Nabi se ya Umar(r.a) se 20 Rakat Taraweeh Sabit nahi hy..


Hanafyion ka 20 Rakat Taraweeh Ke daleel Tamaam Hadeeson Zaif hy… Nabi se ya Umar(r.a) se 20 Rakat Taraweeh Sabit nahi hy…. A Pura padke save karlo doston….

Daleel No.1:

حدثنا يزيد بن هارون قال انا إبراهيم بن عثمان عن الحكم عن مقسم عن بن عباس إن رسول الله صلى الله عليه و سلم كان يصلي في رمضان عشرين ركعة والوتر

“Hazrat Abdula Bin Abbas (Raziallahu Anhu) farmate hai kii beshak Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramadan main 20 rakat (Taraweeh) aur witr padte thy”.

Sanad:{Yazeed Bin Haroon — Ibraaheem Bin Uthmaan — Hakam — Miqsam — Ibn Abbaas (Raziallahu Anhu)}

Takhreej:{Musanaf Ibn Abi Shaiba (5/225, Hadith No.7774), Sunan Al-Kubraa (2/698, Hadith No.4615), Taareekh Baghdaad (6/113), (2/45)}

Tahqiq: Yeh hadith jhoote hai kyun kii is hadith main Ibraaheem bin Uthmaan hai.

Ibraaheem Bin Uthmaan Muhadithseen ki nazar main:

1.Imaam Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha:Siqa nahi hai, Daif.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
2.Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha:Daeef.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
3.Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha:Muhadithseen ne is say khamoshe ikhtiyaar kiye hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
4.Abu Dawud (Rahimahullah) ne kaha:Daeef.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
5.Imam Tirmizi (Rahimahullah) ne kaha:Munkar ul hadith.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
6.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha:Matrook ul hadith.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
7.Daulaabee ne (Rahimahullah) kaha:Matrook ul hadith.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
8.Imaam Abu Haatim (Rahimahullah) ne kaha:Daeef aur Muhadithseen ne is say khamoshe ikhtiyaar kiye hai aur chood diyaga hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
9.Juzjaanee (Rahimahullah) ne kaha:Aatibar say gira hua hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
10.Saaleh Jazrah (Rahimahullah) ne kaha:Bohut daaef hai aur iski hadith likhe hi na jaye.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
11.Abu Alee Neesaabooree (Rahimahullah) ne kaha:Kamzoor hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
12.Imaam Shu’bah (Rahimahullah) ne kaha:Kazzab.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
13.Ibn Sa’ad (Rahimahullah) ne kaha:Daeef.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
14.Daarqutnee (Rahimahullah) ne kaha:Daeef.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
15.Ibn Al-Mubaarak (Rahimahullah) ne kaha:Choodo isko.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
16.Abu Taalib (Rahimahullah) ne kaha Imam Ahmad ne kaha:Mukar ul haidith.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
17.Imam Aqeli (Rahimahullah) ne daifa mein zikr kiya hai.{Daifa, 1/59, no.54}
18.Imaam Baihaqee (Rahimahullah) ne kaha: Daeef.{Sunan al-Kubraa (2/496)}
19.Ibn Aadi (Rahimahullah) ne kaha:Is ne kuch nahi suna hai Al-Hakam Say Siwaye ek hadith k .{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/145)}
Ibn Aadi (Rahimahullah) ne isko Al-Kamil (1/521) mein b zikr kiya hai.
20.Imam Nawawi (Rahimahullah) ne kaha: In k daif hone par itifaaq hai.{Shara Sahih Muslim, Mukdima, 1/64}
21. Imaam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha:Is k daeef hone par ijma hai.{Deewaan adh-Dhu’afaa Wal-Matrookeen (1/52 no.211)}
22.Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: Matrook -ul-hadith.{Taqreeb At-Tahdheeb (No.217, Page No.112)}
23. Hafiz Al-Haithamee (Rahimahullah) ne kaha:Matrook.{Majma’a Az-Zawaa’id (6/153, Hadith no.10058)}
24.Imaam Suyootee (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.{Jame’a Al-Ahadith (10/144, no.9281)}
25.Imam Muhammad Bin Tahir Makdasi (Rahimahullah) ne kaha:Matrook-ul-Hadith.{Zakheeratal Hifiz (2/847, Hadith no.1687) }

Is hadith ko daif kahne walay Muhadithseen yeh hai:

1.Imam Aadi (Rahimahullah) ne is hadith ko Al-Kamil mein zikr kiya hai.{Al-Kamil (1/524, no.1461)}

Note:Alama Aine (Rahimahullah) ne kaha Ibn Aadi ne Al-Kamil mein is hadith ko munkar karar diya.{Umdatul Qari (11/168)}

2.Imam Bahqee (Rahimahullah) ne is hadith ko nakal kar k farmaya:”Abu Shaybah Ibraaheem Bin Uthmaan is hadith ko bayaan karne main munfarid hai aur yeh daeef hai”.{Sunan Al-Kubraa (2/698, Hadith No. 4615)}

3.Imam Mizzi (Rahimahullah) farmate hai: Iski munkar rewayat mein say ek wo b hai jis mein hai kii Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ramzaan mein 20 rakaatein pada karte thy.{Tahzeeb-ul-Kamaal (2/149)}

4.Imam Zahabi (Rahimahullah) ne is hadith ko munkar karar diya hai.{Meezan-ul-Atidaal (1/48)}

5.Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: “Is hadith ki sanad daeef hai aur yeh hadith Aisha (raziallahu anha) ki hadith k khilaaf hai jo Sahih Bukhari main hai”.{Fath ul Bari, Kitab ul Salat ul Taraweeh, Vol. No.4, Page No. 322, Hadith No 2013}

6.Hafiz Haisami (Rahimahullah) ne daif karar diya hai.{Majma’a Az-Zawaa’id (3/402, Hadith no.5018) }

7.Imaam Suyootee (Rahimahullah) ne farmate hai: Yeh hadith sakhat tareen daif hai, is say hujjut wa dalil qayim nahi ho sakhte.{ Al-Masaabih fi Salaat at-Taraweeh (Safa no.17) }

Hanafi Ulma ne b is hadith ko daif karar diya hai:

1.Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) ne kaha: Yeh rewayat Abu Shaiba Ibrahim Bin Usmain rawe ki waja say ma’alool (daif) hai jo kii Imam Abu Bakr Bin Abi Shaiba k dada hai, in k daif hone par itifaaq hai, Imam Aadi ne b Al-Kamil mein inko kamzoor karar diya hai phir yeh us sahih hadith k mukhalif b hai jis mein Abu Salma Bin Abdur Rahman ne Hazrat Aisha say Rasoolullah ki ramzaan mein nimaz k bare mein sawal kiya toh Sayeda Aisha ne farmaya: Aap ramzaan ya ghair ramzaan mein 11 rakaat say zeyada nahi padte thy.{ Nasb ur-Rayaa (2/153) }

2.Anwar Shah Kashmiri farmate hai: 8 rakaat (nimaz-e-taraweeh) Rasoolullah say sahih sabit hai aur jo 20 rakaat ki rewayat hai wo daif hai aur is k daif hone par itifaaq hai.{ Al-Urf Shazee (Safa no.209) }

3. Ibn Abideen Shaami Hanafi farmate hai: Yeh hadith daif hai kyunkii is mein rawe Abu Shaiba bil-itifaaq daif hai, saath saath yeh hadith sahih hadith k b khilaaf hai.{ Minhat ul-Khaaliq (2/66) }

4. Abd ush-Shakoor Deobandi ne kaha: Agarchee Nabi say 8 rakaat taraweeh masnoon hai aur ek daif rewayat mein Ibn Abbas say 20 rakaat b, magar…….. { Ilm alFiqh (Safa no.197) }

5.Muhammad Taqi Usmani Deobandi ne kaha: Laykin yeh Ibrahim Bin Usmain ki waja say daif hai.{Dars-e-Tirmizi (3/304)}

6.Tahtawi ne Hashaya Maraqi Al-Falaha (Safa no.411) mein.

7.Rasheed Ahmad Gungohi ne Al-Rai Ajya Mandarja Majmua’a Resala (Safa no.180) mein.

8.Mufti Kifayatulla ne Kifayatal Mufti (3/351,354,359,363) mein.
9.Abdul Hay Lakhnawi ne Al-Ta’aleequl Mamjad (142) Wa Tahfatul Aakhir (Safa no.50) mein.

10.Alama Nimawee ne Aathaar as-Sunan (Safa no.254) mein.

11.Shabir Ahmad Usmani ne Fathul Mulheem (2/320) mein.

12.Khair Muhammad Jalandari ne Khairul Masabiha Mandarja Khairul Fatawa (2/587) mein.

13.Muolana Muhammad Zakriha ne Aw Juz Al-Masaliq (1/397) mein.

14.Muhammad Yousuf Banori ne Marifatus Sunan (2/546) mein.

15.Mufti Yaar Khan Barelwi ne Ja Al-Haq (2/243) mein Imam Tirmidhi say nakal kiya hai kii Ibrahim Bin Usmaan Abu Shaiba munkarul hadith hai.

16.Ghulam Rasool Sa’ayedi Barelwi ne Shara Sahih Muslim (2/496) mein.

17.Muhammad Shareef Barelwi ne Dalail Al-Masail (91) mein.

Daleel No.2:

حدثنا أبو الحسن علي بن محمد بن أحمد القصري الشيخ الصالح رحمه الله حدثنا عبد الرحمن بن عبد المؤمن العبد الصالح قال أخبرني محمد بن حميد الرازي حدثنا عمر بن هارون حدثنا إبراهيم بن الحناز عن عبد الرحمن عن عبد الملك بن عتيك عن جابر بن عبد الله قال خرج النبي صلى الله عليه و سلم ذات ليلة في رمضان فصلى الناس أربعة وعشرين ركعة وأوتر بثلاثة

“Sayedina Jabir (Raziallahu Anhu) say rewayat kii Ramzan mein ek raat Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam bahar tashreef laaye aur Sahaba Kiraam ko 24 rakaate padaye aur 3 rakaat witr padaye”.

Sanad:{ Abul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Ahmad Al-Qasri Sheikh Saliha – Abdur Rehman Bin Abdul Mawmin Al-Abdul Saliha – Muhammad Bin Humaid Ar-Razi – Umar Bin Yaroon – Ibrahim Bin Al-Janaaz – Abdul Muluk Bin Ateeq}

Takhreej:{ Taareekh Jarjaan (Safa no.275, Hadith no.556)}

Tahqiq:Yeh jhoote rewayat kyun kii Muhammad Bin Humaid Ar-Razi aur
Umar Bin Haroon Al-Balkhi donu kazzab hai

1.Muhammad Bin Humaid Ar-Razi Muhadithseen ki nazar main:

1.Yaqoob Bin Shaiba (Rahimahullah) ne kaha: Kaseerul Manakeer.
2.Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha: Fee Hee Nazar.
3.Abu Zura Razi (Rahimahullah) ne kaha: Kazzab.
4.Kosaj (Rahimahullah) ne kaha: Main gawahi deta hoon kazzab hai.
5.Ibn Kharaash (Rahimahullah) ne kaha: Allah ki kasam Kazzab hai .
6.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha: Siqa nahi hai.
7.Saliha Juzra (Rahimahullah) ne kaha:Main ne Ibn Shaaz Kufi aur Ibn Humaid say bad kar kise ko jhoot par dilear nahi dekha.
{Mezaan-ul-Atidaal, 3/530, no.7453}

2.Umar Bin Haroon Al-Balkhi par Muhadithseen ki jarah:

1.Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha: Kazab Khabees, Koi cheez nahi hai.
2.Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.
3.Ali Bin Madine (Rahimahullah) ne kaha: Bohut Kamzoor hai.
4.Ibn Mahdi (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.
5.Nasai (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.
6.Saliha Jazra (Rahimahullah) ne kaha: Kazab.
7.Abu Ali Nasaburi (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.
8.Abu Dawud (Rahimahullah) ne kaha: Gair Siqa hai.
9.Darqutni (Rahimahullah) ne kaha: Bohut Kamzoor hai.
10.Zaqriya Asaji (Rahimahullah) ne kaha: Daif.

{Mezaan-ul-Atidaal, 3/228, no.6237}

11.Asabahani (Rahimahullah) ne daifa mein zikr kiya.{Daifa Lil Asabahani,1/113, no.152}
12.Ijli (Rahimahullah) ne kaha: Daif.{Marifat-ul-Siqaat, 2/171, no.1364}
13.Abu No’aam Asbahani (Rahimahullah) ne kitab-ul-daifa mein zikr.{Kitab-ul-Daifa, 1/113, no.152}


Daleel No.3:

وحدثني عن مالك عن يزيد بن رومان أنه قال :كان الناس يقومون في زمان عمر بن الخطاب في رمضان بثلاث وعشرين ركعة

“Yazeed Bin Ruman farmate hai kii log Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) k zamane main ramadan main 23 rakat padte thy”.

Sanad:{Yahya – Malik – Yazid Ibn Ruman}

Takhreej:{Muwatta Imam Malik (1 /159 Hadith No.380), Sunan Al-Kubraa (2/699, Hadith No. 4618)}

Tahqiq:Yeh hadith daeef hai kyun kii sanad main inqata’a hai:

1.Imam Bahaqi (Rahimahullah) farmate hai:Yazid Ibn Ruman ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ka zamana nahi paaya.{Nasb ur-Rayaa (2/54), Umdatul Qari (5/267), Khulasatal Ahkaam (no.588)}
2. Shaikh Nimawee Hanafee ne kaha :Yazid Ibn Ruman ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ka zamana nahi paaya. {Aathaar as-Sunan,Hasha:pg.253}
3.Alama Ainee Hanafee (Rahimahullah) ne kaha:Yeh hadith daeef hai is ki sanad munqati hai.{Umdatul-Qaaree Sharh Saheeh al-Bukhaari (11/ 127))}
4.Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) ne kaha:Yazid Ibn Ruman ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ka zamana nahi paaya.{Nasbul Raya: 2/154}
5.Kabeeree kitab likhne wala Hanafee ulma ne kaha:Yazid Ibn Ruman ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) say mulaqat nahi kiye, yeh asar munqat’ha hai.{Kabeeree (pg.351)}
6.Imam Nawawi (Rahimahullah) ne kaha:Yeh hadith daeef hai.{Al-Majmu’ sharh al-Muhadhdhab (4/33)}
7.Imam Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha:Yazid Ibn Ruman sika hai aur 5th level ka rave hai aur wafat 130 Hijri main hue”.{Taqreeb At-Tahdheeb (2/323)}

Muqaddimah Taqreeb At-Tahdheeb (1/25) main Haafidh ne sarahat kiye hai:”5th tabqa sagera taba’een ka hai jinhune ek do sahaba ko dekha hai aur zeada say sama sabit nahi hai jaisay Aamash”.
Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii:” Ulma ka itifaaq hai kii munkati revayat daeef hote hai”.{Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}

Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii:” Ulma ka itifaaq hai kii munkati revayat daeef hote hai”.{Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}

Imam Shafi (Rahimahullah) farmate hai: Humaray ilm k mutabiq kise ne b baday tab’een k ilawah (Chotay Tab’een ki) mursal rewayat ko kobool nahi kiye.

{Ikhtisar Aloom-ul-Hadith (Safa no.37), Al-Ba’ith Al-Hathith Shara Ikhtisar Aloom-ul-Hadith (Safa no.46)}

Yeh hadith Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith k khilaaf b hai jis main 11 rakat ka zikir aaya hai.

Daleel No.4:

حدثنا وكيع عن مالك بن أنس عن يحيى بن سعيد أن عمر بن الخطاب أمر رجلا يصلي بهم عشرين ركعة

“Yahyaa Bin Sa’eed farmate hai kii Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ne ek adami ko hukum diya kii logu ko 20 rakat padawo”.

Sanad:{Waqi’i — Malik Bin Anas — Yahyaa Bin Sa’eed}

Takhreej:{Musanaf Ibn Abi Shaiba (5/223, Hadith No.7764)}

Tahqiq:Yeh hadith b daeef hai kyun kii sanad main inqata’a hai:

1.Nimawee Hanafe ne kaha:Main kahta hoon is hadith k sab rave sika hai magar Yahyaa Bin Sa’eed ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ka zamana nahi paaya.{Aathaar as-Sunan, Hasha:pg.253, Hadith No.780}
2.Imaam Ibn Hazam (Rahimahullah) ne kaha:Yahyaa Bin Sa’eed, Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ki wafat k 25 saal baad paida hue.{Al-Muhallaa (10/60 ya 10/293, Masla No.1899)}
3.Haafidh Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha:”Yahyaa Bin Sa’eed Bin Qais Al-Ansaari Al-Madanee sika, dabit hai aur 5th level ka rave hai aur wafat 144 Hijri main hue ya is k baad.{Taqreeb At-Tahdheeb (2/303)}

Muqaddimah Taqreeb At-Tahdheeb (1/25) main Haafidh ne sarahat kiye hai: “5th tabqa sagera taba’een ka hai jinhune ek do sahaba ko dekha hai aur zeada say sama sabit nahi hai jaisay Aamash”.

4. Allaamah Al-Mubaarakpooree ne b Nimawee Hanafe ka kaul bayaan kiya hai aur is kaul say mutmayan hai.{Tuhfatul-Ahwadhee (3/445)}
5.Allaamah Al-Albaanee ne kaha:Yeh sanad munqat’a hai.{Salaatul-Taraaweeh (Safa no.54-55)}
Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii:” Ulma ka itifaaq hai kii munkati revayat daeef hote hai”.{Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}

Imam Shafi (Rahimahullah) farmate hai: Humaray ilm k mutabiq kise ne b baday tab’een k ilawah (Chotay Tab’een ki) mursal rewayat ko kobool nahi kiye.

{Ikhtisar Aloom-ul-Hadith (Safa no.37), Al-Ba’ith Al-Hathith Shara Ikhtisar Aloom-ul-Hadith (Safa no.46)}

Yeh hadith Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith k khilaaf b hai jis main 11 rakat ka zikir aaya hai .

Daleel No.5:

وقد أخبرنا أبو عبد الله الحسين بن محمد بن الحسين بن فنجويه الدينوري بالدامغان ثنا أحمد بن محمد بن إسحاق السني أنبأ عبد الله بن محمد بن عبد العزيز البغوي ثنا علي بن الجعد أنبأ بن أبي ذئب عن يزيد بن خصيفة عن السائب بن يزيد قال : كانوا يقومون على عهد عمر بن الخطاب رضي الله عنه في شهر رمضان بعشرين ركعة قال وكانوا يقرؤون بالمئين وكانوا يتوكؤن على عصيهم في عهد عثمان بن عفان رضي الله عنه من شده القيام

“Saa’ib Bin Yazeed (Raziallahu anhu) farmate hai kii log Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) k zamane main 20 rakat taraweeh padte thy aur yeh b farmaya Qari hazraat 100, 100 aayati tilawat karte aur Hazrat Usmain (raziallahu anhu) k door main chadeyu ya laatheeyu ka sahara layte”.

Sanad:{Abu Abdullaah Al-Hussain Ibn Muhammad Ibn Al-Hussain Finjuwayah Ad-Dinawaree – – Ahmad Ibn Muhammad Ibn Ishaaq As-Sunnee — Abdullaah Ibn Muhammad Ibn Abdul Azeez Al-Baghawee — Ali Ibn al-Ja’ad – Ibn Abee Dhi’b — Yazeed ibn Khaseefah — Saa’ib ibn Yazeed}

Takhreej: {Sunan Al-Kubraa (2/698-699, Hadith No. 4617), Masnad Ali Bin Ja’ad (Page No. 413, Hadith No. 2825)}

Tahqiq:Ye hadith munkar aur shaaz hai kyun kii:

1.Abu Abdullaah Al-Hussain Ibn Muhammad Ibn Al-Hussain Finjuwayah Ad-Dinawaree :

Imaam Zahabi (Rahimahullah) kahte hai:” Sherwiyyah ne apne taareekh main kaha hai kii Finjuwayh Ad-Dinawaree sika hai, sacha hai laykin bohut mukar hadith bayaan karta tha”.{Siyar A’laam an-Nabula (17/384, no.224)}

2.Yazeed Ibn Khaseefah :” Agarchee Yeh sika hai magar Al-Aajuri ne kaha Abu Dawud ne kaha Ahmad Bin Hanbal ne isko mukar ul hadith kaha hai {Tahzeeb Ul Tahzeeb (11/298, no.553)} aur Imaam Dhahabee ne apne kitab Al-Kashif (2/385, no.6326) main kaha kii Yazeed Ibn Khaseefah sika hai, bohut ibadat guzaar hai laykin Ahmad Bin Hanbal ne isko mukar ul hadith kaha hai .

3.Yeh hadith Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith k khilaaf b hai jis main 11 rakat ka zikir aaya hai aur Muwatta Imam Maalik ki is hadith k sab rave bohut mazbhoot hai (Sab rave Sahih Bukhari aur Sahih Muslim k hai) Sunan Al-Kubraa ki is hadith k mukabalay main. Yazeed Ibn Khaseefah apne say zeeda mazbhoot rave ( Muhammad Ibn Yoosuf) ki mukhalfat karta hai. Is liye yeh revayat shaaz hai. Muhammad Ibn Yoosuf, Saa’ib Ibn Yazeed (raziallahu anhu) ka poota hai aur zeaada qawi b iski hi hadith hoge.

4.Is hadith mein Hazrat Umar (Raziallahu anhu) ka hokum nahi hai jabkii Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith mein Hazrat (Umar Raziallahu Anhu) ka hokum mojood hai.

5.Agar is hadith ko sahih b maan liya jaye toh kya Wo sab 20 rakat taraweeh sunnate muokkada samuj kar padte thy iska koi soboot nahi.Humaray nazdeek 20 rakat taraweeh padna jaiyez hai kyunkii is mein gunjayish hai magar
20 rakaat taraweeh ko sunnate muokkada galat hai.


Daleel No.6:

أخبرنا أبو طاهر الفقيه قال : أخبرنا أبو عثمان البصري قال : حدثنا أبو أحمد محمد بن عبد الوهاب قال : أخبرنا خالد بن مخلد قال : حدثنا محمد بن جعفر قال : حدثني يزيد بن خصيفة ، عن السائب بن يزيد قال : « كنا نقوم في زمان عمر بن الخطاب بعشرين ركعة والوتر »

” Saa’ib Ibn Yazeed (Raziallahu Anhu) faramte hai kii hum log Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) k door main 20 rakat taraweeh aur witr padte thy”.

Sanad:{Abu Tahir Al-Faqeeh — Abu Usmain Al- Basri — Abu Ahmed Muhammad Bin Abdul Wahhab — Khalid Bin Makhlad — Muhammad Bin Jafar — Yazeed Ibn Khaseefah — Saa’ib ibn Yazeed }

Takhreej:{Marifatul Sunan wal Asaar Lil Bahaqi (4/207, Hadith no. 1443)}

Tahqiq:Ye hadith munkar aur shaaz hai kyun kii:

1.Is hadith main Yazeed ibn Khaseefah rave hai.(Dekheye Daleel no.4)

2.Khalid Ibn Makhlad Abul Haysami Al Bajalee:

1. Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha: ” Is k pass kuch mukar revayate hai”. {Jarah Wa Tadeel (3/354, no.1599)}
2.Ibn Aadi (Rahimahullah) ne Is ki 10 reavayat munkar bayaan kiye hai.{Al-Kamil (3/462, no.595)}
3. Muhammad Ibn Saeed (Rahimahullah) ne kaha: ” Yeh rave mukar ul hadith hai aur sheyat main bohut aagay guzra gaya tha.{Mezaan-ul-Atidaal (1/640, no.2463)}
4.Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: ” Khalid Ibn Makhlad Abul Haysami Al Bajalee sodook hai, Sheya hai aur is ki aakaylee kuch ahadith hai (Afrad :matlab saaz ahadith hai).{Taqreeb At-Tahzeeb (1/263, no.1682)}

Daleel No.7:

الحارث بن عبد الرحمن بن أبي ذباب عن السائب بن يزيد قال كان القيام على عهد عمر بثلاث وعشرين ركعة

” Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab say marve hai kii Saa’ib ibn Yazeed (Raziallahu Anhu) farmate hai kii Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) k door main log 20 rakat taraweeh aur witr padte thy”.

Sanad:{Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab — Saa’ib ibn Yazeed}

Takhreej:{Umdatul-Qaaree (17/157), Al-Tamheed (8/114)}
Tahqiq:Yeh rewayat daif hai kyunkii:

1.Is rewayat mein inqita hai kyunkii:

Imam Abu Umar Yusuf Ibn Abdul Barr (Rahimahullah) ki paidayesh 368 Hijri mein hue hai aur Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab ki wafaat 146 Hijri mein hue hai.{Taqreeb At-Tahzeeb (1/175, no.1033)}

Ibn Abdul Barr (Rahimahullah) ne Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab tak sanad bayaan nahi kiye hai.{Al-Tamheed (8/114)}

2. Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab ka hafiza kamzoor tha:

Jarah:
1.Ibn Abee Haatim (Rahimahullah) apne walid say nakal karte hai kii yeh Darwardee say mukar rewayat bayaan karta hai aur yeh qawi nahi hai aur kaha is ki hadith bas likhee jaye. {Al-Jarah Wa Tadeel (3/80, no.365)}
2.Ibn Hazm (Rahimahullah) ne kaha:Daeef.{Mezaan-ul=Atidaal (1/437, no.1629)}
3.Imam Malik (Rahimahullah) k nazdeek qabil-e-atimaad nahi hai aur na in say rewayat liye hai.{Tahdheeb At-Tahdheeb (2/128, no.249) }
4.Ibn Sa’id (Rahimahullah) ne kaha: Qalilul Hadith (Inki kam ahadith hai). {Tahdheeb At-Tahdheeb (2/128, no.249) }
5.Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha:Sacha hai magar waham karta tha.{Taqreeb At-Tahdheeb1/175, no.1033}
6.Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne kaha:” Is ki yadash kharaab thee”.{Salaatul-Taraaweeh (pg.52)}

Tadeel:
1.Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha:Mashoor.{Al-Jarah Wa Tadeel (3/80, no.365)}
2.Imam Ali Bin Madine (Rahimahullah) ne kaha: Koi harij nahi. {Al-Jarah Wa Tadeel (3/80, no.365)}
3.Abu Zurah (Rahimahullah) ne kaha: Koi Harij nahi.{Mezaan-ul=Atidaal (1/437, no.1629)}
4.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha: Koi harij nahi.{Mezaan-ul=Atidaal (1/437, no.1629)}
5.Imam Ibn Hibban (Rahimahullah) ne kitab-ul-siqaat mein zikr kiya hai.{Kitab-ul-Siqaat (6/172, no.7214)}
6.Imam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha: Siqa.{Mezaan-ul-Atidaal (1/437, no.1629)}

Maloom Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab agarchee siqa hai magar yeh munkar rewayaat b bayaan karta hai aur waham b karta hai lihaza yeh rewayat daif hai kyunkii yeh hadith Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith k khilaaf hai jis main 11 rakat ka zikir aaya hai.Wallahu Alam


Daleel No.8:

حدثنا حميد بن عبد الرحمن عن حسن عن عبد العزيز بن رفيع قال كان أبي بن كعب يصلي بالناس في رمضان بالمدينة عشرين ركعة ويوتر بثلاث

” Abdul-Azeez Bin Rufa’e farmate hai kii Hazrat Ubayy Bin Ka’ab Ramadan mubarak k dooran Madina main logu ko 20 rakat taraweeh aur witr padate thy”.

Sanad:{Humaid Bin Abdur-Rehman — Hassan — Abdul-Azeez Bin Rufa’e}

Takhreej:{Musannaf Ibn Abi Shaybah (5/224, Hadith No.7766)}

Tahqiq:Yeh hadith daeef hai kyun kii sanad main inqata’a hai:

1.Nimawee Hanafe ne kaha:Abdul-Azeez Bin Rufa’e ne Hazrat Ubayy Bin Ka’ab ko nahi paaya.{Aathaar as-Sunan, Safa no.253}
2. Allaamah al-Mubaarakpooree (Rahimahullah) ne b Nimawee Hanfee ka kaul bayaan kiya hai aur is kaul say mutmayan hai.{Tuhfatul-Ahwadhee (3/445)}
3.Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne kaha: Abdul-Azeez Bin Rufa’e aur Ubayy bin Ka’ab k darmiyaan 100 saal ka faasela hai.{Salaatul-Taraaweeh (Page No. 67-68)}

Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii:” Ulma ka itifaaq hai kii munkati revayat daeef hote hai”.{Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}


Daleel No.9:

أخبرنا أبو عبدالله محمود بن أحمد بن عبدالرحمن الثقفي بأصبهان أن سعيد بن أبي الرجاء الصيرفي أخبرهم قراءة عليه أنا عبدالواحد بن أحمد البقال أنا عبيدالله بن يعقوب بن إسحاق أنا جدي إسحاق بن إبراهيم بن محمد بن جميل أنا أحمد بن منيع أنا الحسن بن موسى نا أبو جعفر الرازي عن الربيع بن أنس عن أبي العالية عن أبي بن كعب أن عمر أمر أبيا أن يصلي بالناس في رمضان فقال إن الناس يصومون النهار ولا يحسنون أن ( يقرؤا ) فلو قرأت القرآن عليهم بالليل فقال يا أمير المؤمنين هذا ( شيء ) لم يكن فقال قد علمت ولكنه أحسن فصلى بهم عشرين ركعة

” Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ne Ubayy Bin Ka’ab ko hukum farmaya kii ramzan main logu ko nimaaz padawo toh Ubayy bin Ka’ab ne 20 rakat padaye”.

Sanad:{Abu Ja’afar Ar-Raazee — Rabee’a bin Anas — Abee A’aaliyyah — Ubayy bin Ka’ab}

Takhreej:{Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Lil Maqdisee 3/367, Hadith no.1161}

Tahqiq:Yeh hadith b daeef hai kyun kii Abu Ja’afar Ar-Raazee (Eesaa Bin Abee Eesaa Bin Mahhaan) daeeef hai.

Jarah:

1.Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha:Hadith mein qawi nahi hai.{Al-Jarah Wa Tadeel (6/281, no.1556), Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
2.Imam Ali Bin Madine (Rahimahullah) ne kaha:Siqa hai magar galtiya karta hai, Aur kaha: Iski hadith toh likhe jayege magar yaad rakho yeh galtiya karta hai.{Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
3.Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha: Iski hadith likhe jayege magar yeh galtiya karta hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/49, no.8347)}
4.Imam Falaas (Rahimahullah) ne kaha:Is ka hafiza kharaab tha.{Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
5.Imam Abu Zur’ah (Rahimahullah) ne kaha:Kaseer ul waham hai.{Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
6.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha:Qawi nahi hai.{Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
7.Imam Umaro Bin Ali (Rahimahullah) ne kaha: Daif aur wo sachu mein hai magar hafiza kharaab tha.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
8.Imam Ibn Kharash (Rahimahullah) ne kaha: Sacha hai magar iska hafiza kharaab tha.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
9.Imam Ibn Hibban (Rahimahullah) ne kaha:Yeh mashoor raweyu say munkar rewayat bayaan karta tha, iski rewayat say dalil pakadna mujko pasand nahi hai ila yeh kii wo aise rewayat bayaan karay jo motabar raweyu k mutabiq ho, iski rewayat par atibaar karna theek nahi ila jo motabar raweyu k mutabiq ho.{Al-Majroheen (2/120)}

Ibn Hibban (Rahimahullah) ne Rabee’a Bin Anas k mutaliq farmaya: Iski marweyat say muhadithseen kiraam bachte thy jo is say Abu Jafar Razi k waste say hai kyunkii Abu Jafar ne jo us say rewayaat nakal kiye hai in mein say kasrat say iztiraab hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (3/207, no.464)}

Note:Abu Jafar ne yeh rewayat Rabee’a Bin Anas say bayaan kiye hai.

10.Imam Al-Ijli (Rahimahullah) ne kaha:Qawi nahi hai. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
11.Ibn Qayyim (Rahimahullah) ne Zaad al-Maa’ad (1/99) main kaha sahib-ul-manakir aur jab aakayla hadith bayaan kare toh is ki revayat ko kabil-e-sehat hargiz nahi samja jata hai.
12.Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha:Sacha magar iska hafiza kharaab tha.{Taqreeb At-Tahzeeb (3/376)}
13.Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne Salaatul-Taraaweeh (pg.69-70) kaha Daeef.


Tadeel:

1.Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha:Siqa.{Al-Jarah Wa Tadeel (6/281, no.1556), Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
2.Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha: Hadith mein acha hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/49, no.8347)}
3.Abu Hatim Razi (Rahimahullah) ne kaha:Siqa, Sacha hai.{Al-Jarah Wa Tadeel (6/281, no.1556), Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
4.Zakriya Sa’aji (Rahimahullah) ne kaha:Sacha hai. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
5.Ibn Aadi (Rahimahullah) ne kaha:Iski hadith ache hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
6.Ibn Sa’id (Rahimahullah) ne kaha:Siqa hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
7.Ibn Umaar Al-Mosali (Rahimahullah) ne kaha:Siqa.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
8.Imam Hakim (Rahimahullah) ne kaha:Siqa.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
9.Ibn Abdul Barr (Rahimahullah) ne kaha:Siqa.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
10.Imaam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha: Hadith mein acha hai.{Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
Maloom Abu Jafar agar chee sacha hai magar bohut galtiya karta tha aur Abu Jafar jab Rabee’a Bin Anas say rewayat toh un mein bohut iztiraab paya jata hai lihaza yeh rewayat daif hai.

Dalil no.10:
وفي سنن أبي داود: يونس بن عبيد، عن الحسن أن عمر بن الخطاب جمع الناس على أبي بن كعب في قيام رمضان، فكان يصلي بهم عشرين ركعة
Hazrat Hassan Basri (Rahimahullah) say rewayat hai kii Hazrat Umar (Radiallahu Anhu) ne logu ko Hazrat Ibi Abi Ka’ab (Radiallahu Anhu) ki imamat par jam’a kiya, Wo logu ko 20 rakaat padte thy.

Sanad:{Shuja’a Bin Makhlad – Husham – Younis Bin Ubaid — Hassan}

Takhreej:{Sunan Abu Dawud, Siyar A’laam an-Nabula (1/400-401), Jami’a Al-Masaneed Wal Sunan (1/55)}

Tahqiq:Yeh hadith daeef kyunkii:

1.Is hadith mein Deobandiyu ne tahreef kiye hai, “20 Rakaat” nahi hai “20 Raatein” hai.Sunan Abu Dawud k tamam nusku mein 20 raatein hi hai.Haal hi mein Muhammad Uwama ki tahqiq say jo Sunan Abu Dawud ka nuskha publish hua hai jis mein 7, 8 nuskhu ko saamne rakhagaya hai, us mein 20 raatein hi hai, Muhammad Uwama likhte hai: Saray k saray bunyaadi nuskhu mein yehi alfaaz hai.{Sunan Abu Dawud (2/256)}

20 Raatein hi hai is par bohut zabardast dalil yeh hai kii Imam Bahaqi (Rahimahullah) ne yehi rewayat Imam Abu Dawud (Rahimahullah) ki sanad say zikr kiye hai aur us mein b 20 Raatein k alfaaz hai.{Sunan Al-Kubra (2/498, Hadith no.4814)}

Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) { Nasb ur-Rayaa (2/126) }, Hafiz Al-Manzari (Rahimahullah) {Mukhtasar Sunan Abu Dawud (3/125)}, Imam Wali Deen Tabrizi (Rahimahullah) {Mishkaat Al-Masabih (1/288, Hadith no.1293)}, Ibn Kathir (Rahimahullah) {Masnad Farooq (1/187)}, Imam Zahabi (Rahimahullah) {Al-Mazhab Fi Ikhtisaarul Sunan Al-Kabeer (2/464)}, Alama Aaine (Rahimahullah) {Shara Sunan Abu Dawud (5/342)} ne 20 raatein hi zikr kiya hai.

Agar koi kahte hai Imam Zahabi (Rahimahullah) aur Imam Kathir (Rahimahullah) ne 20 rakaat k alfaaz zikr kiye hai toh iska jawab hai:
1.Jab yeh alfaaz Sunan Abu Dawud k motabar nuskhu mein nahi hai toh In k hawalaat pesh karna theek nahi hai ya yeh kitabat ki galti ho ya Imam Zahabi aur Imam Ibn Kathir say galti hue hoon.
2.Imam Zahabi (Rahimahullah) ne Al-Mazhab Fi Ikhtisaarul Sunan Al-Kabeer (2/464) mein aur Ibn Kathir (Rahimahullah) ne {Masnad Farooq (1/187)} mein 20 raatein zikr kiya hai .

2.Sunan Abu Dawud ki is hadith mein saaf maloom hota kii yeh 20 raatein hai nakii 20 rakaat hai.

3.Is hadith ki sanad munqata hai kyunkii Hazrat Hassan Basri (Rahimahullah) ne Hazrat Umar ka zamana nahi paaya hai. Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) ne Nasb ur-Rayaa (2/126) mein aur Alama Aaine (Rahimahullah) ne Shara Abu Dawud (5/343) mein kaha hai : Hazrat Hassan Basri (Rahimahullah) ne Hazrat Umar ka zamana nahi paaya.
4.Hassan Basri (Rahimahullah) mudalis b tha aur rewayat An say hai.{Tabqaat-ul-Mudaliseen, Safa no.29, Tabqa no.2, Rawe no.40}


Daleel No.11:

أَخْبَرَنَا أَبُو الْحُسَيْنِ بْنُ الْفَضْلِ الْقَطَّانُ بِبَغْدَادَ أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ عِيسَى بْنِ عَبْدَكٍ الرَّازِىُّ حَدَّثَنَا أَبُو عَامِرٍ : عَمْرُو بْنُ تَمِيمٍ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ يُونُسَ حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ شُعَيْبٍ عَنْ عَطَاءِ بْنِ السَّائِبِ عَنْ أَبِى عَبْدِ الرَّحْمَنِ السُّلَمِىِّ عَنْ عَلِىٍّ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ : دَعَا الْقُرَّاءَ فِى رَمَضَانَ ، فَأَمَرَ مِنْهُمْ رَجُلاً يُصَلِّى بِالنَّاسِ عِشْرِينَ رَكْعَةً. قَالَ : وَكَانَ عَلِىٌّ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهُ يُوتِرُ بِهِمْ.

” Ramzan mubarak main Hazrat Ali (Radiallahu Anhu) ne qariyeen hazraat ko bulaya aur un main say ek aadami ko hukum farmaya kii wo logu ko 20 rakat taraweeh padaya kare aur khud Hazrat Ali nimaz-e-witr padaya karte thy”.

Sanad:{Abul Hassan Bin Al-Fazal Al-Qattan– Muhammad Bin Ahmad Bin Aayase Bin Aabadak Al-Razi — Abu Aamir UmaroBin Tamyam — Ahmad Bin Abdula Bin Younis — Hammaad Bin Shu’ayb — A’taa Bin Saa’ib — Abu Abdur-Rahmaan As-Silmee — Hazrat Ali(raziallahu anhu) }

Takhreej:{Sunan Al-Kubraa (2/698-699, Hadith No. 4620) }

Tahqiq:Yeh hadith daeef jidan hai kyun kii:

1.Hammaad Bin Shu’ayb:

1.Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha:” Daeef hai aur Yahyaa ne ek martaba kaha is ki revayat na likhee jaye”.{Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)}
2.Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha: ” Fee Hee Nazar”. {Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962), Taareekh Kabeer (3/25 no.101)}
3.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha:” Daeef”.{Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)}
4.Ibn Aadee (Rahimahullah) ne kaha: ” Is ki bayaan karda aksar revayate aise hai jin par is ki mutabeaat nahi kiye jayege”.{Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)}
5.Abu Haatim (Rahimahullah) ne kaha:” Ghair qawi”.{Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)}
6.Abu Zur’ah ne (Rahimahullah) kaha:” Daeef”.{Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)}
7.Ibn Al-Jarood ne Imam Bukhari (Rahimahullah) say nakal kiye hai kii yeh ” Mukar-Ul-Hadith” {Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)}
8.Saajee (Rahimahullah) ne kaha:”Is ki hadith main kamzuri hai”.{Meezaan ul-Ei’tidaal (2/366 no.2257)}
9.Imam Aqili (Rahimahullah) ne daifa mein zikr kiya.{Daifa (1/311, no.381)}
10.Imam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha: Daif.{Mustadrak Ala-Sahihyeen Talkhees (3/582, Hadith n.6158), Seer Alamul Nubla (2/600)}
11.Imam Hasami (Rahimahullah) ne kaha: Bohut daif hai.{Majmua Zawaid (2/380, Hadith no.3021)}
12.Imam Soyuti (Rahimahullah) ne Imam Hasami ki jarah nakal kiye aur muwafaqat ka soboot diya.{Jamia Al-AHadith (5/296, Hadith no.4169)}
13.Hafiz Ahmed Bin Abi Bakr Bin Ismail Al-Buseri (Rahimahullah) ne kaha: Daif.{Athaful Khairatal Mahrat(إتحاف الخيرة المهرة بزوائد المسانيد العشرة) (1/78, no.514)}
13.Sheikh Abu Abdur Rehman Asim Al-Deen Al-Sabate (Rahimahullah) ne kaha: Bohut daif hai.{ Jamai Al- AHadith Al-Qudseyat ( جامع الأحاديث القدسية) (1/29, Hadith no.607)}
14.Nimawee Hanfee ne Aathaar as-Sunan (page no.56) main kaha hai kii Hammaad Bin Shu’ayb daeef hai.
15.Allaamah al-Mubaarakpooree (Rahimahullah) likhte hai kii is asar ki sanad main Hammaad Bin Shu’ayb hai jis k bare main Imam Bukhari ne kaha “FeeHee Nazar ” is liye hadith kabilay hujjut nahi aur laayak-e-aatibaar nahi hai.{Tuhfatul-Ahwadhee (3/444) }.
16.Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne Salaatul-Taraaweeh (pg.66-67) kaha hai kii is hadith ki sanad daeef hai, A’taa Bin Saa’ib ikhthilaat ka shekar tha aur Hammaad Bin Shu’ayb bohut kamzoor ravi hai, Imam Bukhari ne kaha ” FeeHee Nazar ” aur dosre baar kaha ” Munkar Ul Hadith” .
17.Sheikh Shoaib Al-Aranoot (Rahimahullah) ne kaha: Daif.{Masnad Ahmad (131, Hadith no.21238)}

2.A’taa Bin Saa’ib:

1.Imam Ahmad (Rahimahullah) ne kaha:” Jin raveyu ne ikhthlaat say phele suna ho toh sahih hadith hai aur jin raveyu ne ikhthlaat k baad suna hai toh wo ahadith kuch nahi hai, aur kahte hai Sufiyan aur Shu’bah ne ikhtilaat say phele sune hai”.
2.Imam Yahyaa (Rahimahullah) ne kaha:” Is ki ahadith daeef hai sewaye jo Shu’bah and Sufyaan say suna hai”.
3.Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha:“A’taa Bin Saa’ib k qadeem zamaane k ahadith sahih hai”.
4.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha:“Siqa hai qadeem zamaane ki ahadith mein”.
5.Abu Hatim Razi (Rahimahullah) ne kaha: “Sadooq ikhtilaat say phelay, aur kahte hai Sufiyan aur Shu’bah ne ikhtilaat say phele sune hai”.
6.Imaam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha:” Aakhri umar main ikhthlaat ka shekar hua tha.
{Meezaan ul-Ei’tidaal (5/90-92 no.5647), Tahdheeb ut-Tahdheeb (7/177-180 no.4754), al-Jarh Wat-Ta’deel (6/332-334 no.1848), Taareekh al-Kabeer (6/465 no.3000)}

7.Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha:” Sacha magar yadash kharaab”.{ Taqreeb ut-Tahdheeb (no.4625 pg.678) }
8.Imam Hasami (Rahimahullah) ne kaha: Siqa laykin ikhtilaat ka shekar tha . {Majmua Zawaid (1/233, Hadith no.230)}
9.Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) ne kaha:” Aakhri umar main ikhthlaat ka shekar hogaya tha aur tamam jinyu ne is say revayat kiye hai akhthlaat k baad kiye hai sewaye Shu’bah and Sufyaan k.{Nasb ur-Raayah (3/58)}
10.Ibn Akyaal (Rahimahullah) ne Al-Kawaakib An-Neeraat Fee Ma’arifah Min Ikhtilaat Min Rawaah Ath-Thiqaat (no.327) main isko zkir kiya.
Sheikh Ghulam Mustafa Zaheer likhte hai Hammaad Bin Shu’ayb un logu mein say nahi hai, jinhu ne is say kabal al-ikhtilaat suna hai

Daleel no.12:

أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّهِ بْنُ فَنْجُوَيْهِ الدِّينَوَرِىُّ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ إِسْحَاقَ السُّنِّىُّ أَخْبَرَنَا أَحْمَدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الْبَزَّازُ حَدَّثَنَا سَعْدَانُ بْنُ يَزِيدَ حَدَّثَنَا الْحَكَمُ بْنُ مَرْوَانَ السُّلَمِىُّ أَخْبَرَنَا الْحَسَنُ بْنُ صَالِحٍ عَنْ أَبِى سَعْدٍ الْبَقَّالِ عَنْ أَبِى الْحَسْنَاءِ : أَنَّ عَلِىَّ بْنَ أَبِى طَالِبٍ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهُ أَمَرَ رَجُلاً أَنْ يُصَلِّىَ بِالنَّاسِ خَمْسَ تَرْوِيحَاتٍ عِشْرِينَ رَكْعَةً. وَفِى هَذَا الإِسْنَادِ ضَعْفٌ وَاللَّهُ أَعْلَمُ.

حدثنا وكيع عن حسن بن صالح عن عمرو بن قيس عن بن أبي الحسناء أن عليا أمر رجلا يصلي بهم في رمضان عشرين ركعة
” Hazrat Ali (Radiallahu Anhu) ne ek admi ko hukum farmaye kii wo logu ko 20 rakat padaye”.

Sanad:{Waqi’i — Hassan Bin Salaha — Umaro Bin Qayas — Abee Hasnaa}

Takhreej:{Musanaf Ibn Abi Shaiba (5/223, Hadith No. 7763), Sunan al-Kubraa (2/699, Hadith No. 4621)}

Tahqiq: Yeh hadith b daeef hai kyun kii Abee Hasnaa majhool (unknown) hai.
Abee Hasnaa:

1.Haafidh Dhahabee (Rahimahullah) ne kaha: Ghair Maroof.{Meezaan ul-Ei’tidaal (4/515, no.10106)}
2.Haafidh Ibn Hajr ne (Rahimahullah) kaha: Majhool hai.{Taqreeb ut-Tahdheeb (2/384)}
3.Haafidh Hasami ne (Rahimahullah) kaha: Ghair Maroof. {Majmua Zawaid (4/21, Hadith no.5979)}
4.Shaikh Nimawee Hanafee ne kaha:” Majhool hai”.{ Haashiyyah Aathaar as-Sunan (Safa no.57)}
5. Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne kaha: Ibn Hajr ne Tahzeeb (12/66, no.8386) main Abee Hasnaa k halaat main kurbani say mutalaka ek hadith bayaan kiye hai jis ki sanad yeh hai: Abee Hasnaa — Al-Hakam Bin Utaibah — Hansh — Hazrat Ali, Is say pata chala is hadith main Abee Hassan aur Hazrat Ali k darmeyaan 2 rave gayeb hai layaza yeh hadith Mu’adhal hai.
6.Imaam Baihaqee ne (Rahimahullah) is hadith ko nakal kar k kaha:”Is hadith ki sanad daeef hai”.{Sunan al-Kubraa (2/700, Hadith No. 4621)}

Dalil No.13: Imam Husain ne farmaya hai kii Hazrat Ali ne hokum diya 20 rakaat padawo……
{Masnad Zaid (Safa no.139), Urdu Hawala (Safa no.155-156, Hadith no.295)}


Yeh rewayat jhoote hai kyunkii :

1.Umaro Bin Khalid (Is kitab ka rawe) Mudadithseen ki nazar mein:

1.Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha: Matrook-ul-Hadith, Koi cheez nahi hai, Kazzab, Yeh Zaid Bin Ali say jhoote ahadith bayaan karta tha.
2.Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne: Kazzab, Siqa nahi hai, Koi cheez nahi hai.
3.Imam Ishaq Ibn Rahwayh (Rahimahullah) ne kaha: Ahadith gadta tha.
4.Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha: Munkar-ul-Hadith.
5.Imam Waki’a (Rahimahullah) ne kaha: Kazzab, Ahadith gadta tha.
6.Imam Abu Zurah Razi (Rahimahullah) ne kaha: Ahadith gadta tha.
7.Imam Abu Hatim Razi (Rahimahullah) ne kaha: Matrook-ul-Hadith.
8.Imam Abu Dawud (Rahimahullah) ne kaha: Kazzab, Koi cheez nahi hai.
9.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha: Siqa nahi hai, Iski hadith likhe hi na jaaye, Matrook-ul-Hadith.
10.Jozijaani (Rahimahullah) ne kaha: Gair siqa.
11.Darqutni (Rahimahullah) ne kaha:Matrook, Kazzab.
12.Ibn Sa’ad (Rahimahullah) ne kaha: Iski hadith likhe hi na jaye.
13.Imam Hakim (Rahimahullah) ne kaha: Yeh Zaid Bin Ali say jhoote ahadith bayaan karta tha.
14.Imam Abu Nu’aim Asbahani (Rahimahullah) ne kaha: Koi cheez nahi hai.
{Tahzeeb At-Tahzeeb (8/24-25, no.41), Jarah Wa Tadeel (6/230, no.1277), Mezaan-ul-Atidaal (3/257, no.6359)}

15.Imam Bahaqi (Rahimahullah) ne kaha: Ahadith gadne mein maroof hai.{ Marifatul Sunan wal Asaar (1/383, Hadith no.329), Sunan Al-Kubra (1/228, Hadith no.1020)}
16.Imam Ibn Adi ne (Rahimahullah) Al-Kamil (6/217, no.1289) mein zikr kiya.
17.Imam Abu Uwana ne kaha: Koi cheez nahi hai, Matrook-ul-Hadith.{Daifa Lil Aqili (3/268, no.1274)}
18.Imam Aqili (Rahimhullah) ne Daifa mein zikr kiya.{ Daifa (3/268, no.1274)}
19.Imam Ibn Hibban (Rahimahullah) ne kaha: Yeh jhoote rewayaat bayaan karta tha.{Al-Majruheen (2/76)}
20.Imam Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.{Taqreeb (1/733)}
21.Imam Hasami (Rahimahullah) ne kaha: Kazzab. {Majmua Zawaid (1/560, Hadith no.1277)}

Shaiyu ki jhoote masnad say hawala nakal karna aur dalil pakadna Deobandiyu ka hi kaam hai.

Daleel No.13:

رواه محمد بن نصر المروزي قال أخبرنا يحيى بن يحيى أخبرنا حفص بن غياث عن الأعمش عن زيد بن وهب قال كان عبد الله بن مسعود يصلي لنا في شهر رمضان فينصرف وعليه ليل قال الأعمش كان يصلي عشرين ركعة ويوتر بثلاث

” Hazrat Abdula Bin Masood 20 rakat taraweeh aur 3 witr pada karte thy”.

Sanad:{Yahya Ibn Yahya — Hafas Bin Gayas — Aamash — Zaid Bin Wahab}

Takhreej:{Mukhtasar Qiyaam al-Layl (Safa no.200) , Umdatul-Qaaree Sharh Saheeh al-Bukhaari (17/ 157)}

Tahqiq:Yeh hadith daeef hai kyun kii:

1.Hafas Bin Gayas (Rahimahullah) ka mudalis hona sabit hai.{Tabqaat –ul-Mudaliseen (Tahqiq:Zubair Ali Zai ), Safa no.22, Tabqa no.1, Rawe no.9}

1.Aamash (Rahimahullah) mudalis hai aur ‘An’ revayat kar rahe hai.{Tabqaat-ul-Mudaliseen, Safa no.33, Tabqa no.2, Rawe no.55}

Note:Ibn Hajar ne Aamash ko Al-Nukat (2/640) Tabqa no.3 mein zikr kiya hai

Muqaddimah Taqreeb ut-Tahdheeb (pg.82) main Haafidh Ibn Hajr ne sarahat kiye hai: “5th tabqa sagera taba’een ka hai jinhune ek do sahaba ko dekha hai aur zeada say sama sabit nahi hai jaisay Aamash”.

Imam Shafi (Al Risala, Safa No.1033) main farmaya hai kii jis admi ka sirf ek dafa tadlees karna humain maloom ho jaye toh revayat main uska parda chak hoga yaane hum uski An wale revayat koobhool nahi karegay jab tak yeh maloom na ho kise say hadith sune hai.

Ibn Salaha ne kaha sahih yeh hai kii mudalis agar samaa ki tasaree kare toh maqbool hai warna madood hai (Ikhtisar-ul-Uloom Ul Hadith, Safa no.43).

3.Abdullaah Bin Mas’ood (Radhiallaahu Anhu) ki wafat 33 Hijri main hue hai aur Aamash (Rahimahullah) ki paidayish 61 Hijri hue hai (Al-Kaashif (1/130) ) . Abdullaah bin Mas’ood (Radhiallaahu Anhu) aur Aamash (Rahimahullah) k darmeyaan 28 saal hai lahaza sanad munqati hai.

Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii:” Ulma ka itifaaq hai kii munkati revayat daeef hote hai”.{Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}

Daleel Num : 14 

Sayedna Jabir bin Abdullah razi Allah anhu Frmate hn k Nabi salallahu alaihi waslam ne Ramzan k Ak Rat me Ae or logo ko char (04) rakate Farz, Bees (20) Rakate Namaz (taravih) or Teen (03) Rakate Witar Padhae.
(Tarikh Jarjan Li Hafiz Hamzah Bin Yousaf Al Sahmi safa 146)

Jawab:
Is Riwayat Ka Ak Ravi Mohammad Bin Hameed Al Razi Jamhoor Muhadasin K pas Majrooh He or (Imam) Ishaq kosij Farmate hai:

”Me Gawahi Deta hun k Wo jhoota tha.”

(Ameen Okadwi ki Kitab TajliatSafdar j 3 safa 224 or dekhieMahnama Al Hadis Hazru: 76 safa 34, 35)

Is Riwayat ka 2ra Ravi Umar Bin Haroon b Jamhoor k pas Majroh he.
(Dekho Nasb al Ra’aya 1\ 351,355, 4\ 237)

–>>

—>>Dallel 15 Sayedna Ali Al Murtaza razi Allah anhu us shakhs ko hukum dia jo Ramzan Sharif me logo ko Namaz (taravih) padhata tha k wo 20 rakate namaz (taravih) padhae har 2 Rakato k Darmian Salam fere or har 4 Char rakat k beech me aram k lie kuch waqfa krle.
(Masand Al Imam Yazid Bin Ali safa 158)

Jawab:

Imam Yazid Bin Ali rahmullah Ki tarf mansob “masand zaid” Ahle Sunat ki kitab nh he blke Zaidi Shiyon ki Kitab he or Al Deoband Ka us kitab se hujat lena us bat ki dalil hd k deobandiyo or zaidi shiayo k apas me Dili Dosti he. 2ra k “Masand Zaid” ka buniadi
Ravi Abu Khalid Umar bin Khalid Al Wasiti Kazab (tamam ziada jhota) Ravi he. Us Ravi k mutaliq Imam Yahya bin Mueen Farmate Hn “Kazab” Imam Isahaq Bin Rahooya farmate hn:

”Umar Bin Khalid wasiti Hadis ghadta tha.”

Imam Abu Zara’a Al Razi farmate hai:

”wo Hadise Banata tha.”

Imam Waqia Bin al Jaraah farmate hai:

”Wo Kazab (tamam ziada jhota)tha.”

(Dekho Tahqiqi Maqalat j 3 safa510)

Is Kitab k baqi sand b mardud hai.

—————————————

Taken from  Article :  20 Rakat Taraweeh K Dalail Ka Tahqiqi Jaiyeza

Yasiir Mahi.wordpress.com

.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this:
search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close