Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne khuli aur tooti hui mashk se munh lagakar paani peene se mana farmaaya hai.
[Sahih Al-Bukhari & Sahih Al-Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 762 ]Hazrat Abu Hurairah Rad. se riwaayat hai ki..
Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne mashk aur mashkeezah me munh laga kar paani peene se mana farmaaya hai.
[Sahih Al-Bukhari & Sahih Al-Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 763 ]
Umm Thabit Kabshah bint Thabit Rad. se riwaayat hai ki..
Rasulullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM tashreef laaye, mere yahaan mashk latki hui thi aap ne khade hokar aur munh laga kar paani pee liya to maine woh jagah jahaan aap ka dahne
mubaarak laga tha kaat kar tabarrakan apne paas rakh liya.
[At- Tirmidhi].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 764 ]
PAANI ME PHOONKNE AUR SAANS LENE KI KARAHIYAT :
Hazrat Abu Saeed Khardi Rad. se riwaayat hai ke..
Ek aadmi ne arz kiya “ Ya Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ! Agar isme [ PANI ] koi cheez nazar aa jaaye to kya karoon ?
Farmaaya us ko oondel do.
Arz kiya “ Ya Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ! Kya main ek saans me paani
pee nahin sakta ??
Farmaaya ! Jab saans lo bartan hato do.
[At- Tirmidhi].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 765 ]
Hazrat Ibn e Abbas Rad. se riwaayat hai ki..
Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne bartan me saans lene aur phoonkne se mana farmaaya hai.
[At- Tirmidhi].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 766 ]
KHADE HOKAR PAANI PEENE KA BAYAAN :
Hazrat Ibn e Abbas Rad. se riwaayat hai ki…
Maine Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WSALLAM ko zam zam ka paani pilaaya. Aap ne khade hokar paani pee liya.
[Sahih Al-Bukhari & Sahih Al-Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 767 ]
Harat Nazal bin Sabrah Rad. se riwaayat hai ki..
Hazrat Ali Rad. Baab e Rahbah par aaye aur khade khade paani pee liya, phir farmaaya
maine Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ko isi tarah dekha tha, jaisa tum ne mujhe karte huye dekha hai.
[ Sahih Al-Bukhari ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 768 ]
Hazrat ibn e Umar Raad. se riwaayat hai ki…
Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ke zamaane me chalte phirte
khaaya karte the aur khade khade piya karte the.
[At- Tirmidhi].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 769 ]
Hazrat Amr bin Shu’aib Rad. se riwaayat hai unhon ne apne baap aur unhon ne apne dada se
suna hai ki maine Raoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ko khade hokar aur baithe paani peete dekha
[At- Tirmidhi].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 770 ]
The last three Ahadith point out the permissibility of eating and drinking while walking or standing or sitting, but DRINKING IN THE SITTING POSITION REMAINS THE BEST.
Hazrat Anas Rad. se riwaayat hai ki…
Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne khade hokar paani peene se mana farmaaya hai. Hazrat Qatadah Rad. kahte hain ki maine Hazrat Anas Rad. se daryaaft
kiya ki khade hokar khaane ka kya hukm hai ?? Kaha ki ye to aur bhi badtar aur makrooh hai
[ Sahih Al-Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 771 ]
Ek riwaayat me hai ki Huzoor SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne khade hokar peene se sakhti se roka tha.
Abu Hurairah Rad. Reported :
Messenger of Allah Sallallallahu Alai Wasallam said, “None of you should drink standing; and if any one forgets, he must vomit.”
[ Sahih Al-Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 772 ]
Abu Qatadah (May Allah be pleased with him) reported:
Messenger of Allah Sallallallahu Alai Wasallam said, “He who serves others with drinking water should be the last to drink himself.”
[At-Tirmidhi].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 773 ]