Imam Maalik Ka Qaul ka Aitraz ka Jawab ( Allah Kahan hy )


malik

EK AITRAZ AUR USKE JAWABAT (ALLAH kahan Hai ?)

=====================


ABDULLAH BIN NAAFE RH RIWAYAT karte hain ki

و قال مالك الله في السماء و علمه في كل مكان لا يخلو منه شئ

IMAM MAALIK RH ne kaha ki ALLAH apne AASMANON par hai aur uska ILM HAR JAGA ka HIHATA kiye hue hai aur uske ILM se koi JAGA KHAALI nahi

[[ AL SUNNAH LIL IMAM AHMAD SAFA 5 ]]
[[ KITAB US SHARI’AH LIL IMAM AJURI SAFA 289 ]]
[[ MASAIL IMAM AHMAD LIL ABU DAWOOD SAFA 263]]

Is RIWAYAT par jitne bhi AITRAZ kiye jaate hain INSHA ALLAH un sab ka MUDALLAL JAWAB diya jayega


Aur is RIWAYAT ke RAWI par jo JIRAH hai uska bhi jawab diya jayega INSHA ALLAH

Sab se pehle ye baat ZAHEN NASHEEN kar len ki IMAM MALIK RH ke is QAUL ko ZA’EEF mana bhi jaye to bhi NAMUKAMMAL MALOOMAT bata bata kar ek tarfa QISM ki NAAM NIHAD TAHQEEQ pesh karne wale BHAIYON aur uske hum AQEEDE BHAIYON aur BAHNO ke liye koi HUJJAT MAYSAR nahi hoti q ki wo log “ALLAH FIS SAMAA” ka tarjuma “ALLAH AASMANO ME HAI” samajh kar SHADEED GALAT FAHMI ka SHIKAR hain aur is GALAT FAHMI ka SHIKAR hain aur is GALAT FAHMI par MABNI tarjume ki WAJAH se wo SAHIBAN ye samajh rahe hain ki is IBARAT me ALLAH SUBHANAHU WATA’ALA ko kisi MAAN yani kisi JAGA me MAHSOOR kaha gaya hai aur phir apni is GALAT FAHMI ki bina par hi ALLAH TA’ALA ko MAKAN se MUNZAH karne ki KOSHISH me IMAM MALIK RH ke is QAUL ko ZA’EEF banane ke liye KAFI GALAT BAYANI se KAAM liya hai

“ALLAH FIS SAMAA” ka LAFZI tarjuma to yahi banta hai ki ALLAH AASMAN ME HAI lekin QURAN KAREEM ki AAYAT aur AHADEES ki ROSHNI me iska ye MAFHOOM nahi banta aur “ALLAH FIS SAMAA” kehne se kisi bhi TAUR par ALLAH TA’ALA ke liye koi MAKAN koi JAGA koi SIMT wagaira MAKHSOOS,MUKHTAS ya MUAYYAN nahi hoti aisa SOCHNA sochne walo ki kam ILMI ki DALEEL hai q ki LAFZ “FEE” ka MANA aur MAFHOOM sirf “MEIN” hi nahi balki ALLAH ke KALAAM me iska (FEE) MANA wa MAFHOOM “OOPAR”,”KE OOPAR”,”SE OOPAR” bhi milta hai jaisa ki ALLAH ne farmaya

قُلْ سِيرُوا فِي الْأَرْضِ ثُمَّ انْظُرُوا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الْمُكَذِّبِينَ

ki AYE MUHAMMAD FARMAIYE KI ZAMEEN “PAR” CHALO PHIRO PHIR DEKHO ki ALLAH KE (FARAMEEN AUR PAIGAMAT KO) JHUTLANE WALO KA KYA ANJAM HUA

SURAH AN’AM AYAT 11

aur jaisa ki FIRAUN ki DHAMKIYON ka ZIKR farmate hue IRSHAD farmaya

وَلَأُصَلِّبَنَّكُمْ­ فِي جُذُوعِ النَّخْلِ

aur YAQEENAN mai tum logo ko KHAJOOR ke TANO’N “PAR” PHANSI latka dunga

SURAH TAHA AYAT 71

ab agar LAFZ “FEE” ka MA’NA sirf “MEIN” hi mana jaye aur isi par ZID ki jaye to in MAZKOORAH BALA AAYAAT ka kya MAFHOOM banega ??

kya pahli AYAT se ye samjha jayega ki kya ALLAH TA’ALA ZAMEEN ko CHEER PHAAD kar us “MEIN” ghus kar chalne phirne ki DAWAT de raha hai ?

aur kya doosri AYAT se ye samjha jayega ki KHAJOORON ke TANO’N ko kaat kar un “MEIN” PHANSI latkane ka ZIKR hua hai ?

LEHAZA AYE BASEERAT RAKHNE WALO IBRAT HASIL KARO

AB AATE HAIN IS RIWAYAT KE RAWI ABDULLAH BIN NAAFE KI TARAF KYA YE ZA’EEF HAIN YA SIQAA ?

1- IMAM MUHAMMAD BIN SA’AD RH (230 H) farmate hain

كان قد لزم مالك بن أنس لزوما شديدا لا يقدم عليه أحدًا

ki unhone IMAM MALIK ka sath SHIDDAT se ke sath pakda hatta ki wo un par kisi ko FAUQIYAT nahi dete the

[[ TABQAT AL KUBRA JILD 16 SAFA 210 ]]

2- IMAM AHMAD BIN SALEH RH farmate hain

کان اعلم الناس برای مالک

ki wo IMAM MALIK RH ke KHYALAT ko logo me sabse zyada jante the

[[ AL ABAR FI KHABAR MIN GHABAR JILD 1 SAFA 349 ]]

3- IMAM ABU DAWOOD RH farmate hain

کان عبداللہ عالما بمالک وکان صاحب فقہ

ki ABDULLAH BIN NAAFE IMAM MALIK ke MASLAK ke ALIM aur FAQEEY the

[[ TAHZEEB UT TAHZEEB JILD 6 SAFA 52 ]]

4- IMAM ABDULLAH BIN NAAFE RH ko FIQA aur BILKHUSOOS FIQA MALIKI me khas MAHARAT HASIL thi aur isi KAMAL TAFQA ke BA’IS wo MADINAH me IFTAA ke MURJA’A the

[[ SHAZARAT UZ ZAHAB JILD 2 SAFA 52 ]]

5- IMAM YAHYA BIN MA’EEN RH bayan karte hain ki ABDULLAH BIN NAAFE RH ke pass IMAM MALIK RH ke 40 HAZAAR MASAIL the

[[ TAHZEEB JILD 6 SAFA 52 ]]

6- IMAM USMAN BIN SA’EED AL DARMI,IMAM AL DAURI AUR IMAM ABU KHAISMAH RH ye teeno IMAM YAHYA BIN MA’EEN RH (233 H) ke SHAGIRD hain Aur unse ABDULLAH BIN NAAFE RH ke baare me NAQAL karte hain ki unhone kaha

ثقة

ki wo SIQA hain

[[ TAREEKH IBN MA’EEN AL DARMI JILD 1 SAFA 152 ]]
[[ AL KAMIL LIL IBN AADI RH JILD 5 SAFA 398 ]]
[[ AL JARAH WA TADEEL JILD 5 SAFA 184 ]]
[[ TAREEKH IBN ABI KHAISMAH JILD 4 SAFA 366 ]]

7- IMAM ABUL HASAN IJLEE RH (261 H) ne kaha

ثقة

ki Wo SIQA hain

[[ KITAB US SIQAT LIL IJLEE JILD 1 SAFA 281 ]]

8- IMAM TIRMIZI RH (279 H) ne inki kayi RIWAYAT ko apni SUNAN me SAHI kaha hai unka Qaul SHAMIL hai

حديث جد كثير حديث حسن، وهو أحسن شيء روي في هذا الباب

ki KASEER ke DADA ki HADEES HASAN HADEES hai aur ye sabse Achi bat RIWAYAT ki gayi hai is BAAB me

[[ HADEES 536 ]]

هذا حديث حسن صحيح

ye HADEES HASAN SAHEEH hai

[[ HADEES 1114 ]]

هذا حديث حسن غريب، لا نعرفه من حديث هشام بن عروة إلا من هذا الوجه

ye HADEES HASAN GAREEB hai hum HISHAM BIN URWAH ki is HADEES ko nahi jante siwaye is TAREEQ ke

[[ HADEES 1493 ]]

هذا حديث حسن غريب

ye HADEES HASAN GAREEB hai

[[ HADEES 3692 ]]

9- IMAM YAHYA BIN MUHAMMAD BIN SA’EED RH (318 H) ne IBN NAAFE RH ki ek riwayat ke baare me kaha jo unhone RIWAYAT kiya hai

وَهَذَا إِسْنَادٌ غَرِيبٌ حَسَنٌ, مَا عَلِمْتُ أَنَّهُ رَوَاهُ إِلا بْنُ نَافِعٍ

ye SANAD HASAN GAREEB hai mujhe nahi maloom kisi aur ne RIWAYAT kiya hai isko siwaye IBN NAAFE ke

[[ AL SAALIS MIN AL FAWAID BY AL HARBI JILD 1 SAFA 42 ]]

10- IMAM ABU AHMAD BIN ADEE AL JARJANI RH (365 H) ne kaha

عبد الله بن نافع قد روى عن مالك غرائب وروى عن غيره من أهل المدينة، وهو في رواياته مستقيم الحديث

ABDULLAH BIN NAAFE RH ne IMAM MALIK RH ki taraf se aur DEEGAR AHLE MADINAH ki taraf se AJEEB ba aten RIWAYAT ki aur wo apni RIWAYATON me MUSTAQEEM UL HADEES hain

[[ AL KAMIL LIL IBN ADEE JILD 5 SAFA 399 ]]

NOTE>> GAUR FARMAYEN KI IMAM IBN ADEE RH ABDULLAH BIN NAAFE KE BARE ME MUKHTALIF AQWAL NAQAL KARNE KE BAD APNI TARAF SE FAISLA DE RAHE HAIN KI “WO MUSTAQEEM UL HADEES HAIN”
AB AITRAZ KARNE WALE YE BATAYEN KI MUSTAQEEM UL HADEES KISE KAHA JATA HAI??

11- IMAM IBN KHUZAIMA RH (311 H) ne ABDULLAH BIN NAAFE RH ki BAYAN KARDA ek HADEES ko SAHI kaha hai apni “SAHEEH” me HADEES NO. 185 me aur IBN KHUZAIMA RH ne apni SAHEEH me doosri JAGA par bhi inki RIWAYAT naqal ki hai

12 – IMAM IBN HIBBAN RH (354 H) ne ABDULLAH BIN NAAFE ka ZIKR KITAB US SIQAAT me kiya hai aur kaha

وكان صحيح الكتاب وإذا حدث من حفظه ربما أخطأ

wo SAHEEH UL KITAB the jab apne HAFZE se RIWAYAT karte to ASAR GALATI kar jate the

[[ KITAB US SIQAAT JILD 8 SAFA 348 ]]

NOTE>> koi RAWI us WAQT tak ZA’EEF nahi kehlata jab tak uski bahut zyada GALTIYAN na mil jaye aur agar wo zara sa GALTIYAN karta hai jaise AAM INSAN karte hain to to iska ye matlab hoga ki wo SIQA nahi hai jis TARAH DEEGAR BADE RAWI jaise MALIK aur SHO’BA wagaira…
to aise RAWI ka DARJA ghat kar SAHEEH UL HADEES se HASAN UL HADEES ho jata hai yahi waja hai ki IMAM IBN HIBBAN RH ne inse apni SAHEEH me bahut si RIWAYAT naqal ki hai dekhiye HADEES NO. 3278, 3706, 4683, 4727, 4819, 6899 etc

13- IMAM HAKIM AL NEESABOORI RH (405 H) ne inki BAYAN KARDA KAYI RIWAYATON ko SAHEEH kaha hai aur kaha ki

هذا حديث صحيح الإسناد

is HADEES ki SANAD SAHEEH hai

[[ MUSTADRAK AL HAKIM HADEES NO. 1358, 2082, 4429 etc ]]

14- IMAM ABU YA’ALA AL KHALEELI RH (446 H) ne kaha

أقدم من روى الموطأ عن مالك ثقة, أثنى عليه الشافعي

wo sabse pahle me se ek hain IMAM MALIK RH se AL MUWATTA BAYAN karne me wo SIQA hain aur IMAM SHAFAYI RH ne inki TAREEF (praised) ki hai

[[ AL IRSHAD JILD 1 SAFA 316 ]]

15- IMAM ABUL QASIM IBN ASAKIR AD DIMASHQI RH ( 571 H) ne kaha inki BAYAN KARDA ek RIWAYAT ke bare me jisme ye akele the

هذا حديث حسن غريب لم يرو إلا بهذا الإسناد

ye HADEES HASAN GAREEB hai is SANAD ke alawa aur kisi SANAD se MANQOOL nahi

[[ MU’JAM IBN ASAKIR JILD 1 SAFA 343 ]]

NOTE>>EK AKELI RIWAYAT KI TASDEEQ (AUTHENTICATION) USKI TAUSEEQ HOTI HAI

16- IMAM IBN TAIMIYAH RH (652 H) ne inki RIWAYAT ki TASDEEQ ki aur kaha

هذا إسناده حسن فإن رواته كلهم ثقات مشاهير لكن عبد الله بن نافع الصائغ الفقيه المدني صاحب مالك فيه لين لا يقدح في حديثه

ye SANAD HASAN hai iske saare RAWI SIQAA MASH’HOOR hain lekin ABDULLAH BIN NAAFE AS SAAIGH AL FAQEEH AL MADNI IMAM MALIK RH ke SAATHI hain ye thode NARM the (yani hadees me sakht nahi the) lekin isse inki HADEES par koi FARQ nahi padta

Inke HIFZ par TAWAJJO karte hue kuch MUHADDISEEN ki JIRAH NAQAL karne ke baad IMAM IBN TAIMIYAH RH ne kaha

وأن الغالب عليه الضبط، لكن قد يغلط أحيانا

aur ZABT (PRECISION) unme GALIB tha haalanki wo GALTIYAN karte the (lekin) kabhi kabhi ( jisse wo za’eef nahi bante )

[[ AL IQTIZA SIRAT AL MUSTAQEEM JILD 1 SAFA 321 ]]

17- IMAM ZAHBI RH (748 H) ne inka ZIKR MEEZAN AL AITEDAL me kiya aur inke naam ke aage likha ]صح[ iska matlab ye hua ki ye IMAM ZAHBI RH ke NAZDEEQ SIQAA hain

[[ JILD 2 SAFA 513 ]]

IMAM ZAHBI RH ne MAZEED kaha ثقة لينه بعضهم

ye SIQAA hain kuch MUHADDIS ne inko NARAM (LAYYIN) QARAR DIYA HAI

[[ DEEWAN AZ ZUAFA JILD 1 SAFA 230 ]]

YAHI WAJA HAI KI IMAM ZAHBI RH NE APNE RISALAH ME BHI INKA ZIKR KIYA HAI

“MAN TAKALLAM FEEHI WAHUWA MAWSAQ ”

[[ JILD 1 SAFA 114 T. 195 ]]

LEHAZA SABIT ye hua ki ABDULLAH BIN NAAFE SIQAA HAIN IMAM ZAHBI KE NAZDEEQ

18- IMAM IBN ABDUL HAADI RH (744 H) ne inki ek RIWAYAT ke baare me kaha

هذا حديث حسن ورواته ثقات مشاهير، لكن عبد الله بن نافع الصائغ فيه لين لا يمنع الاحتجاج به

ye HADEES HASAN hai iske saare RAWI SIQA MASH’HOOR hain lekin ABDULLAH BIN NAAFE ke andar kuch NARMI hai unse DALEEL lene me koi MANAHI nahi hai (yani unse DALEEL li ja sakti hai)

[[ AL SARIM AL MUNKI JILD 1 SAFA 121 ]]

19- IMAM IBN MULAQQIN RH (804 H) ne kaha

هُوَ ثِقَة

ye SIQA hain

[[ AL BADAR UL MUNEER JILD 5 SAFA 509 ]]

20- HAFIZ IBN HAJAR ASQALANI RH (852 H) ne kaha

ثقة صحيح الكتاب في حفظه لين

ye SIQA hain inke HIFZ me kuch NARMI hai

[[ TAQREEB UT TAHZEEB 3659 ]]

NOTE>> IMAM IBN HAJAR RH ne ye nahi kaha ki ye LAYYIN UL HADEES hain balki unhone farmaya “FEEHI LAYYIN” ke MISL,iska matlab ye nahi ki unka hamesha yahi NAZARIYA rahe.aur iske sath SIQA lafz ISTEMAL karna is bat ka saboot bhi hai yahi waja hai ki IMAM IBN HAJAR RH ne inki BAYAN KARDA ek RIWAYAT ko HASAN QARAR diya hai dekhiye

[[ NATAIJ UL AFKAR JILD 4 SAFA 31 ]]

aur IMAM IBN HAJAR RH ne ABDULLAH BIN NAAFE AS SAAGH RH ke bare me apna FAISLA likha hai ki

is SHAKS ko BA AITEMAD MANNE par hi AMAL JARI hai

[[ LISAN UL MEEZAN TAHQEEQ ABUL FATAH ABU GADAH RAQAM 1492 ]]

Aur IMAM IBN HAJAR RH ne ABDULLAH BIN NAAFE RH ke naam ke sath” صح ” lafz ISTEMAL kiya hai

LISAN UL MEEZAN ke MUHAQQIQ ABUL FATAH RH ka kehna hai ki IMAM SAHAB RH ne khud is ISHARE (صح) ke bare me likha hai ki

إذا كتبت (صح) أول الاسم فهي إشارة إلى أنَّ العمل على توثيق ذلك الرجل

agar main naam ke SHURU me صح likhun to ye is MAMLE ki TARAF ISHARA hai ki us SHAKS ko BIL AITEMAD MANNE par hi (AIMMA AUR ULAMA ki AKSARIYAT) ka AMAL JARI HAI

iske ALAWA dekhiye

[[ MEEZAN UL
AITEDAL FI NAQD AL RIJAL BATAHQEEQ SHAIKH ALI MUHAMMAD MA’OOZ WA SHAIKH ADIL AHMAD ABDUL MAWJOOD RAQAM 465 ]]

SABIT YE HUA KI IBN HAJAR RH KE NAZDEEQ BHI ABDULLAH BIN NAAFE AS SAAIGH RH SIQAA HAIN

21- IMAM NOOR UDDIN AL HAISMI RH (807 H) ne inki HADEES ki TASDEEQ ki aurkaha

رِجَالُهُ ثِقَاتٌ

iske SAARE RAWI SIQAA hain

[[ MAJMA AL ZAWAID JILD 1 SAFA 294 ]]

AB IN PAR JO JARAH HAIN UNKO BHI DEKH LETE HAIN

1- IMAM AHMAD IBN HAMBAL RH (241 H) ne kaha

لم يكن صاحب حديث كان ضيقا فيه وكان صاحب رأي مالك وكان يفتي أهل المدينة برأي مالك ولم يكن في الحديث بذاك

wo ASHAB UL HADEES me se nahi the unme kuch TANGNAZRI payi jati hai wo IMAM MALIK RH ki RAAYE ke HAMIL the aur wo IMAM MALIK RH ki RAAYE se AHLE MADINAH ko FATWA dete the lekin HADEES ke MAMLE me wo aise nahi the

[[ AL KAMIL LIL ADEE JILD 5 SAFA 398 ]]
[[ AL JARAH WA TADEEL LIL HATIM JILD 5 SAFA 184 ]]
[[ SU’ALAT ABU DAWOOD LIL AHMAD JILD 1 SAFA 226 ]]

NOTE>> ye JARAH REJECT KI JATI HAI Q KI YE JARAH QABIL E AITEMAD NAHI JO KHUD HI KAAFI HO KISI RAWI KO ZA’EEF SABIT KARNE KE LIYE

AUR DOOSRI BAAT YE JARAH JAM’HOOR KE KHILAAF HAI

2- IMAM BUKHARI RH (256 H) ne kaha

في حفظه شيء

iske HIFZ me kuch KAMI HAI

[[ AL KAMIL LIL ADEE JILD 5 SAFA 398 ]]

aur doosri JAGA likhte hain

يُعرَفُ حِفظُه ويُنكَرُ، وكتابه أصح

iska HIFZ maana bhi jayega aur uspar INKAR bhi kiya jayega aur uska LIKHA hua ZYADA DRUST hai

[[ TARIKH AL KABIR JILD 5 SAFA 213 ]]

NOTE>>SABIT YE HUA KI ABDULLAH BIN NAAFE RH KI LIKH KAR MAHFOOZ KARDAH RIWAYAT ZUBANI BAYAN KARDA RIWAYAT SE ZYADA QABIL E AITEMAD HAI AISA NAHI HAI KI INKI HAR RIWAYAT KO INKA NAAM SUN KAR RADD KA DIYA JAYE

ALLAH KNOWS BEST

3- IMAM ABU HATIM AL RAZI RH (275 H) ne kaha

ليس بالحافظ هو لين تعرف حفظه وتنكر، وكتابه أصح

uske HIFZ me NARMI hai aur uska LIKHA hua HIFZ ki NISBAT ZYADA DRUST hai

[[ AL JARAH WA TADEEL JILD 5 SAFA 184 ]]

NOTE>>AITERAZ KARNE WAALE AB YE SABIT KAREN KI ABDULLAH BIN NAAFE RH NE YE RIWAYAT APNE HIFZ SE BAYAN KI HAI YA APNA LIKHA HUA BAYAN KIYA HAI NAHI TO BEGHAIR KISI HASAD KE INKO SIQA TASLEEM KAR LEN AUR RAHA IMAM MALIK RH KI TARAF SE YA UNSE RIWAYAT KARNA TO ABDULLAH BIN NAAFE RH KE TARAJIM ME YE BAAT BADI SARAHAT KE SATH MAZKOOR HAI KI UNHONE IMAM MALIK RH KE SATH APNI ZINDAGI KA EK BAHUT BADA HISSA GUZARA HAI

AUR IMAM MALIK RH IN PAR ITNA AITEMAD KARTE THE KI INHE APNA NAA’IB MUQARRAR FARMAYA THA

YE BAAT IMAM ZAHBI RH KI KITAB “SIAR A’LAM AN NUBULA ME QAZI AYAZ RH KE HAWALE SE ABDULLAH BIN NAAFE AS SAAIGH RH KE TARJUME ME ZIKR KI GAYI HAI

4- IMAM DAARQUTNI RH (385 H) ne kaha

مدني فقيه ، يعتبر به

MADANI FAQEEH YE QABIL E AITEMAD HAIN (MUTABI’AT ME)

[[ SU’ALAT AL BARQANI LIL
DAARQUTNI SAFA 256 ]]

EK DOOSRI JAGA FARMAYA

عَبْدُ اللَّهِ ضَعَيْفُ الْحَدِيثِ

ABDULLAH ZA’EEF UL HADEES HAIN

[[ TALEEQAT AL DAARQUTNI ALA AL MAJRUHEEN LIL IBN HIBBAN JILD 1 SAFA 276 ]]

5- IMAM IBN HAZAM RH (456 H) ne kaha

عَبْدُ اللَّهِ بْنُ نَافِعٍ هَذَا ضَعِيفٌ بِلَا خِلَافٍ

ye ABDULLAH BIN NAAFE ZA’EEF hain begair kisi IKHTILAF ke

[[ AL MUHALLA JILD 5 SAFA 334 ]]

NOTE>> YE JIRAH MARDOOD HAI Q KI

IMAM IBN HAZAM RH ne MUBALGA ARAI se KAAM LIYA HAI JAB KI ISME IKHTILAF HAI

IBN HAZAM RH MUTASHADDID THE JIRAH ME

YE JIRAH JAM’HOOR KE KHILAF HAI

IKHTILAF E RAAYE :

YE JO BAYAN KIYA GAYA HAI ISME(JISME) TAZAAD HAI AUR YE KISI BHI TARAF NAHI HAI
TO YE NA HI IS RAWI KI TAYEED ME PESH KIYA JA SAKTA HAI AUR NA HI AUR NA HI IS RAWI KE KHILAF PESH KIYA JA SAKTA HAI

1- IMAM ABU ZU’RAH RH (264 H) ne kaha

لا بأس به

inme koi GALATI nahi hai

[[ AL JARAH WA TADEEL JILD 5 SAFA 184 ]]

JABKI DOOSRI JAGA FARMAYA

ابن نافع الصائغ عندي منكر الحديث…. وله عند أهل المدينة قدر في الفقه

IBN NAAFE AS SAAIGH ZA’EEF hain mere NAZDEEQ aur wo MU’AZZIZ hain FIQH me MADINAH ke logo ke darmiyan

[[ AZ ZUAFA LIL ABU ZURAH JILD 2 SAFA 375-376 ]]

AUR BAAZ LOG ALLAMA ALBANI RH se INKA RADD karte hain AAIYE ISKA BHI JAWAB DETE HAIN

ALLAMA ALBANI RH ne SUNAN ABU DAWOOD me MANQOOL ek RIWAYAT ki TAHQEEQ me us RIWAYAT ki ek aur SANAD ka ZIKR karte hue us SANAD me ABDULLAH BIN NAAFE RH ke baare me likha hai

تفرد به ، عبد الله بن نافع ،قلت: وهو ضعيف مِن قِبل حفظه، وقد خالفه ابن وهب الثقة الحجة، فلايحتج به مع هذه المخالفة

is RIWAYAT ko SIRF ABDULLAH BIN NAAFE ne RIWAYAT kiya hai aur mai kehta hu ki unka HAFZA KAMZOR tha aur jab ki unki (is RIWAYAT) ki MUKHALIFAT IBN WAHAB RH ne ki hai jo ki BA AITEMAD aur HUJJAT hain lehaza aisi MUKHALIFAT ki MAUJOODGI me ABDULLAH BIN NAAFE RH ki RIWAYAT ko HUJJAT nahi banaya ja sakta

[[ ZA’EEF ABU DAWOOD JILD 1 SAFA 78 YA 173 RAQAM HADEES 173 YA 78 ]]

NOTE>> IN ALFAZ ME SAAF SAAF BAYAN HAI KI IMAM ALBANI RH ne yaha ABDULLAH BIN NAAFE RH ki is RIWAYAT ko hujjat na MANNE ka SABAB un se ZYADA SIQAA aur HUJJAT wale RAWI ki taraf se is RIWAYAT ke KHILAF RIWAYAT BAYAN karna bataya hai YANI jab ABDULLAH BIN NAAFE RH kisi RIWAYAT ki MUKHALIFAT un se ZYADA QABIL E AITEMAD RAWI ki TARAF se na ho to un ki RIWAYAT ko mana ja sakta hai

AB YAHA PEHLE ZIKR KI GAYI BAATON KO ZAHEN ME LAAIYE AUR SAMAJHIYE KI IMAM MALIK RH KE BARE ME KUCH RIWAYAT KARNE ME ABDULLAH BIN NAAFE KO SABSE ZYADA SIQAA MANA JATA HAI Q KI WO IMAM MALIK RH KE SATH TAQREEBAN 40 SAAL RAHE HAIN AUR IMAM MALIK RH NE UNHE APNA NAA’IB BHI MUQARRAR FARMAYA AUR GAUR FARMAIYE KI ALBANI RH NE ABDULLAH BIN NAAFE KE HAFZE KI KAMZORI KI WAHI BAT KI ki HAI JO INSE PEHLE IMAMO NE KAHA HAI

AUR ALLAMA ALBANI RH NE “SILSILA AL AHADEES AL ZA’EEFIYA KI JILD 14 SAFA 898 RIWAYAT NO 6885 ME ABDULLAH BIN NAAFE RH KI SANAD SE EK RIWAYAT HAI LEKIN IMAM ALBANI RH NE IS RIWAYAT KI TAHQEEQ WA TAKHREEJ ME KABHI BHI ABDULLAH BIN NAAFE PAR KOI TAZKIRAH NAHI KIYA

AAKHRI NATEEJA YAHI NIKALTA HAI KI IS RAAWI PAR BAAZ JARAH HAIN LEKIN UNKI RIWAYAT PAR KOI ASAR NAHI PADTA HAA YE BAAT ZAROOR HAI KI UNKA DARJA SAHEEH UL HADEES SE GHAT KAR HASAN UL HADEES HO JATA HAI

BAAQI FAISLA ALLAH PAR CHOR DEN.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this:
search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close