1 Daleel: Wa’il biin Hujr {R.A} Riwayat hai ke wo Nabi S.a.w Ke sath Namaz padi Jab Qirat karte NABI {S.A.W} Ghayr il Maghdoobi Alaihim Waladhualeen kehte Tab Ameen Ahista kehte {Musnad Abu Dawud al-Tiyalsi (1/576), Sunnan Tirimdhi (2/65), Musnad Ahmed bin Hanbal (5/412)}
TahQeeq: A Hadees zeif hy kyun iska Matan Mudtarib Hy…
Khud Hanafi Muhaddis Allama Naimwi Is hadees ko Zeif kaha hy…….
Usoole a Hadees ke roshni me haz hadeesin MUJTARAB WA MAQLOOBUN WA ZAEEFUN BIHAZAL ISNAAD ……..
1) IMAAM BUKHARI Ne is HADEES me *SHUBA* ne kayi makamat par *KHATA* kiya hai jo RAWI hai is hadees ke
1 pehla SHUBA ne apne SHAIKH yani jisse ye hadees riwayat kiya hai unka naam me ijtirab kiya SHUBA ne ANN HUJAR ABI ANBAS kaha aur unka naam HUJAR ABI ANBAS NAHI hai balke HUJAR IBN ANBAS hai aur unki kunniyat ABI SAKAN hai,
2 dusra is hadees ki Sanad me RAFA bhi kiya yani ek RAWI ko zyada kar diya SHUBA riwayat karte hai ANN HUHAR ABI ANBAS ANN ALKAMA ANN ABIHI riwayat kiya hala ke is hadees ke sanad me ALKAMA nahi hai,
3 teesri khata SHUBA kaha SHUBA ne apni riwayat me KHAFAZA BIHA SAUTAHU aur is hadees me ye alfaz nahi hai balke MADDA BIHA SAUTAHU hai yani AWAAZ KO BULAND kiya!
[HASIYA JAMI TIRMIZI ABWABUS SALATI, BABU MAJA’A FITTA’MEENA]
2) IMAAM ABU ZARRAH rahimahullah ne farmaya SHUBA ki hadees KHATA hai!
3) IMAAM TIRMIZI rahimahullah ne zabardast kalam kiya hai is hadees me aur sabit kiya is hadees ko MUJTARAB hone me yani khata hai rawi ka yani SHUBA ka bohat se makamat par!
[HASIYA JAMI TIRMIZI ABWABUS SALAH]
4) aur is hadees ko HAZRAT WAIL IBN HUJAR raziallahuan se riwayat kiya hai *HUJAR IBN ANBAS* ne aur inse kull 3 RAWIYO ne riwayat kiya hai…
1: SUFIYAN SURI ne aur unki riwayat me hai WA RAFA’A BIHA SAUTAHU yani aur AWAAZ KO BULAND KIYA!
2: SALAMA IBN SUHAIL aur inki riwayat me hai FA JAHARA BI AMEEN yani AMEEN KO ZORSE PUKAR KAR KAHA:
ye dono hi rawi SHIQA hai aur SAHIH BUKHARI ke RAWIYAO me se hai aur inki HADEES ME AMEEN BULAND KARKE KEHNE KI SARAHAT MAUJUD HAI!
3: SHUBA ki riwayat me hai WAKHAFAZA BIHA SAUTAHU yani AWAAZ KO PAST RAKHTE THE:
SHUBA ki HADEES GAREEB hai is SANAD se aur SANAD me bhi IJTIRAAB hai yani pehla apne SHAIKH ka naam galat bayan kiya dsura ek rawi ALKAMA ko bhi sanad me zyada kiya ise MUJTARAB UL ISNAD kaha jata hai!
aur MATAN me bhi khata kiya ise MUJTARAB UL MATAN kaha jata hai lihaza sabit hua kisi bhi etbar se ye AHISTA SE AMEEN kehne wali hadees kabil e kubool nahi!
YE HADEES MUJTARAB HAI MAQLOOB HAI MAHJOOR HAI ZAEEF HAI!
5) Imam Bahiqi Kehte hy jo rivaytein Sufyan aur shuba ka hy lekin Sufyan ka rivayat ko Ahimiyat de jayega ( Al Khilafiyat Al Behaqi 1/50 )
6)Imam Bukhari Aur Imam Abu Zarra Ke kehte hy Sufyan ka Qaul hi sahii hy Hafiz Ibn e Hajar Asqalani (rah) writes in Talkhis (1/237 )
7) Muhaddis Yahya bin Saeed Al Qattan Kehte hy Jab shuba ne Sufyan ka khilaf kiya tab my Sufan ka raawi ko hi Liya {Al Jarrah Wa Al Tadeel 4/223-4, Tehzeeb Al Tehzeeb 4/101 }
8) Anwar sha Kashmiri kehte hy Imam Shuba ke Apni Raay Ameen-bil Jahr ka kayal the {(Faiz ul Bari 2/290}
Lihaza a hadees Zeif hy………..
Daleel 2 : Hanafi Hazrat kehte hy Ahle hadees unchi aawaaz se aameen kahte hain, halaanke aameen dua hai, aur dua ke mutaallik Quraan hakeem me aaya hai….
“Apne rab se aajizi ke saath aahista aahista dua karo …..
Jawab : Pehli baat Kya Nabi se hanafi log Quran ko acha jante hy …???? Iski bawajood bhi Nabi ne unchi Awaz se Ameen kehte..
–>>Kya Sahaba log se Hanafi log Quaran ko acha jante hy …??? Iski Bawajood bhi Sahaba log Uunchi awaz se ameen kehte hz ataa bin abi ribah rh farmate hain:- maine 200 sahaba kiram ko dekha ki baitullah me jab imam “walazzalleen” kahta to sab buland awaz se aameen kahte”
{baihaqi 2/59, kitabussalat, ibne hibban, iski sanad sahii hy }
Dusri Baat : A Ayat ka khud Hanafiyon ka Amal Nahi hy Jab hum kahte hai muqalideen say kii apne bidaat ko band karne ke liye aur ijtamia dua karna har farz nimaz k baad us waqt inko yeh aayat yaad nahi rahte grin emoticon Unchi Awaz se ameen kehte aur Programs banake ijtmai dua karte ….
Tasrii baat ; Asal Jawab Agar Quraan hakeem ki be’shumaar wala tadaad aayat par ek nazar daal lete jo dua bil jahar ke mutaallik waarid hoi hain toh buland aawaaz se dua bil jahar ko quraan ke Khilaaf na batlaate,
aur na hi is ayat ka wah tarjuma wa mafhoom lete jo ab sirf ahle hadith ko badnaam karne ke liye liya hai ke ba’soorat deegar is aayat me aur dusri aayat me tazaad paida hota hai,
chunanche ab ham wah aayat pesh karte hain jisme ba’aawaaz buland dua maangna saabit hai,
@Allah taala ka irshad hai:-” aur hamen nooh (as) ne buland aawaaz pukaara aur hamne uski dua ko sharf qubuliyat bakhsha ”
(surah saffaat 75)
@ ek aur maqaam par farmaya:-” aur nooh (ko yaad karo ) jab usne buland aawaaz se pukaara toh hamne uski pukaar ko qubool kiya”
(surah ambiya 76)
@hz ayyub (as) ke mutaallik farmaya:-” aur ayyub (as) ke usne buland aawaaz se dua ki (aiy allah) mujhe takleef pahunchi hai aur tu bahut raham karne waala hai ”
(surah ambiya 83)
@” ham ne uski dua qubool kar li aur uski taqleef door kar di”
(surah ambiya 84)
@isi tarah hz yunus (as) ke mutaallik farmaya:- ” fanada fi la illaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zaalimeen ”
(surah ambiya 87)
ye aur is qism ki bahut si aayat hain, is sab me dua ko aawaaz se ada karne ka zikr kiya hai aur ” nida” ko arabic me buland aawaaz ko kahte hain,
chunanche imam raaghib farmte hain:- ” ke nida ke maane aawaaz ka buland karna aur uska zaahir karna hai ”
( mufar’daat imam raaghib page 505)
aur lughat arab ke imam ibn manzoor afreeki misri farmate hain:-” ke nida ke maane buland aawaaz se pukaarne ke hain aur ‘ falan andi sautan min falaan ‘ ka maana hai ke falan ki aawaaz falan se buland hai ”
(lisanul arab jild 2 page 187)
aur sahab majmua bahaar ul anwaar likhte hain:-” (indi sauta ai arfa wa’ala) ke ‘andi sauta’ ka matlab buland aur unchi aawaaz waala hai ”
(majmua bahaar ul anwaar jild 3 page 345)
aur khud quraan hakeem me iski be’shumaar misaalein maujood hain ke ‘ nida ‘ buland aawaaz ko kahte hain
isi tarah surah aaraaf me ashaab ul jannah , ashaab ul aaraaf aur ashaab ul naar ki aapas ki baat cheet ko bhi ba’lafz nida hi zikr kiya hai
” ke jannation ne dozakhiyon ko kaha aur aaraaf(44) waalon ne dozakhiyon ko pukaara aur dozakhiyon ne jannation se sawaal kiya ”
zaahir hai ke ek dusre se baat, sawaal aur mukhaatib be’ghair aawaaz buland kiye hue nahi ho sakti, isliye is baat ko tasleem kiye beghair chaarah nahi ke nida ke maana ba’aawaz buland pukaarne ke hain aur ise maanne ke baad ye bhi maanna padega ke Maulana Taqi usmani ne aayat (ad’oo rabbakum) ka jo tarjumah kiya hai aur usse jo mafhoom akhaz kiya hai wah Bilkul ghalat hai, warna kalaam baari me ikhtelaaf maanna padega (Nauzubillah )
Daleel 3 Samurah ibn Jundub rivayat hy kehte hy muje Yaad hy 2 Aisa wakt hy Nabi S.a.w Khamush Yaktiyar karte wo Takbir kehne ke baad aur walazzaleen ke baad { Abu Dawood Book #3, Hadith #0778}
TehQeeq:: A Hadees Zeif hy kyun Ki Is Hadees ka sanad me Qatada Muddallis hy… Tadlees ki wajase zaif hy.. UN Se rivayat karte sama ka tasrii nahi hy lehaza a hadees zeif hy…
Daleel 4 Abu wail Rivayat karte hy Ali r.a Abdullah Ibne masood
Bismillah, Audhobillah, or Aameen
Buland Awaz se Nahi padte {[Imam Tahawi in Sharh al Ma’ni al Athaar (1/203)]
TahQeeq; A Hadees zeif hy kyun ki is hadees ki sanad me aek Raawi hy Abu Saeed Hy wo zaif Hy Muhaddaseen log uspe sakt Jarrah kiya hy
@@ Imam Bukhari Us Raawi ko Munkar-ul- Hadees kaha hy Imam Nasai, Imam Ibn e Adi and Imam Ibn e Ayiniyah ne Zaif kaha hy (Tehzeeb Vol 4 Page 81)
@ @ Aur wo Raawi Muddallis bhi hy Ibne hajar ne kaha ke wo Tadlees karne me Mashoor hy zaif Raawionse ( Tabqat Al Mudallisin 54)
Conclution : Hanaf ke Nazdeek 1 bhi Sahii sanad se Marfoo hadees ya Maukoof hadees nahi hy Ameen Ahista bolna ka..