NAMAZ ME SEENE PAR HAATH BAANDNA SUNNAT HAII.
HADEETH :
Qabiysa ibn Hulb the Taab’iee Rah. Se rivayat hai ke “ Unke WALID Hulb Radiallahu Anhu farmate hain ke..
“ Maine Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ko seene par hath rakhe hue dekha.
[ Musnad Ahmad V5 P226, 22313 ]
Hafiz ibne Abdul Bar aur Allama Azeemabadi ne ise Saheeh kaha.
Hadeeth ki Tasdeekh :
Yeh Hadith ki SANAD Imaam ibn Sayyid An-Naas, Sharh Tirmidhee me Haafidh Ibn Hajr ke Fathul-Baari mutabik SAHEEH hai.
➤ Allaamah Nimawee Hanafee ne bhi Aathaarus-Sunan, (1/67) me is SANAD ko SAHEEH kubul kiya hai.
➤ Allaamah Muhaddith Abdur-Rahmaan Mubaarakpooree Rah. Ne Tuhfatul-Ahwadee Tirmidhi ka wazahat me likhte hai ke “ Is Sanad ke saare RAVI Thiqah hai aur yeh Sanad Mukammil hai. “
SANAD :
“Yahya bin Sa’eed al-Qattaan —➤ Sufyaan ath-Thawree, —➤ Simaak bin Harb —➤ Qabeesah bin Hulb, —➤ Walid (Hulb at-Taa’ee) [radiallah anhu] —➤ Nabi E Kareem Sallallahu Alai Wasallam :
➤ Imam Ibn al-Jawzee ne bhi yeh rivayat, yahi alfaaz se Imam Ahmed ki sanad se ki hai.
SANAD :
“Ibn al-Hussain —➤ Ibn al-Mudhhib —➤ Ahmed bin Ja’far —➤ Abdullah bin Ahmed —➤ WALID (Ahmed bin Hanbal) —➤ Yahya bin Sa’eed al-Qattaan —➤ Sufyaan ath-Thawree —➤ Simaak bin Harb —➤ Qabeesah bin Hulb, —➤ WALID(Hulb at-Taa’ee) [radiallah anhu] —➤ Nabi E Kareem Sallallahu Alai Wasallam………………” wahi hadeeth ”
[Al-Tahqeeq by Ibn al-Jawzi: Vol 1 Pg 338]
Imam Tirmidhi Rah. Ne yahi rivayat, yahi Sanad ke saath bayan ki hai, aur ismese kamse kam ek Nuskha jo Imam Ahmed apne Musnad me tazkirah kiya tha wo tazkirah kiya, jaise Muhaddith Abdul Haqq ne kaha ke..
” Imam Tirmidhi Rah. Ne sanad Qabeesah bin Hulb se rivayat bayan ki jo “ Qabeesah bin Hulb è Hulb At-Taa’ee ne farmaya ke ..Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ko seene par hath rakhe hue dekha “
[Sharh Safar as-Sa’adat: Pg 44]
RAVIYONKA TA’RUF :
Is sanad ke Ravi [ Hulb At-Ta’ee ] Sahabi E Nabi Sallallahu Alai Wasallam hai. Aur Ahlu-Sunnah Wal Jama’ah ka ijma hai ke saare SAHABA Adal aur THIQAHAT hai.
1) PAHLA RAVI : QABEESAH BIN HULB:
➤ Imam Ibn Abi Haatim ne farmaya :
“Qabeesah bin Hulb, Hulb Ta’ee [radiallah anhu] ke bête hai. Aur wo Koofa ke rahne wale hai. Unke Walid ka asal naam Yazeed bin Qananah hai. Aur inhone apne Walid se rivayat ki hai jo ek SAHABI hai. Simaak bin Harb ne unse rivayat ki hai. Maine unke baareme tamam baaten mere walid se suni hai.
[Al-Jarah wal Ta’deel: Vol 7 Pg 125]
➤ Motabar Imam, Imam Ijlee Famaya ke :
“ Wo ek Koofi Tabi’ee hai, aur Siqah hai. “
[Taareekh ath-Thiqaat: 1379]
➤ Imam Ibn Hibbaan ne inhe Kitaab ath-Thiqaat [5/319] Me tazkarah kiya hai.
➤ Imam Tirmidhi Rah. Ne Qabeesah ki hadith ko HASAN ka darja diya hai. [H. 252]
➤ Baghwi ne inki Hadeeth ko HASAN karar diya hai.
[Sharh us-Sunna: 3/31 H. 570]
➤ Nawawi Rah. Ne unki ek hadith ko kaha “ Isnaad SAHEEH “ karar diya hai.
[Al-Majmoo Sharh al-Madhab Vol 3 Pg 490]
➤ Ibn Abdul Barr Rah. Ne Unki Ek hadith ko Saheeh kaha hai.
[Al-Isti’yaab fi Ma’rifatil Ashaab]
AHNAAF KA QABEESAH BIN HULB RAD. PAR AITRAAZ :
Hanafi Dawa karte hai ke Imam Nasaa’ee aur Imam Ali ibn al-Madeeni ne Qabeesah ko Majhool karar diya hai.
Al Jawab :
Ye Jarah kai wajah se radd hotha hai.
Pahli baat ki, Yeh Saabit hi nahi hai ke Imam Nasaa’ee aur Imam Ali ibn al-Madeeni ne Qabeesah ko Majhool karar diya ho.
: Haafidh Al-Mizzi ne BINA-Sanad ke kaha hai ke Imam Nasaa’ee aur Imam Ali ibn al-Madeeni ne Qabeesah ko Majhool karar diya hai.
[Tahdheeb al-Kamaal: 15/221]
1. Ye Bina-Sanad ke hai.
2. Aisa kahna Imam Ibn al-Madeeni aur Imam Nasaa’ee ki Kitaab ad-Du’afa me maujood hi nahi hai.
3. Jis Ravi ki Tawtheeq saabit hojaaye tho Jara’h e “ Majhool” ya “La Yu’raf” radd kiya jaata hai.
4. Yeh kahna Jumhoor ke Tawtheeq ke khilaaf hai.
5. Ibn Hibbaan, Tirmidhi, Ijlee, Baghwi, Nawawi, Ibn Abdil Barr, aur Ibn Abi Haatim wagairah ne
Inhe Motabar Ravi kaha hai aur MALUM ravi karar diya hai.
Aur Doosri baat, Agarse Imam Nasaa’ee aur Imam Ibn al-Madeeni ka kahna saabit b hojaaye tho is Hadeeth ka Darja Kam nahi hotha, kyunki jabke doosre Raviyonke Naqideen wahi Rivayat ko Majhool kaha hai jiski Halat unke malum nahi hai, jabke doosre Raviyoke Naqideen ne is Ravi ko SIQAH karar diya hai. Chunache, pichle Muhaddtiheen ke Jarah ko khubul nahi kiya jaayega.
➤ Allamah Abdul Hay Lakhnawi Hanafi likte hai :
“ Suyuti ne Tadreeb ar-Raawi kaha hai ki “ Ek Huffaadh ka giroh un Raviyonko Majhool karar diya hai jo jinki haalatonke baareme unko ILM nahi tha. Jabke doosre HUFFAADH ne Wahi Raviyonko SIQAH karar diya hai.
[Al-Rafa’ wal Takmeel: Pg 37]
Hame jayez nahi ke Majhool ki rivayaten le, kyunki hame Unke HAAL ke bareme pata nahi, agar unki Halate’n, Ulemaye-Hadith ke zariyese saabit hogayi ho tho hame usko khubul karneme kuch bhi rukawaten nahi aasakti.
Chunaache, Imam Ijlee, Imam Ibn Hibbaan aur doosronke SIQAH karar dene par malum hotha haii ke wo RAVI ke halat ke baareme ILM tha.
Mazeed, Ghaali Muqallid Naimwi Hanafi ne “Athaar as-Sunan, Haashim as-Sindhi in Haashiah
Mi’yaar al-Niqaad “ me is rivayat ko Hassan Lidhatih ke zariyese khubul kiya hai.
2) DOOSRA RAVI : SIMAAK BIN HARB [Rahimahullah].
Simaak bin Harb Rah. Ek Tabi’ee hai aur Sihah Sittah ke RAVI bhi hai.
Unke Sahihayn me rivayaten :
➤ Saheeh Bukhaaree = H. 6722
➤Saheeh Muslim = 224, 128/436, 458, 459, 499, 606, 618, 643, 670, 734, 862, 866, 965, 978, 173/1075, 1385, 11/1504, 6/1628, 18/1651, 13/1671, 1680, 1692, 1693, 1748, 6,7/1821, 1846, 1922, 1984, 2053, 2135, 2248, 2277, 44/2305, 2322, 2329, 2339, 2344, 2361, 2745, 42,43/2763, 78/2919, 2923, 2977, 2978.
Fawaad Abdul Baaqi ki ginti ke mutabik, yeh poore 45 hadithe hai, Kuch rivayaten inme ek se badke dubara rivayat ki gayi hai.
Tho hame pata chalta hai ke Simaak ke rivayaten Saheeh Muslim me 45 se badke aaye hai. Inmese kai saare Rivayaten Abu Dawud, Sunan Tirmidhi, Sunan Ibn Maja aur Sunan Nasaa’ee me bhi Rivayat ki gayi hai.
Muhadditheen ki Nazar me :
Jariheen (Criticizers) aur unki Jarah (Criticizm) :
1. Shu’bah = Imam Yahya ibn Ma’een Farmate hai ke :
“Simaak bin Harb Siqah hai aur Shu’bah ne unhe kamzor bataya hai “
[Taareekh Baghdaad: 9/215 T. 4792]
Ibn Ma’een Rah. 157 H me paida hue aur Shu’bah bin al-Hajjaj 160 H. fauth hue hai. Yaani ke rivayat Munqati’ ki wajah se Radd ki jaati hai.
2. Sufyaan ath-Thawree :
Al-Ijlee Farmaya ke : ” Wo hadeeth mo Jaaiz hai ….. Wo Faasih hai siwaye Ikrimah à Ibn Abbaas.. aur Sufyaan Ath-Taree ne unhe Kamzor bataya hai. “
[Taareekh ath-Thiqaat: 621, and Taareekh Baghdaad: 9/216]
Imam Ijlee 182 H. me paidah hue hai aur Imam Sufyaan ath-Thawree 161 H. me fauth hue hai. Tho lihaaza yeh b Munqati’ saabit hothi hai.
Iske khilaaf me, Yeh saabit hogaya ke Shu’bah aur Sufyaan dono Simaak se Hadithe rivayat karte the. Lihaaza, Agar yeh Jarah saabit bhi hotha tho Al-Ijlee ke mutabik yeh Jarah maksoos sanad Simaak à Ikrimah à Abbaas se Tashreeh [ Interprited ] hojayegi.
Ibn Adee ne Ahmed bin al-Hussain as-Soofi se rivayat kiya hai jisne Muhammad bin Khalf bin Abdul Humayd se aur Usne Sufyaan Thawree Rivyaat kiya hai ke “ Simaak Da’eef hai “
[Al-Kaamil: 3/1299]
Muhammad bin Khalf is sanad me Majhool hai, Lihaaza yeh bhi Sabit nahi hotha.
3. Ahmed bin Hanbal :
“ Wo Mudtarib ul-Hadeeth hai “
[Al-Jarah wal Ta’deel: 4/279]
Isme Ek Ravi hai Muhammad bin Hamwiyah bin al-Hassan. Jisi Tawtheeq (reliability/trust worthiness) Na-Malum hai. Magar Kitaab al-Ma’rifat wal Taareekh Ya’qoob al-Faarsi (2/638) me Ek Shaahid hai. Imam Ahmed Rah. Ka “ Kitaab al-Illal wal Ma’rifat ar-Rijaal “ me kahna ke “Simaak yarfa’huma An Ikrimah An Ibn Abbaas “ se hame pata chalta hai ke Imam Ahmed ki jarah Mudtarib ul-Hadeeth, ye ek Khas Sanad “Simaak – AN – Ikrimah – AN – Ibn Abbaas” ko lekar kahagayi hai.
4. Muhammad bin Abdullah bin Ammaar Al-Mosali :
” Unlogone kaha “ ke, Wo galtiya karte hai aur Unke Rivayat me Ikhtelaaf kiye hai “
[Taareekh Baghdaad: 9/216]
“ Iske Matan me, “ UNLOGNE KAHA “ yeh alfaaz na-malum hai.
5. Saalih bin Muhammad Al-Baghdaadi :
“ Kamzor kaha hai “
[Taareekh Baghdaad: 9/216]
Isme Ravi, Muhammad bin Ali Al-Maqri hai jo ke Kaun hai Wajeh nahi hai.
Khateeb Baghdaadi ke Shuyookh, Qaadhi Abul ‘Alaa al-Waasiti, Abu Muslim Abdur Rehmaan bin Muhammad bin Abdullah bin Mihraan bin Salamah Al-Thiqah Al-Saalih ke shagirdome Shamil hai.
[[Taareekh Baghdaad: 10/299].
Yeh Abul ‘Alaa, Muhammad bin Ali Al-Qaari hai.
[Taareekh Baghdaad: 3/95]
Al-Maqri aur Al-Qaari yeh do laqab ekhi shaks ko hai. Abul ‘Alaa al-Maqri ke Halate’n [ Conditions ] “ Ma’rifat ul-Qurra Al-Kibaarby Dhahabi [1/391 T. 328] “ wagairah me pesh kiye gaye hai, aur yeh Shaks Majrooh (criticized) hai. [ See: Mizaan ul-I’tidaal [3/254 T. 7971] and others. ]
Lihaaza, yeh kahna saabit hotha hai.
6. Abdur Rahmaan bin Yusuf bin Kharaash :
“ Inke Hadith me Kamzor kaha hai “
[Taareekh Baghdaad: 9/616]
Ibn Kharaash ke shagird ka haal, Muhammad bin Muhammad bin Dawood al-Karji Na-malum hai. Aur Ibn Kharaash Jumhoor ke mutaabik khud Da’eef hai.
[ See: Mizaan ul-I’tidaal [2/600 T. 5009]
7. Ibn Hibbaan Rah. Ne inhe Kitaab ath-Thiqaat (4/339) me zikr kiya hai aur farmaya ke:
“ Yeh bahut saare Galtiya karte hai….Thawree aur Shu’bah unse Rivayaten kiye hai. “
Yeh Kahna bhi Mardood hai, iske 3 wajahat hai.
A) Agar yeh “Yakhtai Katheeran [ Katheer galtiya ] karne wale hai tho fir wo SIQAH nahi hosakte, Waise bhi fir unhone Usko Kitaab Ath-Thiqaat me zikr kyun kiya ?? Agar yeh SIQAH hai tho fir
“Yakhtai Katheeran” nahi hosakte.
B) Haaifdh Ibn Hibban ne khud unhe Saheeh me Simaak se kai hadeethe rivayat kiye hai.
[ see: Al-Ihsaan bi Tarteeb Saheeh Ibn Hibbaan [1/143 H. 66, Pg 144 H. 68, 69 wagairah ], aur Athaaf al-Maharah [3/63, 64, 65 wagairah ].
Chunache, Ibn Hibban ke mutaabik yeh Jarah hadeeth ke talluq se nahi hai, Yahi wajah hai ke inhone yeh Hadeeth SAHIH kaha hai.
C) Haafidh Ibn Hibbaan Rah. Ne unki Kitaab “Mashaaheer Ulama al-Amsaar” me zikr kiya hai aur unpar koi b Jarah nahi kiya hai.
(Pg 110 T. 840).
Yaani ke, Ibn Hibban ke Mutaabik Baatil aur mardood hai.
8. Al-Ukaylee ne unhe Kitaab ad-Du’afaa al-Kabeer [2/178, 179] me zikr kiya hai.
9. Jareer bin Abdul Humayd Rah. Ne Simaak bin Harb ko Khade hokar paishaab (due to some excuse) karte hue dekha hai, Tho wo unse hadeeth lena chordiya hai.
[Ad-Du’afa by Al-Ukaylee: 2/179, and Al-Kaamil by Ibn Adee: 3/1299]
Yeh Jarah nahi hai, kyunki yeh Muwatta Imam Maalik se Saheeh Isnaad se saabit hai ke Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Khade hokar Paishaab ( due to some excuse) karte the.
[1/65 H. 140 with the Tahqeeq of Shaikh Zubayr].
Alfaaz ( due to some excuse = kisi wajah se ) bracket me likar kahagaya hai wo bhi doosre Dalail ke roshnise kaha gaya hai.
Tho ab isse kya saabit hotha hai ?
10. AN-Nasaa’ee : “ Wo Mazboot nahi hai “
[Al-Sunan al-Mujtabah with the Tahqeeq of Shaikh Zubayr: 8/319 H. 5680]
Imam Nasaa’ee ka Tahdheeb at-Tahdheeb me farmarahe hai ke :
“ Agar wo Akele rivayat karrahe hai tho wo HUJJAH nahi hai. “
[Tuhfat ul-Ashraaf by Al-Mizzi: 5/137, 138 H. 6104]
11. Ibn al-Mubaarak :
“ Simaak hadeeth me Da’eef hai “
[Tahdheeb al-Kamaal: 8/131, Tahdheeb at-Tahdheeb: 4/204]
Yeh Rivayat Bina-Sanad ke rivayat ki gayi hai. Kaamil Ibn Adee (3/1299) me yahi jarah Ibn al-Mubarak à Sufyaan ath-Thawree se ki gayi hai.
Magar yeh Da’eef sanad hai, jaisa NO.2 me bataya gaya hai.
12. Al-Bazzaar :
“ Yeh ek mashoor shaks hai. Mai nahi jaanta ke kaun unhe tark kiya hai. Unka hafeza unke fauth se pahle Kharab hogaya tha.
[Tahdheeb at-Tadheeb: 4/205]
Yeh Rivayat Be-Sanad hai, aur doosri baat, Yeh Ikhtilaat se judi hui hai, jawab aagey aayega.
13. Ya’qob bin Shaybah :
“ Inki Rivayat Ikrimah se khaastaur par Mudtarib hai, aur jab yeh Ikrimah se hatke doosronse rivayat karte hai tho Saalih hai. Wo jo Simaak se unke zaif ke waqt me rivayaten kiye hai, jaise Shu’bah aur Sufyaan, tho unse unki hadeethe Saheeh aur Mustaqeem hai.
Ibn Al-Mubarak farmaya ke, “ Ham sirf wo Rivayaten Radd karte hai jo Unke shaagird unke zaifi ke waqt me bayan kiya tha “
[Tahdheeb al-Kamaal: 8/131]
Yeh rivayat “Simaak AN Ikrimah (AN Ibn Abbaas)” ki sanad se hai aur Ikhtilaat hai. Aur Ibn Al Mubarak ki rivayat Sanad ke saath maujood nahi hai, aur baaqi tawtheeq samne batayi jaayegi.
[The sayings of Ta’deel: 27]
MU’ADDALEEN (ADMIRERS) AUR UNKI TA’DEEL (PRAISE):
1. Imam Muslim :
“ Imam Muslim Rah. Ne apne SAHIH me inse Rivaten li hai.
[ See Mizaan ul-I’tidaal (2/233) ]
2. Imam Bukhaari :
“ Imam Bukhari Rah. Ne bhi Inse Apne Saheeh me rivayaten li hai. (H. 6722).
Haafidh Dhahabi ne likha hai ke : “ Aur Imam Al Bukhari Rah. Ne Istshhaad me inse Rivayaten li hai.”
[Siyar A’laam al-Nabula: 5/248]
Imam Mizzi ne farmaya : Imam Bukhari Rah. Ne Istish-haad ke maanind se unse rivayaten bayan ki hai.
[Tahdheeb al-Kamaal: 18/527]
Haafidh Muhammad Taahir al-Maqdasi ne ek Ravi ke bareme likte hai ke:
“ Darasal me, Imam Bukhari ne unse rivayaten liye hai tho Istishhaad ishara karta hai ke wo SIQAH hai. “
3. Shu’bah = “ Imam Shu’bah ne inse Rivayaten li hai. “
[Saheeh Muslim H. 224 etc]
Shu’bah ka Usool/shirt hai ke wo unhise rivayaten lete hai jo Siqah hai.
[ See: Tahdheeb at-Tahdheeb: Vol 1 Pg 4,5, and Quwaaid fi Uloom ul-Hadeeth by Ashraf Ali Thanvi Pg 217. ]
4. Sufyaan ath-Thawree :
“ Koi bhi Hadith Simaak se Saaqit (unacceptable) nahi hai “
[Taareekh Baghdaad: 9/215, Chain Saheeh]
Ibn Hajar ki Jarah [Tahdheeb at-Tahdheeb: 4/205] ajeeb hai. Aur yeh dimaq me rakhlena chahiye ke Simaak par Sufyaan ath-Thawree jarah saabit nahi hai.
5. Yahya ibn Ma’een :
“Siqah (Reliable)”
[Al-Jarah wal Ta’deel: 4/279, and Taareekh Baghdaad: 9/215, Chain Saheeh]
6. Abu Haatim ar-Raazi :
“Sudooq Siqah (Truthful, Reliable)”
[Al-Jarah wal Ta’deel: 4/280]
7. Ahmed bin Hanbal :
“Simaak, Abdul Malik bin Umayr se hadith me sacche hai “
[Al-Jarah wal Ta’deel: 4/279, 280]
8. Abu Ishaaq as-Sabi’ee :
“ “Abu Bakr bin Ayyaash rivayat kiya hai, aur wo Da’eef hai, Abu IShaaq se ke “ Simaak bin Harb se ILM lesakte hai “
[Al-Jarah wal Ta’deel: 4/275]
Yeh Kahna Abu Bakr bin Ayyaash se saabit nahi hai.
9. Al-Ijlee :
“Jaaiz ul-Hadeeth”
[Deikhiye : Jarah (critcism) # 2 ]
Aur yeh Taareekh ath-Thiqaat me inka zikr kiya hai.
10. Ibn Adee :
” Yeh Sadooq hai aur inme kuch galtiya nahi hai. “
[Al-Kaamil: 3/1300]
11. Tirmidhi :
“ Imam Tirmidhi Rah. Ne inke kai saare RIvayaten “ Hassan Saheeh “ Karar diya hai. See: H. 65, 202, 227 aur wagairah.. Darasal me Imam Tirmidhi Rah. Ne apni Sunan ke Pahle Hadith hi SImaak ke hadith se shuruwat kiya hai. [ H. 1 ].
12. Ibn Shaaheen :
“Kitaab ath-Thiqaat (505) me inka Zikr kiya hai “
13. Al-Haakim :
“Al-Mustadrak [1/297 aur doosrome ] inko tasdeeq [ authenticated ] karar diya hai.
14. Adh-Dhahabi :
“Talkhees ul-Mustadrak.” [1/297] me tasdeeq [ authenticated ] karar diya hai. Aur Imam Dhahabi ne kaha ke..
“ yeh Sudooq Jaleel hai “
[Al-Mughni fi Du’afa: 2649]
Aur Farmaya “”Al-Haafiz Al-Imam Al-Kabeer”
[Siyar A’laam al-Nabula: 5/245]
15. Ibn Hibbaan :
“ Unke Saheeh me Simaak se rivayaten li hai “
[See: The sayings of Jarah: 7]
16. Ibn Khuzaymah :
“ Unke SAHEEH me Simaak ko tasdeeq [ authenticated ] karar diya hai. “
[1/8 H. 8 and others]
17. Al-Baghwi :
“ Inki Hadeeth ko HASAN karar diya hai.
[Sharh us-Sunnah: 3/31 H. 570]
18. Nawawi :
“ Imam Nawami ne Simaak ki hadith ko Al-Majmoo Sharh ul-Madhab (3/490) me Hasan karar diya hai “
19. Ibn Abdul Barr :
“ inko Al-Ist’yaab (3/615) me ko tasdeeq [ authenticated ] kiya hai.
20. Ibn al-Jarood :
“hadeeth in Al-Muntaqa (H. 25) me inka zikr kiya hai “
Ashraf Ali Thaanvi deobandi Ek hadith par farmate hai ke :
“ Ibn Al-Jarood ne yeh hadith Al-Muntaqa me rivayat ki hai, aur yeh Unke Mutaabik SAHEEH hai.
[Bawadir al-Nawadir Pg 135]
21. Al-Ziyaa al-Maqdasi :
“Al-Mukhtara [12/11]me inse daleel li hai “
22. Al-Mundhiri :
“ Simaak ki hadith ko HASAN karar diya hai “
[ See Al-Targheeb wa Tarheeb: 1/108 H. 150 ]
23. Ibn Hajar al-Asqalaani :
“ Wo sacche hai, unki rivayaten Ikrimah se khas kar Mudtarib hai, aur unka haafeza akir me kharab hogaya tha.
[Taqreeb at-Tahdheeb: Pg 137]
Ibn Hajar ne Fath ul-Baari (2/224 Under H. 740) me unki hadith par Khamoshi iqtiyar ki hai.
Zafar Ahmed Thanvi deobandi Farmate hai ki :
“ aise rivayatonpar Khamosh rahna ibn hajar ke aagey SAHEEH ya Hasan hothi hai. “
[ malum hotha hai ke Ibn Hajar ke aagey Yeh hadith Saheeh ul-
Hadeeth ya Hasan ul-Hadeeth hai. ]
[See Qawaaid fi Uloom ul-Hadeeth Pg 89]
24. Abu Awaanah :
“ Saheeh Muslim (1/234) ke taur par, Unke Saheeh al-Mustakhraj me inse Daleele li hai “
25. Abu Nu’aym al-Asbahani :
“ Inse Saheeh Al-Mustakhraj Ala Saheeh Muslim [1/289, 290 H. 535] me daleele li hai “
26. Ibn Sayyid an-Naas :
“Sharh Tirmidhi me inke hadeethonko tasdeeq [ authenticated ] kiya hai.
27. Ya’qoob bin Shaybah :
“Sufyaan ath-Thawree se Simaak ki hadeethonko SAHEEH karar diya hai. Jaise ke upar bataya gaya hai.
In saare Tafseelonse pata chalta hai ke Jumhoor ke aagey Simaak bin Harb Siqah, Sudooq, Saheeh ul-Hadeeth karar diye gaye hai.
Tho Kuch Muhaddithonki Jarah jo thode paimaanepar hai wo Radd hotha hai. Kuch Muhaddithonke in jarah ko Ikhtilaat ke taur par liya hai yaani Unki Rivayaten Ikhtilaat se pahle koi Jarah nahi.
IKHTILAAT :
Kuch Muhaddithone kaha hai ke “ Simaak bin harb ka haafez unke akri Umar ki wajah se kharab hua tha. “
[ See: Al-Kawakib al-Niraat by Ibn al-Kiyaal Pg 159. ]
Ibn as-Salaah ne Uloom ul-Hadeeth ma’a Taqiyeed wal aizaah Pg 466 me farmate hai ke..
“Mukhtalateen (Pl. Mukhtalat) ki rivayaten Sahihayn me Hujjat ke taur par rivayat ki gayi hai yaani ke UNKE Ikhtilaat se pahle rivayat ki gayi hai. Aur yeh doosre qaraain Saheeh Taur par saaabit hai.
Saheeh Muslim me, Simaak bin Harb ke Shagird neeche bataye gaye hai.
1. Abu Awaanah (224)
2. Shu’bah (224)
3. Zaaidah (224)
4. Israa’eel (224)
5. Abu Khaythamah Zuhayr bin Mu’awiyah (436)
6. Abul Ahwas (436)
7. Umar bin Ubayd al-Tanafsi (499/242)
8. Sufyaan ath-Thawree (270/287, Tuhfat ul-Ashraaf by Al-Mizzi: 2/154 H. 2164)
9. Zikriyah bin Abi Zaidah (270/287)
10. Hassan bin Saalih (734)
11. Maalik bin Maghool (965)
12. Abu Yunus Haatim bin Abi Sagheerah (1680)
13. Hammaad bin Salamah (7/1821)
14. Idrees bin Yazeed al-Awdi (2135)
15. Ibraaheem bin Tahmaan (2277)
16. Ziyaad bin Khaythama (44/2305)
17. Asbaat bin Nasar (2329)
Isse hame pata chalta hai ke Upar ke Rivayaten jo Simaak bin Hurb ke Shagirdonse hai wo unki Ikhtilaat se pahle wale rivayaten hai.
Lihaaza Simaak Bin Hurb par Jarah Radd hotha hai.
[Taken From: Nasar ul-Rab Fee Tawtheeq Simaak bin Harb]
3) TEESRA RAVI: SUFYAN ATH-THAWREE
➤ Imam Awzaa’ee ne farmaya ke :
Ajke daur ke ILM walome Ilm ka AALIM hai jispar aaplog bharosa karsakte ho, siwaye ek Koofi ALIM ke..
Abbas ne ne farmaya : Sufyaan ath-Thawree.
[Al-Jarah wal Ta’deel: Vol 4 Pg 222]
➤ Imam Sufyaan ibn Uyainah [Rahimahullah] ne farmaya :
Sufyaan ath-Thawree se badke maine koi aisa shaks nahi dekha jo HALAL aur HARAM me kaafi acchi tarah ILM rakhta ho.
Ibn al-Muarak [Rahimahullah] ne farmaya :
Maine Sufyaan ath-Thawree jaisa Ala hasti nahi dekhi.
Imam Yahya bin Sa’eed al-Qattaan [Rahimahullah] ne farmaya “ Maine Sufiyan ath-Thawree jaisa hafiz nahi dekha “
[Al-Jarah wal Ta’deel: Vol 4 # Pg 223]
➤ Yahya ibn Ma’een [Rahimahullah] ne farmaya :
“ Sufyaan Hadeeth me bharosa karne wale mominonke Alim hai “
[Al-Jarah wal Ta’deel: Vol 4 Pg 225]
➤ Imam Dhahabi [Rahimahullah] farmaya :
“ Hadeeth me Alimone Sufyaan ko THIQAH aur hujjah hone par ettifaak kiya hai, wo chahe Du’afa se tadlees karte ho tho bhi.
[Mizaan al- I’tidaal: Vol 3 Pg 244]
Ahnaaf ka Sufyaan ath-Thawree [Rahimahullah] par ikhtelaaf.
Ahnaaf kahte hai ke Sufyaan ath-Thawree rah. Ne ‘ An ‘ se rivayat karrahe hai aur Sufiyaan Dua’afa se tadlees karneme mashoor hai. Tho is buniyad par yeh rivayat khubul nahi ki jaayegi.
Al Jawab :
Yeh Sufyaan ath-Thawree ki riavyat Sahih Ibn Khuzaimah me ‘AN’ se rivayat ki gayi hai, magar yeh rivayat iski wajah se Da’eef nahi hogi.
Kyunki Sahih Ibn Khuzaymah ki rivayat ki Samah’ tashree saabit hai.
➤ Imam Nawawi :
” Mudallis ki Mu’an’an rivayaten jo Sahih Bukhari, aur Muslim aur wagairah ki Kitaabnse hai, tho inki Samah’ ki tashree saabit hai.
[Taqreeb an-Nawawi with the Sharh of Tadreeb ar-Raawi]
Jabse Mudallis ki rivayatonki Inqita’ me shak ho tho isilye Mu’a’an ki rivayat khubul nahi ki gayi hai jabtak yeh saabit na hojaye ke wo seedhe kahase suna hai.
Imam Bukhaari, Imam Muslim, Imam Ibn Khuzaymah, aur Imam Ibn Hibban wagairah me aise Mudallis raviyonki Munqati rivayatonko nahi ligaya hai, yahi wajah hai ke wo jab daleele apne kitaabome liye hai tho beshq Mudallis ki Samah’ saabit hone par hi rivayaten liye hai.
Imam Ibn Khuzaymah Rahi. Ne kai saare Mu’a’an ki Mudalliseen rivayaten apne Al-Musnad as-Saheeh (Saheeh Ibn Khuzaymah) me liye hai. Aur wo khule taur par wo Mudalliseen ki hadeethonko Radd kiya hai jinki Samah’ ki tashree saabit nahi hai.
Maslan :
➤ Ibn Khuzayma Rah. Farmate hai ke :
“ main Yeh rivayat Saheeh hadith se alag [ Exemption ] karta hu kyunki maine nahi samajta ke Muhammad bin Ishaaq ne yeh hadeeth seedha Muhammad bin Muslim ne suna hoga, aur isne isme Tadlees kiya hai. “
[Saheeh Ibn Khuzaymah : Vol # 1 Pg # 71]
➤ “Abu Ishaaq “ ne yeh rivayat “ An “ se ki hai isliye is rivayat me mushkil hai, kyunki maine nahi samajta ke iski Samaah saabit hai.
[Saheeh Ibn Khuzaymah: Vol 1 Pg 212]
” maine nahi samajta ke Abu Ishaaq ne yeh hadeeth Burayd se suna hoga, ya Tadlees kiya hoga. “
[Vol 2 Pg 152]
AB AAIYE HADEETH KE MAAHIR MUHADDITHONKA MUDALLIS KI MU’A’AN KI RIVAYATONPAR KYA HUKM HAI.
➤ Imam Abu Abdullah Muhammad bin Idrees ashShafi’ee [rahimahullah] (d. 204 H) :
“ Iske sabad, Ham Mudallis ki rivayatonko kabhi Khubul nahi karenge Jabtak wo yeh na kahe ke “‘Haddathani’ or ‘Sami’tu’ [ Jabtak wo yeh na ikraar kare wo Yeh Hadith maine Mere Shaikh [ Teacher, Ustaad ] Suni ho..
[KITAAB ARRISALAH: PG 53, BI TAHQEEQ AHMED SHAAKIR: 1035]
NOTE : Kitaab ArRisalah ek qadeem [ Ancient ] aur Usool Fiqh, and Usool Hadeeth, aur Usool Deen jaise kitaabomese hai, Kai saare Muhaddithone isme SHURUH likhe hai.
➤ Imam Ahmed bin Hanbal [rahimahullah] (d. 241 H) :
“ Yeh Kitaab arRisalah par aitmaad karte the. ”
[ KITAAB ALJARAH WAT TA’DEEL [204/7, CHAIN SAHEEH]
➤ Imam Muslim [rahimahullah] (d. 261 H) :
“ Jis kisi ko bhi hadith ke Ravi me Samaa’ milta hai tho use Tadlees karne wala Ravi miljaayega, aur jab wo Ravi mash’hoor hojaayega tho fir ham uski Rivayat me Samaa dekte hai aur fir Tahqeeq karte hai, Fir Tab ham Ravi ki Tadlees ki kamzori ko murtafa [ elevated ] karte hai.
[MUQADDIMAH SAHEEH MUSLIM: PG 22]
➤ Khateeb Baghdaadi [rahimahullah] (d. 463 H) :
“ Aur Doosrone kaha hai ke : Mudallis ki Rivayatonko kabhi nahi khubul kiya jaayega ya liya jaayega jabtak wo poori tarah Iqraar karte hue bina Mash’kook [ Doubtful ] ke rivayat bayan na karden, Tab uski Rivaten qaabile qubul maani jaayegi aur aise Rivayten hamare aitbaar se MOTABAR hothi hai.
[ALKIFAYAH FI ILM ARRIWAYAH PG 361]
AlKifayah Usool ul hadith ki mash’hoor aur Motabar kitaab hai. Aur waise bhi Yeh qaul kisi b puqta daleelonke khilaaf nahi milega.
➤ Haafidh Ibn Hibban alBasti [rahimahullah] (d. 354 H) :
“ Issababse jabtak ek Mudallis, halanki Siqah hai aur wo Haddathani, or Sami’tu na kahde tho iski koi bhi rivayath Daleel ke taur par nahi li jasakti aur yahi Abu Abdullah Muhammad bin Idrees ashShafi’ee [rahimahullah]Buniyadi Usool hai aur yahi Buniyaadi USOOL hamare Shikhs [ Teachers ] bhi hai aur unke bhi jo is mudde par pairavi karta ho.
[KITAAB ALMAJROHEEN: VOL 1 PG 92]
Aur doosri baaat, Agar Mudallis Ravi ki SAHIH Shaahid ya Mutaabiat miljaayetho fir Tadlees ka ilzaam unparse nikaldiya jaata hai. Ek MOTABAR SHAAHID upar ke rivayat ki Musnad Ahmed (5/226 H. 22313), Al-Tahqeeq fi Ikhtilaaf ul-Hadeeth by Ibn al-Jawzi (1/28 H. 477) me maujood hai tho sabit hua ke
Tadlees is rivayat me kuch galat nahi hai.
Tho aap log SCAN page me HADITH deksakte hai ke SUFIYAN ATH-THAWRI RAHIMAHULLAH THO MUDALLIS HAI MAGAR UNKI SAMA’ KI TASHRI IS HADITH ME SAABIT HAI.
WALHAMDULILLAH.
4) CHAUTHA RAVI : YAHYA BIN SA’EED AL-QATTAAN.
Yeh Jarah wal Ta’deel ke Imaam hai, aur ILM me ek Azeem shaksi hai, Fiqh aur hadeeth wagairh me…ILM ke log upar munhasir [ Depend ] hothe hai. Imam Bukhaari, Imam Muslim, Abu Dawood, Tirmidhi, Nasaa’ee, Ibn Majah ne unse Rivayaten nakal ki hai.
➤ Abdullah bin Ahmed ne farmaya ke Ahmed Bin Hanbal Rah. Ne kaha ke..
“ Maine Yahya (bin Sa’eed) jaisa kisiko nahi dekha “
[Al-Illal: 846]
➤ Ibn Sa’d ne farmaya ke :
“ Siqah Ma’moon “
[Al-Tabaqaat al-Kubra]
➤ Haafidh Dhahabi farmaya :
“ Yeh Al-Imam al-Kabeer, aur hadeeth ke silsilome Ameer ul-Mu’mineen hai “
[Siyar A’laam al-Nabula: 53]
➤ Haafidh Ibn Hajar ne kaha ke :
“Siqah Muttaqan, Haafidh Imam.”
[Tahdheeb]
Ahnaaf [Jaahil FIRQA] ka is hadeeth par Aitraaz :
Kuch Biadaati hanafi kahte hai ke, Alfaaz “Ala Sadrih” sirf Sufiyaan Thawree se Simaak se rivayat ki hai aur Abul Ahwas, Shareek al-Qaadhi wagairah ne yeh Ijaaze wale alfaaz rivayat nahi kiya hai.
Al – Jawabaat :
“Sufyaan ath-Thawree Siqah haafidh hai aur unki Samah’ is hadith me saabit hai. Lihaaza, agar doosre Raviyone izaafe wale alfaaz “ Ala Sidrih “ nahi kaha hai tho wo Jarah nahi hogi, kyunki Upar nahi [aforementioning] batana yeh koi Daleel nahi hai.
Aur ek doosre Shart par, Siqah Ravi ki Jyaadah hamesha kaabile kubul hogi, jatab Muhadditheen se saabit na hojaaye Khas Ravi ki galti ki wajah se hui hai.
Imam Khateeb Baghdaadi ne Ispar Ijmaa rivayat kiya hai.
[Al-Kifayah Pg 425]
➤ Sufyaan ath-Thawree ki ek hadith par Abul Ahwas, Zaaidah, Isra’eel, aur Shareek ne Ikhtelaaf kiya tha, Fir Imam Yahya ibn Sa’eed al-Qattaan ne farmaya..
“ Fir bhi agar un jaise 4000 log honge tho bhi Sufiyaan Rah. Unse jyada Motabar SIQAH honge.
[Al-Nakat Ala Ibn as-Salaah: 2/779, 280]
Waise bhi Abdur Rahmaan bin Mahdi ne ise radd kiya hai, magar yeh SAHEEH kahna hai agar koi isko saheeh taur par khilaaf jaane ki daleel na ho.
➤ Naimwi Hanafi ne bhi Siqah ravi ki Jyada ko khubul kiya hai.
[ see Athaar as-Sunan Pg 17, H. 36. ]
* Kuch log Musnad Ahmed ki “yada’u hazihi ala hazihi sadrihi (seene par haath bandna) ke Ta’weelaat ke alfaaz par poori Dukaan kholte hai, Jabke, , Imam Ibn Al-Jawzi ne bhi alfaaz “yada’u hazihi ala hazihi sadrihi” ko yahi Sanad ke saaath Musnad Ahmed me rivayat kiya hai.
[Al-Tahqeeq: 1/338 H. 434]
➤ Ibn Abdul Haadi ne bhi “Al-Tanqeeh”. [1/284] me izaafe wale alfaaz “yada’u hazihi ala hazihi sadrihi” ko likha hai.
AHNAAF KA AITRAAZ :
Kahte hai ke isme Alfaaz “ ALA SIDRIH “ ka izaafa kiya gaya hai.
Al Jawab :
Yeh Usool hadith ka mashoor Usool hai ke Jab Ek Siqah Ravi hadeeth me kuch izaafi alfaaz bayan karta hai aur unke khilaaf koi bhi Ravi rivayat na kare tho Siqah ravi ki rivayat Khubul ki jaayegi.
Aaiye ab dekte hai Muhadditheen ke Is USOOL par AQWAAL :
1) IMAAM BUKHAARI (RAHIMAHULLAH) APNE SAHEEH ME EK JAGAH FARMATE HAI KE..
“Waz-Ziyaadatu Maqboolatun
Aur Ziyaadah Kaabile Khubul hai “
[VOL 2 PG 156 H. 1483]
2) ABU SA’EED MUHAMMAD BIN HAAROON BIN MANSOOR AL-MISKI AL-NISAABURI (RAHIMAHULLAH) FARMATE HAI KE :
“ Imaam Bukhaari (rahimahullah) ne ek hadith poochagaya…
“Israa’eel – from– Abu Ishaaq – from — Abu Burdah – from – His Father – from – Sallallahu Alai Wasallam :
WALI ke bagair NIKAH nahi hoga..
Tho Imaam Bukhaari (rahimahullah) Jawab diya ke..:
“ Thiqah ravi se Ziyaadah maqbool hai aur Israa’eel bin Yoonus thiqah ravi hai, aur waise bhi Shu’bah aur Sufyan Athawaree ne Mursal rivayat kiya hai magar yeh kisi bhi tarah ka Nuqsan nahi pahunchati hai..
[AL-SUNAN AL-KUBRA LIL BAYHAQI: 7/108]
3) IMAAM MUSLIM BIN AL-HAJJAAJ AL-NISAABURI (RAHIMAHULLAH) FARMATE HAI KE :
“ Aur Ziyaadah rivayaten laazim nahi hai siwaye Huffaadh ke jinka hafezase wo log zubani kahte hai ke Koi WAHEM [ shak ] nahi hai.
[AL-AWWAL MIN KITAAB AL-TAMIYEEZ: PG 50 # 59]
4) IMAAM TIRMIDHI(RAHIMAHULLAH) FARMATE HAI KE :
“ Agar a Haafidh, jiska Haafedha baa-etemad [ trusted ] ho aur wo Ziyaadah rivayat karraha hai tho uski rivayat kaabile khubul hogi.
[KITAAB AL-ILLAL AL-SAGHEER: PG 899, PUB. DARUSSALAAM]
5) HAAFIDH IBN HAZAM (RAHIMAHULLAH) MAZEED FARMATE HAI KE :
“ Aur us shart me koi farq nahi hai jaha Aadil Ravi ek hadeeth rivayat karta hai jo koi bhi rivayat nahi karte siwaye uske akeleke, ya doosra Ravi Mursal ke taur par rivayat karta hai ya fir Da’eef hadith rivayat karta hai aur Jo ek Aadil Ravi apne rivayat kuch alfaz izaafa karte hue rivayat karta hai jo koi b ravi nahi karta aur wo sab barabar hothe hai aur aise Rivayatonko lena waajib hoga. “
[AL-AHKAAM: 2/217]
Saabit hotha hai ke Mu’awwaleen ke Be-buniyaad ta’weelaat, Galat hai aur wo bebuniyaad hai aur alfaaz “ Ala Sidrih “ Saheeh taur par Saabit hai.
* Jab yeh saabit hogaya ke Siqah ya Sadooq ravi ki Zyaadah, Saheeh, Hasan kaabile kubul hojayegi tho Wakee aur Abdur Rahmaan bin Mahdi alfaaz “Ala Sadrih” ka zikr naabhi kiya tho isse is hadith ko kuch nuksaan nahi hoga.
Yahya ibn Sa’eed yeh Azeem Siqah Haafidh hai, unka Zyaada wale alfaaz kaafi hai ke is hadith par amal karne k liye.
* Yeh dimaq me rakhlena chahiye ke Sufyaan ath-Thawree se Naaf ke neeche baandna saabit NAHI hai.
* Agar Ravi Siqah aur Sudooq hai tho uski Tafarrud (lone narration) kuch nuksaan nahi hogi.
Dua : ALLAH Haq baat ko janne ki aur uspar aml karne taufeeq de. Ameen.
—————————-
Via : Nadeem Shaikh.
Assalamualaikum is hadith me Namaz ka kaha zikr he .
LikeLike