Taraweeh 8 Rakat Padna Sunnat hy,….. ha Agar koyi 8 se zyada padna chahtahy Nafil ke niyyat se padsakte lekin sunnat 8 hi hy sahii hadees ke roshni me…
Daleel- Aisha (r.a) se hz abu salma (r.a) ne sawaal ki ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki namaz ramzaan me kaisi thi, iske jawab me hz aisha (r.a) ne kaha ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ramzaan aur ghair ramzaan me 11 rakat se ziyaadah na padhte the
{{Sahii Bukhari jild 1 page 269,,, Sahii Muslim jild 1 page 254}}
Note 1 رضي الله wali hadees Kitab u Taraweeh mei laaye hai yeh sabit karne ke liye ke yeh hadeeth Ramazan ke raat ke namaz hai jisko Taraweeh kahte hai…. usse tarah se Imam Muhammad bin Hassan al Shaibani Rahmatullahe vo hi hadeeth ko Qiyam Sharah Ramazan mei liaa hai sabit karne ke liye ke yeh rivayat Taraweeh par dalalat karte hai. …Jo Rivayat tahjjjud me aayi hy wahi rivayat Imam Bukhari ne kitabul taraweeh me baap bande hy… taraweeh tahajuud Qiyamul lyl aek hi namaz hy agar alag hy to hanafi log se mere a sawal koyi 1 morfoo hadees pesh karo alag hone ki….??
Note No 2 Allama zaili hanafi (nasburraaya jild 2 page 153), allama ibn hammam hanfi (fath ul qadir jild 1 page 407) ,allama hasan bin ammar hanafi ( maraaqi al falaah page 224), allama ibn najeem hanafi ne ( bahrur raiq page 66,67 jild 2),
A sare log ne is riwayat ko TARAWEEH ke bab me zikr karke ye tasleem kar liya hai ke is hadith ka talluq namaz taraweeh ke saath hai aur hz aisha (ra) ne tahajjud aur taraweeh ko ek qaraar diya hai…
Note No – 3 hz aisha (r.a) ke is jawab se saabit huwa ke wah tahajjud aur tarawih ko ek hi qaraar diya hy…….Sawal karne wale sahabi Ramazan ke namaz kaisa thi…??? Aisha (r.a) ramazan ho ya gair ramazan 11 rakat se zyda nahi padte bole
Note no 4 A 11 rakat Tarweeh .
do do rakat padhna afzal hai,witr ki ek rakat alag padhni bhi masnoon hai,
hz aisha (ra) se riwayat hai ke:-” pyare nabi akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) namaz isha aur namaz fajr ke darmiyaan 11 rakaten namaz ada farmate They har do rakat ke baad salam pherte aur phir saari namaz ko ek rakat se witr banaate.{Sahii Muslim}….
—->> Daleel 2 Musannaf Ibn Abi Shyba (235 hijri) Me Hai Ke
“Beshaq Hz Umar (Ra) Ne Logon Ko Aur Abi (Bin Kaab) Aur Tamindari (Ra) Par Jama Kiya, Pas Dono 11 Rakat Padhate They”
(Musannaf Ibn Abi Shayba 2/392 hadith 7670)
****Is Riwayat Ki Sanad Bilkul Sahih Hai Aur Iske Saare Raawi Bukhari Wa Muslim Ke Hain Aur Bala Ijma Siqa Hain….
Note: 20 Rakaat Taraweeh Nabi se ya Umar(r.a) se sahii hadees se sabit nahi… ha agar koyi 8 se zyada padna chahta hy padsakte nafil ke niyyat se lekin sunnat a muqqida niyyat se nahi padna hy..