ki MURDE SALAAM nahi SUNTE to unko MUKHATIB karna FIZOOL hai…lekin ye KAMZOR MAUKIF hai,q ki MURDO’N ko SALAAM kehne me us (KHITAB) ke BAR’AKS aur AHTIMAAL bhi hai,wo ye ki TASHAHUD me NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ko MUKHATIB kar ke SALAAM kehna SAABIT hai lekin AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM TASHAHUD me sab logo’n ki taraf se kahe gaye SALAAM QAT’AN nahi SUNTE isi tarah QABRISTAN me DAKHIL hone waale SHAKS ka MOMIN MURDO’N ko SALAAM kehne ka matlb ye hota hai ki AYE ALLAH ! in par SALAMATI NAAZIL farma,jaisa ki الصلاة والسلام عليك يا رسول الله ka matlb hai ki AYE ALLAH ! tu apne RASOOL par RAHMAT aur SALAMATI NAZIL farma,SAHIH HADEES me SAABIT hai ki jab BANDAH TASHAHUD me kehta hai السلام علينا وعلي عباد الله الصالحين ki hum par bhi SALAMATI ho aur ALLAH ke NEK BANDO’N par bhi,to har ek SHAKS tak ye DUA PAHUNCH jaati hai yu’n ye KHABAR BAMA’NA INSHA hui iska MA’NA ye hua ki AYE ALLAH ! tu TAMAM NEK LOGO’N par SALAMATI NAZIL farma WALLAHU A’ALAM.[[ AL IMTA’A BIL ARBA’EEN SAFA 52 DOOSRA NUSKHA SAFA 86 ]]
8-ALLAH TA’AALA QURAN MAJEED me farmate hain:
اِنَّمَا یَسۡتَجِیۡبُ الَّذِیۡنَ یَسۡمَعُوۡنَ ؕؔ وَ الۡمَوۡتٰی یَبۡعَثُہُمُ اللّٰہُ ثُمَّ اِلَیۡہِ یُرۡجَعُوۡنَ
Ki woh hi log QUBOOL karte hain jo SUNTE hain aur MURDO’N ko ALLAH ZINDAH kar ke UTHAYEGA phir sab ALLAH hi ki taraf laaye jaayenge.[[ SOORAH AN’AAM AAYAT 36 ]]
IS AAYAT ki TAFSEER karte hue IMAM FAKHRUDDEEN AL RAZI RH (MUTAWAFFA 604 H) farmate hain:
فَقَالَ: إِنَّما يَسْتَجِيبُ الَّذِينَ يَسْمَعُونَ يَعْنِي أَنَّ الَّذِينَ تَحْرِصُ عَلَى أَنْ يُصَدِّقُوكَ بِمَنْزِلَةِ الْمَوْتَى الَّذِينَ لَا يَسْمَعُونَ
Ki jinke baare me AAPSE HIRS (حرص) karte hain ki wo AAPKI TASDEEQ karenge wo to MURDO’N ki tarah hain jo nahi SUNTE.[[TAFSEER AL RAZI JILD 12 SAFA 219 ]]
9-ALLAH TA’AALA QURAN MAJEED me farmate hain:
اِنَّمَا یَسۡتَجِیۡبُ الَّذِیۡنَ یَسۡمَعُوۡنَ ؕؔ وَ الۡمَوۡتٰی یَبۡعَثُہُمُ اللّٰہُ ثُمَّ اِلَیۡہِ یُرۡجَعُوۡنَ
Ki woh hi log QUBOOL karte hain jo SUNTE hain aur MURDO’N ko ALLAH ZINDAH kar ke UTHAYEGA phir sab ALLAH hi ki taraf laaye jaayenge.[[ SOORAH AN’AAM AAYAT 36 ]]
Is AAYAT ki TAFSEER karte hue IMAM ABDULLAH BIN UMAR BIN MUHAMMAD ASSHERAZI AL BAIZAAWI RH (MUTAWAFFA 685 H) farmate hain:
وهؤلاء كالموتى الذين لا يسمعون
Ki aur wo MURDO’N ke jaise hain jo nahi SUNTE.[[TAFSEER AL BAIZAAWI JILD 2 SAFA 160]]
10-ALLAH TA’AALA QURAN MAJEED me farmate hain:
اِنَّمَا یَسۡتَجِیۡبُ الَّذِیۡنَ یَسۡمَعُوۡنَ ؕؔ وَ الۡمَوۡتٰی یَبۡعَثُہُمُ اللّٰہُ ثُمَّ اِلَیۡہِ یُرۡجَعُوۡنَ
Ki woh hi log QUBOOL karte hain jo SUNTE hain aur MURDO’N ko ALLAH ZINDAH kar ke UTHAYEGA phir sab ALLAH hi ki taraf laaye jaayenge.[[ SOORAH AN’AAM AAYAT 36 ]]
Is AAYAT ki TAFSEER karte hue IMAM MUHAMMAD BIN IBRAHEEM AL KHAZIN RH (MUTAWAFFA 745 H) farmate hain:
الموتي يعني الكفار الذين لا يسمعون ولا يستجيبون
Ki isiliye KUFFAR ko MURDO’N se TASHBIYAH di hai q ki MURDAH YAQEENAN nahi SUNTA aur na hi JAWAB deta hai.[[TAFSEER ALKHAZIN JILD 2 SAFA 110 ]]
11-ALLAH TA’AALA QURAN MAJEED me farmate hain:
اِنَّمَا یَسۡتَجِیۡبُ الَّذِیۡنَ یَسۡمَعُوۡنَ ؕؔ وَ الۡمَوۡتٰی یَبۡعَثُہُمُ اللّٰہُ ثُمَّ اِلَیۡہِ یُرۡجَعُوۡنَ
Ki woh hi log QUBOOL karte hain jo SUNTE hain aur MURDO’N ko ALLAH ZINDAH kar ke UTHAYEGA phir sab ALLAH hi ki taraf laaye jaayenge.[[ SOORAH AN’AAM AAYAT 36 ]]
Is AAYAT ki TAFSEER karte hue IMAM AHMAD BIN MAHMOOD AN NASAFI RH (MUTAWAFFA 710 H) farmate hain:
{يَبْعَثُهُمُ الله ثُمَّ إِلَيْهِ يُرْجَعُونَ} فحينئذ يسمعون وأما قبل ذلك فلا
Ki MURDO’N ko ALLAH TA’AALA QAYAMAT ke din ZINDAH kar ke UTHAYEGA tb wo SUNENGE usse pehle nahi.[[ TAFSEER AN NASAFI MADARIK UT TANZEEL JILD 1 SAFA 502 ]]
ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN.
By : Amir Adnan
Source : http://romanquranohadees.com/index.php?threads/murde-nahi-sunte-ulama-ki-gawahi.369/